Pakservice.com

 
       Home >> Urdu>> Islam>> Others >> Abdul Qadir Jilani Rahmat Allah Allah

Abdul Qadir Jilani Rahmat Allah Allah

Abdul Qadir Jailani Rahmat Allah Allah was born Ramzan 457 AH in Iran province Gilan. He was belonging to Syed family. Here we write an article "Abdul Qadir Jailani Rahmat Allah Allah Life" in roman Urdu.

  Table of Content  
  .                                                                                                                      .
Abdul Qadir Jilani Rehmat Allah Allah


Abdul Qadir Jilani Rehmat Allah Allah  


.                                                                                                                      .
Abdul Qadir Jailani Prays

Hazrat sheikh abdulqadir jilani rehmatullah alaihy ka silsila tariqat o khar fa poshi ister hai kay aap rehmatullah alaihy nay qazi abu saeed almubarak rehmatullah alaihy kay hath par bait ki aur kharqa pehna. Mazeed silsila is terha hai sheikh abu alhasan ali bin mohd alqureshi abu alfarah altosi qadus sarah, abu alfasal abdul wahid altamimi qudus sarah,syed imam ali musa raza, syed imam kazim, syed imam jafar sadiq, syed imam mohd baqir syed imam zainulabedin, shaheede karbala Syed Imam Hussain, Hazrat Ali Karam Allah Wajoh, Syed Almursaleen Hazrat Mohammad Mustafa.


Syedna hazrat sheikh abdul qadir jilani rehmatullah alaihay nay Baghdad mein 8 rabius sani 561 h baroz haftah 91 baras ki umar mein wafat paee aur madrasa mohallah bab aljzaj Baghdad kay sahan mein dafan huway.

Aap rehmatullah alaihy azdawaj aur aulad ki tafseel isterha hai.

1. Hazrat Bibi Rehmatullah Alaihay Madnia Meer Mohammad in kay haan char larkay paisha huway Syed Saifuddin,Syed Sharfuddin Sayed Abdul Razaq.

2. Hazrat Bibi Rehmatullah alaihy sadiqa bint mohd shafeh in say cha larkay paisha Huway Syed Abdulaziz, Syed Alwahab, Syed Sirajuddin, Syedabdul Jabber, Syed Shamsuddin aur Syed Tajdeen.

3. Hazrat bibi momena in say sath baitay huway syed Abdullah, syed Ibrahim, Syed Abu Afsal, Syed Mohammad Zahid, Syed Abubakar Zikriya, Syed Abdul Rehman aur Syed Mohammad.

4. Hazarat Bibi Mehbooba in say das farzand paisha huway Syed Yahya, Syed Ziauddin, Syed Yusuf, Syed Abdul Razaq, Syed Saifurrehman, Syed Mohd Saleh, Syed Habibullah, Syed Ansoor, Syed Abdul Jabber aur Syed Abu Nasar Moosa.

App ki sahabzadiyan bhi 18 theen. Jin kay isma mubarak darje zail hain.
Afia Bibi, Halima Bibi, Taj  Bibi, Zahida Bibi, Zakrah Bibi, Um Alfasal, Bibi, Sharfia Bibi, Abida Bibi, Riji Bibi, Um Alfatah Bibi, Zahra Bibi, Hajal Bibi, Kairunisa, Shah Hatim

Aap Rehmatullah Alaihy aksar yeh dua kartay thay key.
Aiy Allah! Hum panah mangtay hain is sey kay tairay wasail kay bad rokay jain teray muqrab ban kar nikalay jain, aur teray maqbool honay kay bad ma'dud hojain ham ko apni ibadat karney walon aur mehbobon mein dakhil kar lay aur hum ko apnay shaker aur hamad ki tofeeq inayat farmaye. Ameen

 


.                                                                                                                      .
Abdul Qadir Jilni Rahmat Life

Hazrat Sheikh Abdul Qadir Jilani Rahmat Allah Allah Ramzan-ul-mubarak 470  ba-mutabiq 1075 mein Iran kay aik soba Gilan ya Jilan mein naq kay maqam par paisha huway. Is zamanay mein Iran par sultan Mazuddin Abu Alfatah Mulk Shah Khandan Saljoti ka teesra badshah aur Ali Arsalan ka beta hakumat karta tha.

