Abu almuzaffar sirajuddin bahadur shah sani 24 october 1775 bamutabiq 27 shabanul azam 1189 ko dehli mein paida huway woh akbar shah sani ka doosra beta lal bai kay batan say tha silsila nasb giyarween pusht par shehanshah hind nasiruddin babar say thurooh huwa.
Dehli kay akhri mughal tajdar aur urdu kay behtareen shair thay . zafar takhallus kartay thay.bahadur shah zafar ki indagi mustaqil aik alamia thi inhain apni poori zindagi mein kabhi bhi sukoon itmainan qalb aram o asaish aur gul o bahar ka mosam aik lamha kay liye bhi naseeb na huwa khulasa yeh haikay in ki zindagi ikhtisar say bayan karain to ah hai aur agar tool dain to ik marsia.
Tamam tar alam o masaib kay bawajud woh har fan mein yakta dikhaee daitay thay. Fane sapah gari, fane teer andazi,fane shehsawari, khatari aur khush nawaisi mein apni missal aaap thay in ki rasme tajposhi 30 september 1837 bamutabiq jamadi us sani 1253 h hantay ko huee tajdar nay deegar shadiyon kay alawah zeenat mehal say shadi ki j okay ahmed quli sahib ki sahabzadi theen.
Yeh wafadar biwi badshah kay akhri snson tak in ki khidmat mein hazir rahi jabkay doosri biwiyan sath chor gaeen theey.ahista ahista angrezon nay Hindustan par apna tasalut jama liya tha. Bahadur shah zafar ko bhi unhon nay majboor o bebas karkay rakh diya tha mughlia khandan kay akhri farman rawan kay khilaf har taraf say baghawat sar utha rahi thi bigarta huway halat o waqiyat nay badshah ko bimar o najor bana diya tha. Badshah ka mushghala quran pak ki khatati tha. 24 august 1845 ko bhi woh namaze fajar kay bad is kam mein mashghool thay.
May 1857 ko hangama baghawat nay nuqtae auj ko jaliya. Badshah ko sarkar committee aik lakh mahwar daiti thee jis say woh apnay aur apnay khandan kay akhrajat puray kartay thay. Woh bhi band kardiya gayanobat faqa kashi tak pohonch gaee shehzadon ko goli mardi gaee badshah ko giraftar kar liye gaya yeh tijarat kay liye aanay walay mulk kay maik ban baithay aur tijarat kay parwanay dainay walay mujrim qarar paey.
Mulkae hind zeenat mehal aur zinda bachnay wala shehzadon aur shehzadiyon ko giraftar karliya gaya safar 1274 ki pehli ya doosri tareekh ko yeh waqia paish aya.muqadma bahadur shah zafar kar rawaee dehli mein 27 january 1858 ko Zaire tehat European fauji commission kay jo bahukam sahib bahadur major general panisi b commandeering divisions hasbe hidayat sir john Lawrence chief commissioner panjab muqarar kiya gaya tha. Amal mein aaee. 28 January baroz jumerat 1858 ko dobarah kar rawaee shurooh huee badshah salamat par ghashi ki halat tari hogaee. 29 january 1858 baroz juma 30 january 1858 baroz mangle 5 fabruary 1858 baroz jumerat 6 fabruary 1858 baroz juma 8 fabruary 1858 baroz jumerat 9 fabruary 1858 baroz pir 10 fabruary 1858 baroz mangle 11 fabruary baroz budh , 12 fabruary 1858 baroz juma 13 fabruary 1858 baroz hafta 24 february 1858 baroz mangal 3 march 1858 baroz budh 4 march 1858 baroz jumerat 9 march 1858 baroz mangal ko karrawaee amal mein aaee. Is roz badshah habadur shah zafar ko mujrim qarar dai diya gaya ka yeh angrezon kay khilaf bahawat karnay kay zimmedar hain9 april 1858 ko adalat teen bajay ghair moeena waqt tak multawi kardi.
17 october 1858 ko baghawat kay theek aik sal bad angrez nay bahadur shah zafar ko bamai ahl o ayal culcutta muntaqil kardiya 1858 kay akhri mahinay mein bahadur shah zafar ko Rangoon muntaqil kardiya gaya yahan par inhain guzar auqat kay liye chay so rupai wazifa milta raha. In ayyam mein unhon nay nihayat pur soz shairi ki.
Na kisi ki aankh ka noor hoon, na kisi kay dil ka qarar hoon
Jo kisi kay kam na aasakay mein woh ik mushte ghubar hoon
Khandane taimuria ki tareekh ki akhri kari bahadur shah zafar ko angrez nay Rangoon mein qaid rakha un kay sath un ki chahitee malka zeenat mehal aur chotay shehzaday bhi thay. Badshah salamat ko is qaid mein falik ka arza lahaq huwa aur woh 7 november 1862 ko qaide farang aur qaide zeest donon azad hogay inhain Rangoon hi mein dafan kiya gaya marqad aik beri kay nichay matti ki dheri thi.