|
Sawal "Kia wajah hai kay ab bharat kay bajaye Pakistan mein ziada kam kar rahay hain?" Fakhir, "aj kal ajeeb-o-gareeb surat hal hai, jisay dekho Mumbai ka ticket katwa ker bharat ja raha hai,aur apna album wahan say release kar raha hai. mein say audio album release karney ka mukhalif her giz nahin houn. Lekin hamain apni home market per insaar karna paray ga. Mein nay apna new album pehlay Pakistan say release kia hai. Ab bharat say bhi release karun ga. Baat darasal yeh hai kay Pakistan aur India kay taluqat gair yaqini rahtay hain. Kabhi achay aur khush gawar taluqat ho jatay hain aur kabhi dono mulkon kay darmiyan talkhian barh jati hain. Aisi surat hal mein artist confusion ka shikar ho jata hai. Pak Bharat taluqat thanday garam chaltay rahain gay hamain to kam karna hai. Iss liyeh apnay mulk mein ziadah kam kernay ka irada hai. Hamaray mulk mein bay panah talent hai. Mein bharat mein shows kernay kay liay jata rahta hun."
Sawal, "Dunia bhar mein shohrat aur bay panah kamiabi kay hasul kay bad ap kaisa mehsoos kartay hain?" Fakhir nay bataya "Mein apnay zehni sukoon aur andar kay sukoon kay liyeh dor raha hoon. Mein buniadi tour pay electrical engineer hoon, kuch bhi kar sakta tha. mein iss waaqt mousiqi ki taraf aya, jab mousiqi ko koi career nahin samajhta tha aur na hi es shobay mein itna paisa tha jitna aj kal hai. Zindagi main ap woh kam karain, jo ap ka dil chahata hai. Mein nay school kay zamanay hi say gana shuroo ker dia tha."
Sawal, "ap ki fitness ka kia raz hai?" Fakhir, "Mein sab kuch khata hun. Achar aur icecream bhi kha leta hoon, lekin warzish zaroor karta hun. Sakht sardi mein bhi exercise kar na nahin chorta."
Sawal, Dosray funkaron ki trah ap ka bhi koi flahi adara bananey ka program hai? Is sawal kay jawaab mein Fakhir nay (zara sochtay huwaye) bataya "Mein kisi ki naqal nahin karta." Fakhir nay mazeed bataya keh, "Pakistan navy kay sath mil ker sailab zadgan kay liay kam kar raha hun. Zati hasiat mein jo bhi insani khidmat anjam day sakta hun- zaroor karta hun. Falahi adarh bananay ka program nahin."
|