Pakservice.com

 
       Home >> Urdu>> Islam>> Prophet >> Hazrat Muhammad (P.B.U.H)

Hazrat Muhammad (P.B.U.H)

Hazrat Muhammad is the last Prophet of Allah. Hazrat Muhammad was the son of Hazrat Abdullah and Bibi Amna. Hazart Abdul Mutlib was the grand father of Mohamaad Mustafa. Hazrat Muhammad Mustafa is the Allah messenger. He teaches to us according to Islam. If we act upon the Holy Quran of God. We will not go wrong. Here we ducuss about Hazrat Muhammad (Peace Be Upon Him) life In Roman Urdu.

  Table of Content  
  .                                                                                                                      .
Hazrat Muhammad Mustafa


Hazrat Muhammad Mustafa  


.                                                                                                                      .
Hazrat Muhammad (P.B.U.H) Life

Hazrat khalid bin walid razi allah anho dain janib say hamla kiya aur hazrat zubair bin awam razi allah anho nay bain janib say yalghar ki. Kuch dair laraee huee kuch sar tan say juda huway aur kuffare makka nay hathiar dal diye.

 Hajjatul wida hijrat kay bad aap Muhammad Mustafa ka pehla aur hayate tayaba mein akhri haj tha. Zoqada 10 hijri kjo aap Muhammad Musafa nay haj ka ailan kiya aur madinay munawara say haj kay liye rawana huway is haj mein aik lakh bachees hazar farzandane tauheed shareek huway. Mina kay maqam par pohonch kar anhazrat Muhammad Mustafa nay Benazir o Bemisal taqriri jo aik lakh bachees hazar musalmanon nay suni yah taqreer mein is liye tehreer kar raha hunk ay is mein insaniyat kay ahtaram, amanat ki pasdari, sood ki mumaniyat, shirk ka khatima  aurat ki azmat o hurmat aur beshumar nukton par sair hasile guftugu ki gaee hai j okay qadam qadam par hamaray liye zariae nijat hai.

" Logo! Meri bat suno! Zindagi ka kiya bharosa hosakta is kay bad yahan tum say mulaqat ho ya na ho logo! Tumhari jan o mal martay dam tak mohtaram hain bilkul isi tarha jaisay aaj kay din ya aaj kay mahinay ka ahtaram tumhain hazoore ilahi mein hazir hona hai aur wahan tumharay aamal kay baray mein tum say poocha jaiga yun mein nay tableeghe ahkam mein koee kami to nahin ki jis shakhs kay pas kisi ki amanat ho to isay wapas karday har sood maf hai han! Tum log apna asal rupia baghair zulm kiye aur zulm uthai lay saktay ho.

Allah ka faisla hai kay sood ghalat hai aur abbas bin abdul muttalib ka (qabil wasool) sood aaj maf karta hoon aur in mein say sab say pehla khoon rabi bin haris bin abdul muttalib ka hai jo maf karta hoon" logo! Tumahri zameen par shaitan apni parastish say hamaisha kay liye mayus ho chukka hai laikin tum apnay nazdeek chotay chotay mamlat mein us ki ataat karogay aur woh aap par khush ha daikho deen kay baray mein shaitan say daro….logo! nisi kufra aik ziyadati wala qanoon hai is say kafir gumrah huwa kartay thay yah log aik hi mahinay ko aik sasl halal aur doosray sal haram kardaitay thay khuda nay nasi ko haram karkay allah aur allah kay halal kiye huway koharam kartay hain. Duniya apni is sabiqa halat mein agaee jaisay zameen o asman ki paidaish kay din thay. Aur allah kay nazdeek mahinon ki tadad barah hai in hi mein char haram hain aik mizri sal kar jab jo jamadius sani o shaban kay darmiyan hota hai. Logo! Aurton par tumharay aur un kay tum mardon par kuch haququ hain in par yah farz hai kay tumhari aramgah mein woh kisi aisay shakhs ko na bithain jisay tum na pasand karo koee mehmal ghalat kari na karain to allah nay tumahin ijazat dee hai kay.

