|
Kaha yeh jata hai ka achay aur buray mein tameez karnay ki salahiyat hi dar asal woh khoobi hai jo inason ko janwaron say tameez karti hai aur aik jaded tehqiq hamain yah batati hai kay intehaee kamsin sheer khowar bachay bhi qudrat ki wadiyat kardah is salahiyat say mala mal hotay hain is research say yeh bhi maloom huwa hai ka jo sheer khowar bacha sahih aur ghalat mein tameez karnay ki salahiyat rakhtay hain woh doosron ko apni cheezon mein shareek karnay ka jazba bhi rakhtay hain is tehqiq mein hissa lainay walay science danon nay kaha hai kay jin doodh pitay bachon par yeh research ki gaee thi woh ghiza ki masavi aur ghair masavi taqseim kay darmiyan farq ko samajh rahe thay jis say yeh zahir huwa tha kay zindagi kay ibtedaee dinon hi mein inhain insaf pasandi say agahi ho chuki thi yeh bhi daikha gaya kay jo bacha jitna ziyada musanif mizaj tha utna hi woh doosray bachon ko apni cheezon maslan pasandida khilonon kay istemal ki ijazat dainay mein farakh dil tha. Washinting university research report mein bataya gaya hai ka 15 mah kay bachon ko mukhtasir doraniye ki do video filmain dikhaee gaeen theen pehli video mein khasta kararay biscuit say bharay piyalay do afrad mein taqseem kartay huway dikhai gaey thay pehli martaba yaksan tadad mein bisucuit donon ko diye gaey. Laikin doosri martaba aik sheikhs ko doosray muqablay mein kam biscuit diye gaey isi terha doosri vdeo film mein doodh say bhara aik jag in donon andaz mein isi anzaz mein taqsim kartay huwa dikhaya gaya tha jis waqt bachon ko yeh do video dikhay ja rahey thay is waqt moqai par mojud sincedan yeh daikh rahay thay kay in mein say har aik bachay nay ghiza ki taqseem kay manazir ko kitni dair tak tiktiki bandhay daikha tha is ki wajah yeh thi ka sheer khowar bachay jab hairan hotay haiin to woh kisi bhi hairan karnay wali cheez ya manzar kjo ziyadah dair tak ziyadah tawajoh say daikhtay hain in sciencedanon nay yeh daikha ka jab aik shakhs ko doosray say ziyada khurak di ja rahi thi to baz bachon nay yeh manzar daikhnay mein ziyada waqt sarf kiya doctor samara well nay bataya ka sheer khowar bachon ko yeh tawaqoh thi ka khurak munsifana tor par taqseem ki jaigee aur jab aik shakhs kjo doosray kay muqablay mein ziyada biscuit aur ziyada doodh diya gaya to in ki hairani deedni thi is say pehlay kay tibbi jaizon mein yeh daikha gaya tha ka do sala bachon mein apnay ham umar bachon ki madad ka jazba paya jata hai jo dar asal eesar pasanti ki alamat hai jabkay chay aur sat sal ki darmiyani umar kay bachon nay insaf pasandi ka ahsas zahir kiya tha. Doctor summer well nay bataya kay sheer khowar bachay jab doosray logon ka aik doosray kay sath saluki aur rawaya daikhtay hain to is mushaheday say in mein bhi insaf pasandi aur na insafi ka ahsas janam laita hai halia tehqeeq kay doosray marhalay mein siceincedano nay yeh jaiza liya ka yeh bachay kisi ajnabi kay sath apna khilona shair karnay kay liye tayar hain ya nahin unhon nay daikha kay jo bachay khurak ki ghair munsifata taqsim par ziyada hairan huway thay in mein ghiza munsifana taqsim par hairan honey walay bachon kay muqabley mein doosray bachon kay sath apnay pasandida khilonay shair karnay ka jazba ziyada tha. Body Smell
Bekhowabi, dard ,zahni dabao ….har cheez kay liye pharmacy ki dukanon par goliyan aur capsol dastiyab hain ab aik naya capsule in logon kay liye tayar kiya jaraha hai jinkay jisam say badbu kay habhokay uthtay hain aur doosray logon kay liye in ki qurbat paraishani ka bais banti hai khubuyat say bharay yeh capsul khowahishmand afrad o deegar capsul ki terha nigal lain a jis say jisam mein barah rast khushbu pohonch jai gee. Usage Of Haldi
Barre saghir ka shaid hi koee gharana aisa ho jahan haldi istemal na ki jati ho yeh woh masala hai jo hamaray bawarchi khanon mein lazman mojud hota hai aur is kay baghair baishtar salan na mukamal rehtay hain mahrib ki jaded tehqiq bhi ab haldi ki ifadiyat tasleem karti nazar ati hai newyork mein northern west chester hospital kay integrative medicine ki director doctor minarwa santosh nay in marizon ko aksar o paishtar haldi istemal karnay ki sifarish ki hai jo apnay jaron mein dard aur sozish ki shikayat kartay hain doctor minarwa khud bhi jan warzih ya sports kay bad jorin mein dukhan mehsooz karti hain to isay kam karnay kay liye haldi istemal karti hain America mein yeh masala ziyadah tar barrre saghir kay gharanon ya junubi aishiaee restauranon mein istemal hota hai is liye doctor santos apnay marizon ko mashwarah daiti hain ka woh isay health food stores mein goliyon ya capsul ki soorat mein talash karain in ki tajweez kardah yomia khurak 1000 mili giram hai unhon nay baaya ka Bolton mein mehfooz is supplement ki kharidari ka aik faida yeh hai kay aik aur murakab piperine bhi is mein shakil hota hai jo jisam mein haldi kay injzab mein moawnat kara hai doctor santos nay bataya kay bharat mein jab bhi kisi salan mein haldi shamil ki jati hai to amuman is kay sath kali mirach blak pepper ka safuf bhi chirka jata hai kali mirach kay sath haldi kay istemal say haldi kay mufid ajza aanton mein janay kay bajai barahe rast khoon mein shamil hojatay hain
|