Pakservice.com

 
       Home >> News>> Article>> Others >> Article | Story In Urdu

Article | Story In Urdu

Here we are writing an article about rainy day in Pakistan in Roman Urdu.

  Table of Content  
  .                                                                                                                      .
Articles In Urdu


Articles In Urdu  


.                                                                                                                      .
Barish Aur Soch

1988 mein jab raat barah aik baje apne hostal lota karta tha to campus sunsaan hota. Us waqt tuk mein ne british aur uearopy union mein shamil Switzerland denmark Sweden oslo, paris aur Belgium ka nazarah nahin kiya tha laikin eemandari se mawazna karun to new campus kisi se cum dikhaee nahin deta. Barsaat mein bheegta campus aaj bhi mere nastaljiya ko taro taza kiye huwe hai. Campus mein guzare achhai dinon ko yaad karun to mujhe woh raatain yaad aati hain jab suhail ahmed aur bubbu baral ki qayadat mein zafar minhas, imranul haq chauhan, rana basher, afzaal naveed aur apne roomet suhail chinioti k saath rat jagai kiya karte the. Rat jagai k aakhir mein bubbu baral hum sab ki farmaeesh ar dhimee lai  par lata,noor jahan aur mehdi hasan k geet sunaya karta tha mein choonke bubbu baral k andar chhupi unginat salahiyaton ka sultani gawah aur motarif tha is liye is se bharti fok glokar ramta chanchal , mohd rafi, tufail niazi, ustaad nazar hussain, s.d.barman, ustaad hussain bakhsh gulu, inayat hussain bhatti ki gaaekiki parody sunane ki farmaeesh kiya karta bubbu aik mudi insaan tha kabhi to woh meri farmaeesh puri karta aur kabhi inkaar kardiya karta. Mein is ka mood achha daikh kar curronty hostan,maria carry,umme kulsoom, ustaad salamat ali khan aur ustaad bare ghulam ali khan ka andaze gaiki sunane ki farmaeesh karta. Bubbu mazkura fankaaron k andaaz ki parodi suna kar hairan kardiya karta. Kabhi kabhi sochta hun agar woh mian taan sain ki aawaz sun laita to un ki parodi bhi sunadeta. Aaj ki sardi ne mujhe mera bichhra dost bubbu baral yaad karadiya hai allah us ke darjaat buland rakhe.

Gaye dinon ka suragh le kar kidhar se aaya kidhar gaya woh
Ajeeb manoos ajnabi tha mujhe to hairan kargaya woh

 


.                                                                                                                      .
Pakistan Mein Barish Aur Soch

Pakistan mein subah najane kab sey barish ho rahe hai jis se mausam ka temperature yun girgaya hai jaise hamari currency gir rahi gaee hai. Mein apne ghar kay drawing room cum bed mein baitha column likhne k liye bilkul is tarha koshan hun jaise hamare mohib jumhuri aur askari rehnuma mulk ki salamati aur us ko darpesh khatraat se nimatne kay liye yak jaan do qalib ho chuke hain. Sardi kay baes mera ghar siyachan ka naqsha pesh kar raha hai, is par bijli aur gas ki load shedding ne mahol ko munjamad kar diya hai. Thande baraf hathon ki yakh basta ungliyon mein bal point aur khayalat ki load shedding kay baes kuch samach nahin araha kay dil ko ruwon ya peetun jigar ko.

Hairan hun dil ko ruwoon k peetoon jigar ko mein
Maqdoor ho to saath rakhoon noha gar ko mein.

Shahida mere ghar mein kaam kaaj karne mein begum sahiba ki moavin keay taur par taeenaat hai. Shahida pichhle adhe ghantai se chai banane mein masroof hai magar choolah aag ugalne ki bajai sirf sitiyaan baja raha hai. Chai pakane kay liye aag kay aik musalsal sholay ki zaroorat hoti hai bhapkon se to chai bhi nahin pakti. Hamare mohibbe watan Pakistani siyasatdan andruni aur beruni mohazon par geedar bhapkiyon mein masroof hain jab k haqiqat yeh hai k hamare pas chai ki piyali kay liye sui gas nahin hai. Mein paidaishee taur par lower middle clasia hun. Zindagi bhar mehnat ki, mukhtasir tareen kunba hai jo sirf teen afraad par mushtamil hai. Ab mein apne aap ko bamushkil middle clasia bana paya hun. Mein apni qadre munasib mali istetat kay baes pani, telephone,bijli o gas kay bill ada karne ke bawajood har buniyadi sahulat se mehroom kar diya gaya hun.meri  tarha mulk ki kaseer abadi ko riyasat aur hakumat ne na khalaf qarar de ka har nemat aur sahulat se "aaq" kar rakha hai. Hamara qasoor kiya hai? jab riyasat aur hakumat awam ko aata, sugar, bijle aur gas jesi buniyadi zaroorat faraham nahin kar pa rahi to phir riyasati adaron mein barajaman mohiban aur jumhuriat k azeem singhasun par jalwah gar rehnumaon ko khate azmat k khumar se nikal kar sarwaiwal ki akhri jang larni chahiyai. Awam ko har bar dhoka kiyun dia jata hai?kiya is waqt hamara sab se bara issue memo hona chahiye? Kiya hamara asal masla maeeshat ki barbadi, 'dahshat gardi; berozgari,bhook nang aflas mehangaee aur woh buniyadi ashiai zaroorat nahin jihain arze pak se urad chhu kardiya gaya hai.

