|
MQM Rabta committee ke deputy conviner aur palemani leader Farooq sattar ne kaha ke qaumi assembly mein jumhuriat ke han main qarardad ki himayat of faisla kia hai. Itwar ko sahafiyon se guftugu karte huwe Farooq Sattar ne kaha ke guzishta dinon rabta committee ka hamare aeni mahareen aur parlemani arkan ke saath ijlas huwa. Jismein faisla kia gaya ke asfand yar wali ke janib se jo qarardad aiwan mein pesh ki gae hum us ki himayat karain gey aur us ke huq mein wot daingey. Aur aaj hum ne yeh apna faisla Rehman Malik ko bataya hai.
Is moqeh par wazire dakhla Rehman Malik ne kaha ke jab se halat danwadol nazar arahai the us ke saath lagataar batain horahee theen qaid e tehriq Altaf husain bhai ko nahin bholna chahiyae. Mein un ki himayat aur rehnumai jo unhon ne hamari leadership ko di us ka mashkoor hun. Jumhuriat Pakistan mein sab ki qurbaniyon se aae hai laikin is ko paya e takmeel tuk le jane main hamaisha us ki himayat mein jo kardar Altaf Bhai ka hai .
who qabil e sataish hai unhon ne kaha ke aisey bhi mowaqeh aaey ke jumhuriat bohot khatrai main pari laikin Altaf husain bhai aik pukke dost ki haisiyat se aik rehnuma aur aik achhai ittehadi ki haisiyat se hamare sath khule zehan se kharai huwe hain. Har who sazish jo peoples party ki hakumat ya leadership ke khilaf huwe unhon ne us ka muqabla kia aur bhar poor andaz mein kia. Mein aaj khas taur par is baat ka ziyadah shukria ada karoon ga ke hamare siyasi harif ne ilzam lagane ki koshish ki barh charh kar sazish ki koshish ki to jistarha alrtaf bhai ne 10 lakh ka majma 24 ghanton mein khara kia aur apni dosti ka izhar sadar asif zardari ke liye kia puri party us ko duaen deti hai aur age bhi ikhatta rehne ka azem rakhti hai. Rehman Malik ne kaha MQM aur peoples party aik muttahid partnership hai aur yeh Pakistan mein jumhuriat ke liya lazim o malzoom hai. Peoples party aur MQM Pakistan ko har qisim ke masael se nijaat dilaigi.
|