Pakservice.com

 
       Home >> Urdu>> Islam>> Q/A >> Eid Ul Adha

Eid Ul Adha

Eid ul Adha is the Arabic word which mean scarifies. Eid ul Adha is the religious occasion for Muslims. Muslims celebrate this day because Hazrat Ibrahim was sacrificing his son Ismail as an act of obedience to Allah. But Allah came between to provide him with a sheep and safe to Ismail. Here we discuses and conclusion question and answer about Eid ul Adha in Roman Urdu.

  Table of Content  
  .                                                                                                                      .
Mulims Holiday


Mulims Holiday  


.                                                                                                                      .
Sunnat Ki Roshni Mein Qurbani

Qurbani Kay Janwaron Ki Umron Kay Mutaliq
Hazrat Jabir Razi Allah Anho say riwayat hay farmatay hain ka Rasool Allah Mohammad Mustafa nay irshad farmaya “tum masna (yani bakri wagahira aik sal ki umar ki aur gai do sal ki aur oont panch sal ki umar ka ho” siwa qurbani ka janwar zibah na karo siwai is kay kay tum agar tumhain “aisa janwar na milay” to tum aik sal say kam umar ka dunbai ka baha zibah karlo (woh chahay chay mahinay ka hi ho aur yah ijazat sirf dumbay mein hai kay woh chay mah ka bhi zibah kiya jasakta hai)

Qurbani Karnay Wala Apnay Bal Aur Nakhun Na Katwai
Hazrat Umme Sala Razi Allah Anha Nabi Mohammad Mustafa ki zoja mutahra farmati hain kay rasool allah mohd Mustafa nay irshad farmaya “jis admi  kay pas (qurbani ka janwar) zibah karnay kay liye ho to jab woh zilhajja ka chand daikh lay to woh us waqt tak apnay balon aur nakhunon ko na katwai jab tak qurbani na karlay”

Qurbani Sunnate Ibrahimi Hai
Hazrat Zaid Bin Arqam Razi Allah Anho say marvi hai ka Sahabi Karam Rizwan Allah Alaihim Ajmaeen nay arz kiya ya Rasool Allah Mohammad Mustafa yah qurbani kay janwaron ki haqiqat kiya hai? Farmaya “har bal kay badlay aik naiki hai “poocha aur oon (kay badlay mein ( farmaya  “oon mein bhi aik naiki hai”

Takbirate Tashriq
Hazrat Ubaida Razi Allah anho say riwayat hai kay hazrat ali razi allah anho bin abi talib hamaray pas tashrif lai aur arfa kay roz subha kay bad say tarween zilhajja ki asar tak yeh takbeerain  har faz namaz kay bad parthtay rahay. Allah o akbar allah o akbar la ilaha illal laho wallah o akbar allah o akbar wallilail hamd TARJUMA: allah bohot bara hay allah bohotbara ha nahin koee mebood siwai allah kay aur allah bohot bara hai allah bohot bara hai aur tamam tarifain allah hi kay liye hain

Qurbani Ka Gosht Zakhira Karna
Hazrat Anas Razi Allah Anho say marvi hai farmatay hain kay Rasool Allah Mohammad Musafa nay teen baton say manah kiya hai”teen din kay bad qurbani kay gosht say qabron ki ziyarat say aur in (sharab ka) bartanon mein nabeez bananay say “phir rasool Allah Mohammad Mustafa nay irshad farmaya “khabar dar suno!mein nay tumhain teen cheezon say manah kiya tha   phir mujhe in haqiat ashkar huee  mein nay tum ko tin din kay bar qurbani ka gosht (khanay say) manah kiya tha phir mujhe wazeh husa kay log (gosht) ka salan (allah ki rah mein)  kharch kartay hain apnay memanon ko khilatay hain aur apnay ghaib logon kay liye bacha kar rakhtay hain laihaza ab tum khao aur rok bhi lo aur mein nay tum ko qabron ki ziyarat say manah kiya tha pas ab ziyarat kiya karo laikin wahab laghu bat karnay say aiteraz karo bai shaky eh cheezain dil ko naram karti hain aankhon ko rulati hain aur akhrat ki yad dilate hain aur mein nay tum ko in bartanon say manah kiya tha (sharab kay bartanon say) pas jin bartanon mein tum chaho  (halal cheez)