Pakistan ki salamati aur qaumi waqar kay naam par har baar awam ko un ke buniyadi haqooq se mehroom nahin kiya ja sakta. Mashriqi Pakistan mein kiya huwa tha, hum ne mulki salamati aur qaumi waqarke naam par in par fauj kashi ki phir un ki siyasi bartari manne se inkaar kiya to hamare apne bhai ham se alehda ho gaey. Banliyun ne Pakistan k adhai hissai ko Bangladesh banaliya. Ab halat yeh hain k hamare haan Bangladesh model import karne ki baatain bhi ki ja rahi hain.defence committee ko watan ki hifazat ki hikmate amli te karte huwe awam ki buniyadi zarooraton ko sare fahrist rakhna chahiye kiyunkeh agar log khali pait aur nunge jisam huwe to askari aur jumhuri taur par ham atomy quwwat aur na qabil taskheer kehlate jachain gai nahi.

Aaj mein aap se romanvi batain karna chahta tha magar thand, load shedding aur subah nihar kalaije baz akhbari surkhiyon aur columon ne sala mood hi gharat kardiya. Baharhaal ghussa apne hi andar nigalte huwe aap se share karma chahta hun kay is mausum mein panja university campus ghazab ka romantic manzar pesh kiya karta tha.punjab university mein mera taleemi session 1968-90 hai. M.a. jernalism k aghaz mein hi apne mohsin aziz dost aur class fellow hamir mir ki meharbaniyun se "baazi lejanewale" akhbaar k feature section se wabasta hogaya. Mohtaram zia sahib subh 10 baje magazine ki rozana meeting ka aghaz kiya karte jis se ghair hazri ka tasawur nahin tha. Yeh meeting aksar tawalat ikhtiyar kar jaya karti thi. Meeting k baad apni motor cycle dorakar jernalism department new campus pohoncha karta to mere saathi zaiwere taleem se aarasta ho kar apne gharon aur hostels ko ja chuke hote jab k wahan mera istaqbaal I.E.R (institute of education and research)  kay khali aur sunsaan baramde kiya karte the. 88 k aghaz se le kar 90 aur phir 1991 k chand mah tak meri allotment new campus k 18 number hostel k kamrah number 211 mein rahi. Kamrah number 211 tha ya phir aik alag duniya jahan mere bare bhai adakaar suhail ahmed aur mere piyare dost bubbu barrel marhoom mere "roomet" huwa karte the jab k visitors mein hamir mir adakaar amanullah adakaar albela usman irzada suhail asghar samit deegar shamil the.mujhe yaad hai jis raat hamid mir kamrah number 211 ka chakkar laga jate new campus mein aman o aman aur islami riwayat k farogh ki zimedar "agency" ke ahalkaar hakat mein ajaya karte the. Magar jab unhon ne khoj lagaya k kamrah number 211 mein siyati sargarmiyon ki bajai fankaraana harkaat o saknaat hi ki jati hain to pura taleemi session koee na khushgawar waqia nahin huwa aur ham "woh jamat pass" direct M.A.jernalism jernalist ban gai.

 


References

  
 

Related Articles:

Article on Contact Lens In Roman Urdu    Shah Abdul Latif Bhittai In Roman Urdu And Hindi    Gas Shortage In Pakistan In Roman Urdu and Hindi    Health Tips In Urdu    Zulfiqar Ali Bhutto In Roman Urdu and Hindi                       
Last Update: 17-Jan-12 09:27

pakseoguide.com |  noorclinic.com |  magurdu.com |  world313.com |  pakrishta.com  | 
© Copyright 2003-2018  www.pakservice.com , All Rights Reserved    Last updated: 9th Oct 2011