Walda mohtarma ka naam Fatima tha kuneet ummul khair aur laqab ummtul jabber tha. Hazrat Sheikh Abdul Qadir Jilani Rahmat Allah Allah   naheef albadan miyana qad thay aap rehmat ullah alaihay kay abro barik aur milay huway thay. Aap Rehmat Ullah Allahay ka seena chora tha. Raish mubarak lambi aur chori thi. Aap Rehmatullah Alahay ki awaz buland thi. Aap Abdul Qadir Jailni Rahmat Allah Allah ka sakoot ziyada aur kalam kam huwa karta tha aap Rehmatullah Alaihay hasni sadat thay walid mohtaram ki taraf shajrah nasab is terha hai.

Hazrat Sheikh Mohiuddin  Abdul Qadir Jailani Rahmat Allah Allah  Ibne yahya Al-Zahid Rehmatullah Alahay Bin Mohd Rehmatullah Allahy Bin Dawod Rehmat Ullah Alahay Bin Moosa Rehmat Ullah Allay Bin Abdullah Rehmat Ullah Alaihay Bin Hasan Rehmatullah Alaihay Bin Abdullah Almahaz Rehmat Ullah Allaihay Bin Hasan Almasna Rehmat Ullah Alaihay Bin Hasan Razi Allah Anho Bin Hazrat Ali Razi Allah Anho Bin Abi Talib Razi Allah Anhum Ajmaeen aur walidah majida ki taraf say silsilae nasb is terha hai.

Hazrat Fatima Binte Abdullah Sumaee Rehmat Ullah Alaihay Bin Abi Jamal Rehmat Ullah Alaihy Bin Mohd Rehmatullah Alaihay Bin Mehmood Rehmatullah Alaihy Bin Abi Kamal Rehmatullah Alaihay Bin Issa Rehmatullah Alaihay Bin Abi Alaouddin Rehmat Ullah Alaihay Bin Mohd Rehmat Ullah Alaihay Bin Imam Mohd Baqat Rehmatullah Alaihay Bin Imam Zainul Abedin Rehmatullah Alaihay Bin Imam Hussain Razi Allah Anho Bin Ali Karam Allah Wojho.

Quran pak hifz kiya aur ibtedaee duniyawi taleem hasil karnay kay bad ilm o danaee kay aala madarij tay karnay kay liye man say ijazat talab ki kay mein jaid olama say aloome ilahi yani tafseer waqfa hasil karna chahta hun. Walida nay bakhushi ijazat marehmat farmadeee aur naik tamanaon aur duaon kay sath rukhsat kiya 40 dinar adrah aur taleem kay akhrajat kay liye diye aur nasihat ki kay beta kabhi jhoot na bolna hamaisha sach ka daman thame rehna is waqt aap rehmatullah alaihay ki umar 17 sal thi aik qaflay kay hamrah aap bhi rawana hogai.

Jab qafla aik jangle say guzar raha tha to dakuwon nay isay ghair liya aur loot mar shurooh kardee aik daku aap Abdul Qadir Jailani Rahmat Allah Allah kay pas aya aur pocha larkay tumharay pas kiya hai? Aap Rehmatullah Alaihay nay farmaya meray pas challis dinar hain jo meri man nay mujhe diye hain us nay talashi li magar dinar na milay woh chala gaya doosra daku aya us nay bhi wohee sawal kia  aur aap rehmatullah alahay ko pakar kar apnay sardar kay pas lay gai sardar say kaha ka yah larka kehta hai kay mairay pas challis dinar hain magar woh dinar hamain milay nahin sardar nay jab poocha to aap rehmatullah alaihay nay farmaya han meray pas challis dinar hain sardar nay kaha kahan hain? Aap rehmatullah alaihay nay farmaya meri man nay woh challis dinar meri gudri mein si diye hain jab gudri ko bhara gaya to woh dina baamad hogay.