Qurbani Ka Sawab
Haszrat aisha sidiqa razi allah anha say riwayat hai kay nabi kareem mohd Mustafa nay irshad farmaya “das zilhajja ko ibne adam koee aisa amal nahin karta jo allah tala ko khoon bahanay say ziyada pasand ho aur roze qayamat qurbani ka janwar seengon,kharon,aur balon samit paish hoga  aur khoon zameen par girnay say pehlay allah tala kay han muqam maqbuliyat hasil karlayta hai is liye khush dili say qurbani kiya karo”

Qurbani Ki Khalon Ka Masraf
Hazrat Ali Razi Allah Anho Bin Abi Talib farmatay hain ka Rasool Allah Mohammad Mustafa nay in ko apni qurbani ka gosht ,khalain aur jholain waghaira sab kay sab masakeen mein taqsim karnay ka hukam farmaya.

 


.                                                                                                                      .
Eid Ul Adha

Question: Aaj kal bohot say madaris aur bohot say rifahi adaray ijtemaee qurbani ka ahtemam kartay hain aur in mein say baz adaron ki taraf say akhbarat mein jo ishteharat shaya hotay hain in mein wazeh tor par likha hotaha ka rasid dikhakar qurbani ka char kilo gosht hasil kiya ja sakta hai kiya is terha ki mashroof qurbani jaiz hai?
Answer: Koee shakhs razakarana tor par chahay qurbani ka sara gosht is idaray ko daiday yah to jaiz hai laikin yeh shart lagana ka sirf char kilo gosht milay ga  ya saheh nahin is terha kisi ki qurbani bhi jaiz nahin hogi aur is rifahi adaray ko bhi is terha ki shart lagaka qurbani mein hissa dalwana jaiz nahin hogi.

Question: Kiya zakat ki raqam ya qurbani ki khalain farokht karkay in ki raqam lawaris mayyyat ki tajhez o takfeez kay liya istemal ki jasakti hai?
Answer: Zakat mustahiq musalmanon par kharch ki ja sakti hai isi terha qurbani ki khalain farokht karkay in ki raqam bhi mustahiq aur zaroorat mand musalmanon par kharch ki ja sakti hai. Kisi ghair muslim ya lawaris mayyat ki tajheez o takfeen mein yah raqam istemal nahin ki ja sakti.

Question: Aam tor par har shakhs baqra eid pay moqay par apnay ghar kay andar ya ghar kay bahar qurbani karta hai jis say saray shehar mein har ghar kay bahar qurbani karta hai jis say saray shehar, har ghar kay bahar  aur har gali mein khoon hi khoon, qurbani kay janwar ki alaishain bukhri huee nazar ati hain aur shaher gandagi say bhara huwa nazar ata hai jagha jagha bad bu haili huee mehsoos hoti hai kiya eide quran par islam kay is naray kay “safaee nisf eeman hai” ko koee ahmiyat hasil nahin hai?
Answer: Qurbani hazarat ibrahim alaisalam ki sunnat ha allah tala nay hazrat ibrahim alaisalam ko qurbani ka hukam diya to unhon nay isi maqam par qurbani nahin ki jahan unhain qurbani ka hukam mila tha balkay woh sheher say bohot door bahar tashreef lay  gaey aur wahab ja kar unhon nay qurbani ki aur is terha unhon nay apnay amal kay zaria is taraf isharah kiya kay shehar ko saf suthra rakhnay key liye gali gali aur kucha kucha qurbani na ki jai aur logon ko yeh na dikhaya jai kay is ghar walon nay qurbani ki hai bulkay khuloos aur mohabat kay sath shahar kay salay log shehar say bahar nikal kar aik jagha qurbani karain aur phir wahan say qurbani ka gosht ani ani raihaisha ahon par lay jain. Baray shehron  jaisay Karachi hai to wahan pandrah bees jaghain mutayan karli jain kay log wahan jakar qurbani karain aur wahan say gosht banwakar apnay apnay gharon lay jain. Is terha sehat o safaee kay amlay ko shahar mein safaee karnay say bhi asani rahe gi aur sara shahar ganda bhi nahin hoga ham log qurbani kay adhai hukam   par amal kartay hain aur adhay hukam par amal nahin kartay kay qurbani to kartay hain magar shahar bhar mein gand phaila daitay hain jabkay ham logon ko puray hukam par amal karna chahiya maslan Karachi shahar mein atharah town banai gaey thay in mein say har town main aik jagha muqarar karli jai aur pooray town kay rehnay wala wahan jakar qurbani karain.