1.    un kay sath tarke rabt o istarahat karlo
2.    mamooli qisim ki zarbo saza day do.

Agar baz ajaen to hasbe dastoor inhain nan o nafqa do. Daikho! Aurton ka ahtaram karo naiki kay sath paish aao. Woh tumhari aseer hain woh apnay liye kuch nahin karsakteen tum nay inhain amanat kay tor par liya hai aur ahkame khuda qanooni kay alfaz kay zaria in ki afat ko liya hai meri bat achi tarha samajh lo mein haqe tableegh ada karchuka. Mein apnay bad tum mein quran o sunnat choray jata hun  jab tak in donon ka sath daitay rahway hargiz hargiz gumrah na hogay.

 Daikho! Mairay bad kafro gumrah na hojana yeh na ho kay aik doosray par hakumat karnay lago. Mein tum mein quran aur apni izzat ahle bait choray ja raha hun jab tak in say wabasta rahogay hargiz hargiz gumrah na hogay. Kiyun mein nay farze tableegh ada kiya?" saray ijtama say awaz buland huee " ji han" farmaya!"parwardigar gawah rehna." Meri bat suno! Aur isay achi tarha samajh lo  har musalman doosray musalman ka bhai hai aur musalman aik bradari hai is liye kisi shakhs ko yeh haq nahin ka bila raza mandi o khushnudi kay kisi ka mallay. Khabardar! Apnay upper zulm na karo. Kiyun mein nay paigham pohonchadiya?" us kay bad hazoor Muhammad Mustafa nay qurbani dee aur duaey khair ki. Khudawand tabarak tala ka deen mukamal hogaya kiyunkay sarware kainat aur moalam azeem Muhammad Mustafa kay supurd kiya huwa kam aaj payee takmeel ko pohonch gaya aur nabuwat ka silsila ikhtetam ko pohoncha haib ki khabrain o roohi ana band hogaee to yeh is bat ki khulee alamat thi kay ab hazoore aqdas Muhammad Mustafa wapas apnay khuda ki taraf lot jaingay.

28 safar yakum ya doam rabiul awwal 11 hijri may 632 ko ummul momenin hazrat aisha razi allah anho ka hujra aur hazrat Ali almurtaza razi allah anho ki goad aur goad mein tajdare haram hazrat Muhammad Mustafa ka sare mubarak rakha huwa hai. Tamam musalman bai chain o bai qarar hain kay aaj hadiye barhaq, rehmatul lialameen sarware do alam, tajdare haram Muhammad Mustafa  rukhsat horahe hain  bas phir kiya tha khuda ki taraf bulawa agaya aur aap Muhammad Mustafa hazoore ilahi mein tashreef lay gaey. Inna Wa Inna Alayhay Rajaoon

 


.                                                                                                                      .
Hazrat Muhammad (P.B.U.H) Life In Roman Urdu