Is par sardar nay kaha kay larkay agar tum sach na boltay to tumharay yah dinar tumharay pas mehfooz rehtay aisa kiyun kiya ? aap rehmatullah alaihay nay farmaya meri maan nay mujhe hamaisha sach bolnay ki nasihat kit hi aur mein nay apni maan say ahad kiya tha kay hamaisha sach bolun ga. Is bat ka dakuwon kay sardar par aisa asar huwa ka zaro Qatar ronay laga aur kehnay laga kay aik yeh bacha hai kay apni maan say kiya huwa ahad tornay kay liye tayar nahin  aik mein bad bakht hunk ay apnay parwardigar kiya huwa. Hath tornay kay liye tayar nahin aik mein bad baht hunk ay apnay parwardigar say kiya huwa ahad bhi tora logon ko aziyat bhi pohonchaee khalaqe khuda  ko lota aur un ko bad duain bhi leen. Sari zindagi koee naik kam na kiya  yeh altaf ada kiya aur hazrat abdulqadir jilani rehmatullah alaihy say darkhowast ki kay mujhe kalma parhain. Is daku sardar nay aap rehmatullah alaihay kay hath par bait ki aur dairahe islam mein dakhil hogaya is kay baqi sathi bhi musharaf ba islam hogaey.

Tareekh gawah hai kay yeh giroh baray auliya karam ka giroh bana. 488 h mein 18 sal ki umar mein aap rehmatullah alaihy Baghdad pohonchay ilme fiqa,ilmo adab aur ilme hadis Baghdad kay namwar asatiza ay hasil kiya in asateza kay ismaee girami is terha hain ilme fiqa kay hazrat abu loaf ali bin aqaily janbli abu alkhitab mehfooz janbalu anu alhasan mohd bin qazi abu yala mohd bin alhasnain bin mohd alfara alhanbaiqazi abu saeed mubarak bin ali akmukhri rehmat allay alaihim. Ilm adab aap nay abu alkhair hamad bin muslim bin warqa ila bas aur abu zikriya bin yahya bin ali altehrezi say seekha aur ilm hadis aap nay in mashaikh say partha.

Hazrat mohd bin alhasan baqlani abu saeed mohd bin abdul karim abu alghanaim mohd bin ali bin memon alfarsi abubakar ahmed bin almuzafar abu jafar bin ahmed bin alhussain alqadri abu alqasim ali bin ohd bin nand alkurkhi abu talib abdul qadir bin mohd yusuf abdul rehman bin ahmed abu barakat rehmat ullah bin almubarak abu al nasar bin almukhtar abu nasar mohd abu ghalib ahmed abu abdulla aulad ali ananbiya abu alhasan almubarak bin al tayuri abu mansoor abdul rehman atqarar abu albarkat talha rehmat ullah alaihim waghaira. aap rehmatullah alaihy kay ustad mohtaram hazrat abu saeed almubarak almukhri rehmatullah alaihy alazaj  Baghdad ka aap rehmat ullah alaihy moemim muqarar kardiya. Is madrasay say aap rehmatullah alaihy nay woh dine islam ki khidmat ki kay har taraf islam ki mashal roshan honay lagi.

Is madrasay say baray baray alam aur mublish paida huway 567 h mein aap rehmatullah alaihy nay is madarsay ki imarat ko kushada kiya takay koee bhi ilm ki dolat say mehroom na reh sakay.

 


References

  
 

Related Articles:

Islam | Quran-O-Sunnat    Hazrat Muhammad (P.B.U.H) Life In Roman Urdu    Eid Ul Adha | Eid Ul Azha | Qurbani | Eid Ul Adha Question And Answer    Quran Hadees | Kitab Quran   
Last Update: 19-May-12 03:46

pakseoguide.com |  noorclinic.com |  magurdu.com |  world313.com |  pakrishta.com  | 
© Copyright 2003-2018  www.pakservice.com , All Rights Reserved    Last updated: 9th Oct 2011