Question :Tabkeer tashriq kin dinon mein parhi jati hai?
Answer: Zil hajj ki 9 tareekh kin amaze fajar kay bad say lay kar har farz namaz kay bad 13 zilhajja ki asar ki namaz tak takbeer tashreeq aik martaba buland awaz say parhna zaroori hai. Question: namaze eid kay liye jatay waqt aur aatay waqt bhi kiya takbeer tashreeq parhi jati hai?  Answer: ji wahan namaze eid kay liye jatay waqt aur aatay waqt buland awaz say takbeer tashreeq parhni chahiye.

Question: Ayaame tashreeq  kon say hain?
Answer: 9,10,11,12,13 zukgahha ayame tashreeq hain

Question: Ayame tashreeq mein kiya aurtain bhi har namaz kay bay takbeer tasheeq parhain?
Answer: Takbeer tashreeq  har mard aur har aurat par har namaz kay bad lazim hai farq sirf yah hai kay mard har namaz kay bad buland awaz say takbeer tashreeq parhain gay aur aurtain har namaz kay bad ahista awaz mein takbeer tashreeq parhhain  gi.

Question: Qurbani kis shakhs par karna lazim hai?
Answer: Jis shakhs par sadqa,fitrah wajib hai us p ar qurbani karna bhi wajib hai jis sheikhs kay pas raihaishi makaan ho aur roz marrah istemal ki doosri cheezon ka alawah sarhay bawan tola chandi ya itni maliyat ki gharailu ashia ya saman  tijarat ho to us par qurbani karna lazim hai aurton kay pas chandi kay ya sonay kay zevrat hon ya mehar ki raqam sarhai bawon tolay chandi ki qeemat ka barabar ho to is par bhi qurbani karna lazim hai.

Question: Qurbani ka waqt kiya hai?
Answer: Zilhajja ki daswin tareekh ko namaze eid ada karnay kay bad barah zilhajja kay ghuroobe aftab tak qurbani ki ja sakti hai qurbani din mein bhi ki jasakti hai aur rat mein bhi maker behtar yehi hai kay qurbani din mein ki jai qurbani kartay waqt duain yad hon to woh parh li jain  aur agar yad nah on tab bhi baghair dua parhai hi qurbani hojaigee.

Question: kiya qurbani kay janwar mein kisi aur maqsad say bhi hissa liya ja sakta hai?
Answer: Gaye (Cow) ya oont (Camel) waghairah mein qurbani kay alawah sirf aqeeeqa kay liye hiwsa liya jasakta hai is kay alawah kisi aur maqsad ay hilla laina jaiz nahin ha maslan gai mein char hissay qurbani kay aur teen hissay aqeeqay kay liye ja sakte hain.

Question: Qurbani ki khaal kis ko daini chahiye?
Answer: Jo log zakat kay mustahiq hain sirf un ko qurbani ki khaal di ja sakti hai in kay alawah aur kisi ko nahin dee ja sakti hai. Jaiz nahin hai.

Question: Qurbani ki khaal kisi hospital  waghairah kay akhrajat mein kharch karna jaiz hai ya nahin?
Answer: Qurbani ki khal kisi aspatal kisi lawaris mayyat ki tahjeez o takfeen ,masjid ya madarsa,ki tameer o maramat  kay liye kharch nahin ki ja sakti aur na aisee tanzimon aur rifahi adaron ko qurbani ki khalain daina jaiz hai jo is ko in madat mein kharch karain.

Question: Saal mein kitnay dinon mein rozah rakhna haram hai?
Answer: Eid ul fitar kay din eid ul azha kay din, 11,12 aur tairah zilhajja ko rozah rakhna haram hai.

Question: Log kehtay hain kay eid ul azha kay din qurbani kay waqt tak rozah rakhna chahiye  kiya yeh sahih hai?
Answer: Baqraid kay din qurbani tak kuch khana peena nahin chahiye laikin agar koee kuch kha pi lay to gunah gar nahin hoga aur is ko rozaih ka nam nahin daina chahiye.

 


References

  
 

Related Articles:

Islam | Quran-O-Sunnat    Hazrat Muhammad (P.B.U.H) Life In Roman Urdu    Abdul Qadir Jilani Rahmat Allah Allah    Quran Hadees | Kitab Quran           
Last Update: 19-May-12 11:27

pakseoguide.com |  noorclinic.com |  magurdu.com |  world313.com |  pakrishta.com  | 
© Copyright 2003-2018  www.pakservice.com , All Rights Reserved    Last updated: 9th Oct 2011