Hazrat Muhammad (P.B.U.H) Life

Ailane nabuwat kay bad khudawande qudus mafuqul fitrat waqia nabi kay hathon karkay dikhata hai usay "mojza" kehtay hain laikin is qisam kay jo waqiyat nabuwat say pehlay ya nabi ko wiladat ki nishaniyon mein shamil hojain to inhain "arhas" kehtay hain khairul basher Muhammad Mustafa ki wiladat say qabal bhi arhas runuma huway in ka zikar mukhtasir is terha hai. Abrahma yani ashab feel kay lashkar par khuda tala kay azab ka ajeeb o ghareb waqia runuma huwa. Arab mein itni barish hue kay har taraf phool aur phal lag gaey pura ilaqa sar sabz o shadab hogaya aur qahat khushhali mein badal gaya sanam khanon mein rakhay huway but moon kay bal jar paray kasra kay mehal kay choda kungray laraz kar zameen par arahe  faras kay majusiyon nay ail hazar sal qabal aag jalaee thi aur is ki pooja kartay chalay arahe thay un ka kehna tha kay yah aag aik hazar sal say musalsal jal rahi hai laikin jab Muhammad Mustafa ka zahoor duniya mein honay laga ti yah aag bujh gaee kiyun kay aap Muhammad Mustafa is duniya mein jalaee gaee zulm ki aag hi to bujhanay key liye arahe thay bohaira sada, hamdan aur qam kay darmiyan chai meal murabba ka fasla tha jis ka pani khusk hogaya. Kufar larza bar andam ho gaey sham aur koofa kay darmiyan aik samawa nami nahar thi jo arsae baeed say khusk pari thee is mein achanak itna pani aya kay woh sairab hogaee yah alamat thi khushhali ki. Yeh thay kuch arhas  jo is baat ka ailan tha kay ab woh hasti is duniya mein arahi hai jo bahar zulmat ko khushk karday gi aur bahre rehmat ko jari o sari farmaday gi aur dukhi insaniyat falah,bhalaee, naiki, asudgi, nijat aur salamati pai gi.

 Nabi akhiruz zaman sardarul ambia, rafiud darjat rafiush shan jigre goshae amna, farman rawai alam, shah e haram, humarane arab shehanshahe kunain Muhammad Mustafa ka is duniya mein ana aur yahan say zulmat kay andhairon ko mitana khudawande qudus ka bani noh insan par aik bohot bara ahsan hai kiyunkay khuda agar moalame azam Muhammad Mustafa ko na bhaijta to yaqinan in hi jahliyat kay gharon main para sarta rehta aur kabhi hidayat na pata. Rehmatul lilalameen Muhammad Mustafa nay is duniya mein tashreef la kar haq o naiki, sadaqat o duyanat, afu dar guzar, rahemdili aur ghareeb nawazi ka woh amali namuna paish kiya jisay duniya mein koee doosra insan ya paighamber paish karnay say qasir raha

Hazoor Muhammad Mustafa nay na sirf zaban say naiki o haq ki taleem di bulkay khud insanity kay sath naiki karkay naiki o haq kar parchar kiya.

Jab aap Muhammad Mustafa pehli bar shaqae sadar huwa us waqt aap Muhammad Mustafa Hazrat Haleema Sadia Razi Allah Tala Anho ki bakriyan charaya kartay thay. Aik din teen maqrab farishtay aaey aur unhon nay akar kaha hazoor Muhammad Mustafa ko litaya, seenay chalk karkay koee cheez rakhee aur seena si diya. Yeh daikh kar hamza bohot ghabrai aur doray huway apni maan hazrat halima razi allah anho aur un kay shohar razi allah anho doray doray aaey to daikha kay Muhammad Mustafa ka chehra udas hai aur woh paraishan hain. Unhon nay shafqat say poocha "beta! Kiya huwa tha?

Hazoor Muhammad Mustafa nay bhi tamam waqiya joon ka toon bayan kardiya. Is kay baad hazrat halima razi allah anho hazoor Muhammad Mustafa un ki walida majida kay pas chor gaeen. Pehli bar sina chalk karnay ka maqsad yeh tha ka hazoor Muhammad Mustafa in khayalon aur waswason say mehfooz rahain jo bachon ko khail kood aur shararton kay liye uksatay hain . doosri bar sina chalk honay ka waqiya is waqt paish aya jab aap Muhammad Mustafa das baras kay thay woh is liye kay shehwat aur buray khayalat say mehfooz rahain tisree bar shaqe sadar ka waqiya ghare hira mein paish aya woh is liye kay aap Muhammad Mustafa wahi ilahi ka bojh bardasht karsakain. Chothi aur aakhri bar yah waqiyae nazool wahi kay bad aur hijrat say pehlay makka mein paish aya.

