|
Back mein dard ki bayshumar wajuhat hosakti hain leikin is say bachnay aur is kay ilaaj ka aik tariqa yeh bhi hai agar aap kay uthnay, baithnay, laitnay aur chalnay ka andaz durust nahin hai aur zindagi kay mukhtalif amoor anjam daitay huway aap apnay jisam ko is terha nahin rakhtay ya is terha istemal nahin kartay jis terha karna chahiye to is ghalat tariqay aur andaz ko durust karain.jisam ko munasib andaz mein rakhnay ka sirf yah matlab nahin hai ka aap bilkul sidhay tan kar kharay hon ya seena bahal nikal kar chaplain bulkay is ka matlab yah hai kay aap hama waqt apnay jisam ko munasib andaz mein istemal karain. Haqiqat yah hai ka agar aap apnay jisam ko intehaee sehat mand halat mein kam karnay kay qabil rakhna chahtay hain to isay is terha istemal karain kay pathon aur joron samit sakhat hadiyon aur naram kurkuri haddiyon par zaroorat say ziyada bojh aparaiy.
Khas tor par agar aap kamar kay dard say bachna chahte hain to is qisam kay dabao aur bojh say parhaiz zindagi ka lazma hona hahiye aur is ka amli muzahirah laitnay,baithny, kharay honey ,chalnay, kam karnay aur warzish karnay kay doran hona chahiye.jab jisam durust halat mein hota hai to jisam kay andruni aaza ko itni jagah mil jati hai kay woh asani say normal andaz mein kam karsakain aur jisam mein khoon bhi ziyada asani say dor sakay.
Ham yahan aap ko mahireen kay mashwaray kay mutabiq jisam ko durust andaz mein rakhnay kay tariqay qist war batain gay. Jin par amal karkay aap kamar kay dard say mehfooz reh saktay hain.is silsilay mein khususi tawajoh haston par dainy chahiye jin ki takeed aram karnay kay moqah par ki gaee hai.kiyun kay aam tor par jab log bistar par daraz hotay hain to bay khayalai aur nadanistagi mein is terhal laittay ya sotay hain jis say kamar aur garden kay pathon par ghair zaruri dabao parta hai. Agar ap tamam surton mein jisam ko durust andaz mein rakhnay ka tariqa seekh gaey to batadrij aap ki chaal dhal durust honai gee aur woh patthay bhi mazboor hojain gay.jo aap ki sakht mehnat karnewali kamar ki hifazat aur inhain sahala dainy mein madad kartay hain.
Roz marrah kay kamon kay injam dahi kay doran kamar kay dard aur isay dabao say mehfooz rakhnay kay liye behtar yah haikay aik kam say farigh hokar doosra shurooh karnay say pehlay kuch dair aram karlay takay thakawat tari na ho aur aap phir say taza dam hojain.khawateen e khana ghar kay mukhtalif kam karti rehti hain inhain chahiye kay woh darmiyan mein thori dair lait kar kamar sidhi karlain. Inhain apni jismani halat par bhi musalsal nazar rakhni chahiye. Aur inhain zaroorat kay mutabiq pait ko andar ki janib, peeth ko seedha aur ghutnon ko morna chahiye. Dain janib batai gaey tariqon par amal say aap ki kamar par kam say kam bojh paray ga aur aap dard say mehfooz rahain gee.
|