|
Watan aziz iss waqt gas aur electricity dono bohrano sey guzar raha hai ,yeh do baham motaliq hain, yani ek ka asar dosray per parta hai. Ek taweel arsay sey hamari tawanai ka mehwar gas hai jokay hamara ek bahut bara sarmaia hai. Gas ka yeh qudrati zakhera din ba din kam hota jaraha hai. Magar iss hawalay sey hamain koi ziada tashweesh nahin yahi sab sey baray ghaty aur khasaray ki bat hai. Hamaray manasuba sazon ki naqis mansuba bandio hikmat amli nay mulk ko mukhtalif buhranon sey do char kia hai, kabhi sugar kabhi ata aur kabhi electricity, khabi gas kay buhran paida kia. Jis sey awam ko azad mushkilat ka samna karna paraha hai. Electricity aur gas ki bela tatul frahmi mashi, santi taraqi ki zamin hai. Hamaray tajarti hawalay sey muqablati harifon nay apni sanat ko electricity aur gas ki frahmi ko yaqini bana kar taraqi ki hai.
Fil waqt pakistan mein gas ki paidawar 1.3 trillion cubic fits salana yani 4 billion cubic fit hai, jab kay hamari gas ki salana talab 2 trillion cubic fit yani 6 billion cubic fit hai. Gas tawanai ka sasta zaria hai jisay ham sabqa kai sahaion sey bazreag istemaal ker rahay hain. Baitmaad andazon kay mutabiq mulk mein zearay zameen gas kay waki zakhaer moujud hain magar in ka abhi tak khoj nahin lagaia gia aur nahi iss hawalay sey koi ziada hosla afza pashe rft dekhnay mein arahi hai-ek report ki ru sey sirf sindh mein 25 trillion cubic fit mathen gas kay zakhair moujud hain ek andazay kay mutabiq pakistan mein gas kay maloom zaraia sey 6 guna sey bhi zaid dakhair moujood hain jinhain istmal mein lanay kay liyeh koi , jinhain estamal mein lanay kay liyeh koi musbat iqdamat nahin keyehgai. Ek ser way kay mutabiq kohat kay qareeb bhi sui mein pai janay walay gas kay dakhair kay barabar gas kay dkhair mujood hain.
Humari bad qismati hai kay hamaray siasi-o-antazami bad halat aur adam tawajahi ki waja sey gas ki talab kay muqablay mein iski khoje laga kar usay istamal mein lanay kay liyeh matluba iqdamat nahaiat kam kiyeh gaye hain, jis rafter sey gas ki mang mein roze broze azafa ho raha hai iss kay bilmoqabil us kay barabar rasd ko qati nahin laia jasaka. Aj ham jis bohrani surat hal sey do char hasin us ki dosri wajah yeh hai kay ham nay tawanai kay dosray mutbadil mumkina apshanz par bhi tawajjah nahin di. Aj tawanai kay hawalay sey surat hal iss mein ja raseed kasy flour iss bohran per qabu pana namumkin hai jis ki wajah sey hukumat gas ki load management pal isi per amal paira hai aur shadeed sardion mein hukumat dusray shoba jat sanet aur transport kay bajai gharelu sarfeen ki gas suplly tarjeh dairahi hai badi nazar mein yeh hukumati aqdam mashi sey ziadah siasi hai mulki satha par gas ki paidawar aur us ki khapat charon subon mein mukhtalif hai balochistan ka kul mulki gas ki paodawar mein hisah 17 fisad aur khapar mein 7 fisad, sindh ka gas ki khapat shair 66 fisad aur khapat 41 fisad jab kay punjab ka gas ki paidawar mein hissa 5 aur khapat mein hisa 45 fi sad hai.
Ek taraf awam gas kay shadeed bohran ka samna kar rahay hain aur doosri janib hukumat bela toqaf gas ki qemton mein azafa kar rahi hai hukumat nay guzishtah taqreban char salon mein hawish ruba azafa kia hai ab soorat hal yeh hai kay hukumat nay cng station ko bhi waqfay waqfay sey gas ki saplai rokna shuroo kar di hai jis sey awam bay panah mushkilat ka shikar hain aur iss hukumati iqdam kay khilaf sarapai ahtajaj hain. Gair moena arsay kay liyeh senaton ko gas ki frahmi band kar di gai hai, baqol wazir petroleum iss waqt mulk mein aik arab cubic fit gas ki qlilat hai aur mulk sangeen bohran ki janib berh raha hai janwari mein gas ki emergency nafiz karnay ki khush khabri sunai gai. Gas qeemton kay hawalay sey mulki sitah per mukhtlif subon aur ilaqon kay darmiyan gas kay mutfriq narkhon sey bhi guraze kia jai tawanai kay buhran ki wajah sey mulk mein ek takhmenay kay mutabiq char hazar sey zaid factory bund ho chukay hain, jo hamaray iqtsadi abter halat ki ek bahut bari nishan dahi hai.
Kittnay sharm ki baat hai kay wazir petroleum qom ko muzdah sunarahay hain kay mulk mein gas ek sey do mah kay liyeh band ho sakti hai aur kabhi woh yeh kehtay hain kay mulk mein gas hai hi nahi, kahan sey dain, wazir mosoof sey awam yeh pooch rahay hain kay ap nay gas ki ap nay gas ki qillat door karnay kay liyeh kia iqdamat kay hain? Yaqenan unhon nay agar koi thos iqdamat kiay hotay ya unhain ehsas hota to woh aisa baian hargiz nah detay.