Hazoore akram Muhammad Mustafa barah baras ki umar ko pohonchay to Hazrat Abu Talib Razi Allah Tala Anho kay sath sham ki tijarati safar ka pehla safar tha. Qafla tijarati mal o asbab lay kar sham ki taraf rawana hogaya. Rastay mein jab qafla basra say guzra to aik behra nami rahib nay daikha kay tamam darakht  aur pathar Hazoor Muhammad Mustafa ki tazeem mein jhuk rahe hain. Jab qafla rahib kay pas pohoncha to us nay hazrat abu talib say darkhowast ki kay mairay pas kuch qayam farmain. Hazrat abu talib nay dawat qabool karli us nay jab hazoor Muhammad Mustafa ki ziyart ki to kehnay laga "abu talib meri mano to is bachay ko wapas makka lay jao" hazrat abu talib nay farmaya "woh kiyun?" rahib nay jawab diya "jab tum arahai thay to is bachay ki tazeem mein shajar o hajar jhukay jarahe thay aur is ki roshan paishani aur donon shanon kay darmiyan lagi mohare nabuwat is bat ki tasdeeq kar rahi hai kay yah hi nabi Akhiruz zaman Muhammad Mustafa hain yahee woh rasool allah Muhammad Mustafa hain jin ki nishaniyan torait aur injeel mein bayan ki gaee hain . laihaza mujhe khadsha hai ka yaman kay yahudi in ko pehchan lain gay. Aur in ko nuqsan pohonchanay ki koshish karain gay laihaza tum apna malay tijarat yahin farokht karo aur palat jao" hazrat abu talib razi allah tala anho ko apnay piyaray bhatijay Ahmed Mustafa say bay had mohabbat thi is liye unhon nay khatrah mehsoos kiya aur malay tijarat waheen farokht karkay wapas makka mohazzama lot gaey.

Hazoore akram Muhammad Mustafa ki pehli shadi pachis baras ki umar mein hazrat khadijatul kubra razi allah anho say hue j okay qabila asad kay sardar ki beti thi. Aap Muhammad Mustafa ibtida mein makka say tin kos door "ghare hira" mein jakar khuda ki ibadat kartay thay nabuwat say chai mah qabal aap Muhammad Mustafa ko doyaey sadiqa nazar aanay shurooh hogai thay. Challis baras ki umar mein khudai buzuk o barter nay aap Muhammad Mustafa ko nabuwat say sarfaraz farmaya. Jab aap Muhammad Mustafa par pehli wahi nazil hue to aap Muhammad Mustafa nay sab say pehlay apni biwee hazrat khadijatul kubra razi allah anho ko yah waqiya sunaya. Woh mohsine insaniyat ko apnay chacha zad bhai warqa bin nofal kay pas lay gaeen. Warqa bin nofal asmani kutub say behra war thay unhon nay is wahi ki tasdeeq kartay huway kaha "kash! Mein zinda rahun us waqt tak jab aap Muhammad Mustafa ki qaum aap ko jhutlaigee kay mein ki madad karsakun."

Aap Muhammad Mustafa nay arqam makhrumi razi allah anho kay ghar say tableegh ka aghaz kiya tin baras mein challis afrad halqae islam mein dakhil huway quresh nay aap Muhammad Mustafa par baihad zulm o sitam kiye. Hazoor Muhammad Mustafa kay hukam say 5 nabawi mein das mardon aur char aurton nay habsha ki taraf hijrat ki. 7 nabawi mein dobara tairasi mardon aur atharan aurton kay qaflay nay habsha ki taraf hijrat ki. Nabuwat kay bardhwain sal aap Muhammad Mustafa ko meraj ka waqiya paish aya aur aap Muhammad Mustafa saat asmanon ki sair karkay aaey. Kufar kay zulm o sitam say tang akar tin din hazrat abu baker razi allah anho kay sath ghare soor mein guzaray aur phir 8 rabeul awwal  13 nabawi mutabiq 20 september 663 ko madina say tin meal kay faslay par muqame qaba mein rukay aur hazrat umar bin liya auf razi allah anho ko mehman nawazi ka sharf hasil huwa. Yahan aap Muhammad Mustafa nay aik masjid bhi tameer ki jisay "masjide quba" kehtay hain jab aap Muhammad Mustafa yasrab tashreef laye to logon nay is shahar ka nam "madina tun nabi" yani nabi ka shehar rakh diya jo bad mein madina kehlanay laga. Hijrat kay bad musalmanon nay apnay san ka hisab hijri kay nam say shurooh kiya  is say pehlay san ka hisab "aam al feel" kay hisab say hota tha.

Rafiud darjat hazoore akram Muhammad Mustafa ki yahate tayaba mein waqiya meraj bari ahmiyat ka hamil hai. Meraj ki rat aap Muhammad Mustafa apnay ghar mein aram farma rahe thay kay hazrat gibrael alaissalam tashreef lai aur hazoore akram Muhammad Mustafa ko harame kaba mein lay gaey wahan aap Muhammad Mustafa ka shaqe sadar kiya aur qalb ko nikal kar abe zam zam say ghusal diya aur sinay mein rakh kar si diya. Is mein aap Muhammad Mustafa ko kuch takleef na hue. Phir aap "baraq" nami aik khachar par sawar hokar batul muqaddas tashreef lay gaey aur wahan tamam ambia alaissalam ko do rakat namaze nafil parhahee. Is kay baad aap Muhammad Mustafa pehlay asman par pohonchay to hazrat adam alaisalam say mulaqat huee doosray asman par hazrat issa alaissalam aur hazrat yahya alaisalam ko sharfe mulaqat bakhsha. Teesray asman par hazrat yu8suf alaissalam chothay asman par hazrat idrees allaisalam panchwain asman par hazrat haroon allaissalam chatay asman par hazrat moosa allaissalam aur satwain asman par hazrat ibrahim allaissalam say milay. Is  kay bad aap Muhammad Mustafa nay jannat ki sair ki. Sadaratul muntaha  pohonchay to hazrat gibrael allaisalam nay arz kiya " hazoor Muhammad Mustafa mein is say aagay nahin ja sakta kiyunkay mujhe sirf yahan tak aanay ki ijazat hai. Is say aagay aap Muhammad Mustafa tunha gaey.

Jange uhod mein musalmanon nay hazoore akram Muhammad Mustafa kin a farmarni karkay jo nuqsan uthaya tha us kay azalay kay liye musalman madina mein tayariyan kartay rahe. Aakhir woh waqt agaya jab musalman itnay mustehkam hogaey kay 10 ramazanul mubarak  8 hijri ko hazoore akram Muhammad Mustafa ki qayadat mein aik shandar lashkare islam makka ki taraf rawana huwa aur das din ki masafat tay karnay kay bad 20 ramazan 8 hijri ko makka kay bahar khaima zan hogaya. Lashkare islam qareeban das hazar awwalul azm mujahideene islam par mushtamil tha . raat ko jab lashkar walon nay khanay pakanay key liye aag jalaee to kuffare maka nay daikha ka hadde nazar khaimay hi khaimay hain aur us waqt un ko ilm huwa kay musalman lashkar lay kar pohonch gaey hain. Abu sufiyan is qadar khofzada huway kay foran hazoor Muhammad Mustafa kay pas hazir huway aur musalman hogaey phir muslim fauj nay puray makka ka mohasirah karliya.

 


References

  
 

Related Articles:

Islam | Quran-O-Sunnat    Eid Ul Adha | Eid Ul Azha | Qurbani | Eid Ul Adha Question And Answer    Abdul Qadir Jilani Rahmat Allah Allah    Quran Hadees | Kitab Quran   
Last Update: 25-Mar-12 08:10

pakseoguide.com |  noorclinic.com |  magurdu.com |  world313.com |  pakrishta.com  | 
© Copyright 2003-2018  www.pakservice.com , All Rights Reserved    Last updated: 9th Oct 2011