Bela shubah gas kay sangeen bohran sey chutkara panay kay liyeh koi shart kat mojud nahin hai. Pak iran nay apnay hissa ki gas pipe line bachanay ka kam taiz kia hai. Magar america dabao mein akar iss qabil amal mansoobay per pashe rifat karnay sey hichkicha rahay hain. America khahish hai kay pakistan iran sey gas laney kay liyeh bajaiy turkistan sey gas khareday ,jab kay turkistan sey gas kay rastey mein afghanistan hai. Turkistan kay muqabley mein iran pakistan kay qreeb hai afghanistan kay rastay gas laney ka matlab pakistan ko afghanistan mein mazeed phansaney aur iss per akhrajat ka bojh brahaney kay mudratif hai. Hamari hukumat ka dawa hai kay woh iran sey gas kay mansubay ki rah mein hail kisi rukawat ko khatir mein nahin laigi magar hukumati daway aur us kay amli iqdeamat mein mutabeqat nahin dekhai deati. Iss qomi mansoobay par hamain kisi bairuni dabao ko khatir mein nahin lana chahaye. Zinda qoumain wohi hain jo qoumi mufadat par samjohta nahin kartian bla shubah hum bhi ek zinda qoum hain. Humain bhi apnay qoumi mufad ko malhooz rakh kar agay barhna hoga.
Iss waqt ek aur bari mantaq sunnay mein arahi hai kay gas kay moujudah buhran ki ek wajah yeh bhi hai kay khasoosan transport aur sanat mein gas kay istamal kay ruhjan barha hai. Aj mulk mein gas ki bay inteha load shedding hai. Ab yeh baat chal rahi hai kay gas ki qemton ko petrol aur diesel ki qemton kay qareeb tar laya jata to aj hamain yeh surat hal der pashe nah hoti. Mein iss sey qatan itafaq nahin karta, mein baray afsos kay sath keh raha hun kay hamari ek bohut bari khami hai kay ham bohut jald hukumat, bari tadad partti ya baray admi ki zaidti bhool jatay hain. Kuch arsah qabal ki baat hai kay awam transport mein gas kay istemal ki janib tarjee daney kay liyeh garion mein cng kay istemaal kay liyeh baray zoor shor sey lecture diay jarahay thay to wajah isski yeh batai jarahi thi kay petrol aur diesel fiza ko bahut ziadah aludah kartey hain aur fizaie aludgi kurrah arz per basney waley insanon aur haiwanat kay liyeh nahaet nuqsan dah hai, magar jab awam ka rukh iss janib huwa to pakistan duniya mein cng istamal karney wala sab sey bara mulk ban gaia aur iss bat ko har form per saraha gaia. Bila shubah iss zaman mein ham nay taraqi yaftah mumalik ko apna rol banaia magar ham iss waqt yeh bhool gaiy kay hamari bhear chal ki khalat hamain bahut baray nuqsan sey do char kar sakti hai, andha duhn taqleed ka natejah yahi hota hai ,jo aj hum bhugat rahey hain. Shair-e-mashriq allama iqbal nay bilkul drust farmaya tha kay
Taqleed sey nah kar nakarah apni khudi ko Tu kar isski hifazat yeh goher hai yaganah Iss mein awam ka qatan koi qasoor nahin kay unhon ney mahol sey dostana tawanai kay zaryeh ko ziadah istamal mein laya. Qasoor war hukumraan hain kay unhon nay nah to gas ki daramad par tawajjah di aur nah mulk mein gas kay wasea zakhair ki khoje laga kar unhain istamal mein laya.
Jab gharealu sarfeen aur saneti adaron kay liyeh gas ki rasd otlab mein tawazn nah tha to phir buson, waganon,aur zati istamal ki garion ko chalaney ki sahulat farham karney ka kia maqsad, tha khudara hukam ran awam kay sath mazaq ka silsila bund karainaur awam ki mushklat ka ahsas kaertey huwaye gas kay bohran sey chutkarah delain. Ek takhmenay kay mutabiq iss waqt mulk mein taqreban 35 lacs grain cng par chal rahi hain. Itni bari tadad mein garion ki cng ki sahulat faraham karna iss waqt faiday mand hota jab mulk mulk mein gas ki qillat nah hoti. Yad rahay kay tawanai mein khud kefalat ka matlab mulki maeshat ko mhmeez karna hai. Aj mulk kay tamam shobay tawanai ki kami sey mutasir hain. Iss gas hi nahin deegar tawanai kay zraiay bhi nakafi hain, jis ki bina per sanat okarobar buri tarah motasir horaha hai. Gharalu sarfen alag pareshan hain. Tawanai ka maslah ghambeer ter hogia hay. Iss ko hal kiay begair nah to taraqii ker saktey hain aur nah hi mulk mein amno aaman ki soorat hal ko berqarar rakh saktay hain, kyun kay sanat okarobar honay sey logon ki bari tahdad malazmaton sey hath dho baithi hai jis sey hamara samaji shobah buri tarah mutasir hua hai. Bay rozegar kay zaraiy mein malauas hojatey hain.
|