Question: Hajj kitnay qisam ka hota hai?
Answer: Hajj ki teen iqsam (types) hain
1. Hajh-e-Afrad,
2. Hajh-e-Tamta
3. Hajh-e-Quran.
Hajh-e-AfradHajh-e-afrad mein sirf hajj ki niyat say ahram bandha jata hai aur isi ahram say amale hajj ada kiye jatay hain.
Hajh-e-Tamta Hajh-e-Tamta mein hajj kay mahinon mein sirf umrah ki niyat say ahram bandha jata hai aur umrah ada karkay ahram khol diya jata hai. Phir aath zilhaj ko hajj ki niyat say ahram bandh kar amal hajj ada kiye jatay hain.
Hajj-e-QuranHajj-e-Quran mein aik hi ahram mein hajj aur umrah ada kiya jata hai. Pehlay umrah kiya jata hai aur is kay bad halaq (sar kay bal ustaray say saf karana) nahin karaya jata bulkay isi ahram mein rahe kar ahram ki pabandi ki jai aur ath zilhaj say hi ahram mein hajj kay aamal ada kiye jain.
Hajj-e-Afrad mein qurbani mustajib hai.
Hajj-e-Tamta aur Hajj-e-Quran mein qurbani karna wajib hai.
Meeqat say bahar say anewalay in teenon mein say koee bhi hajj ada karsakte hain.
Lekhin makka mukarrama mein rehnay walon kay liye haje tamta aur haje quran karna manah ha kiyun kay Allah tala nay inhain mawaqeh ata farma rakhay hain kay woh jab chahain meqat kay andar rehnay walay haje afrad hi karsakte hain.
Irshad-E-Nabwi
Musalmano Par Aqwame Alam Ka Charh AnaHazrate suban razi allah anho farmatay hain kay nabiye karim Mohammad Mustafa nay farmaya qarib hai kay tum par duniya ki aqwam charh aaein gi(tumhain khanay aur khatam karnay kay liye) jaisay kay khane walon ko khanay kay piyalay par dawat di jati hai kisi nay arz kiya ya rasool allah mohd Mustafa kiya ham us zamanay mein bohot kam hongay? Aap mohd Mustafa nay farmaya nahin bulkay tum us zamanay mein bohot kasrat say hogay laikin tum sailab kay ooper chae huway kuray kabaray ki terha hogay aur allah tala tumharay dushmanon kay sinon say tumhari haibat o rob ko nikal daiga aur allah tala tumharay dilon mein buzdili dal daiga. Kisi kehnay walay nay kaha : ya rasool allah mohd Mustafa buzdili kiya cheez hai? aap mohd Mustafa nay farmaya duniya ki mohabbat aur mot say bezari
Jahan Azan Ho Wahan Jamat Mein Shirkat Lazmi HaiHazrat Abdullah bin masood razi allah anhoma say riwayat hai farmatay hain kay jis shakhs ko qayamat kay din khudawande tala say kamil darjay ka musalman hokar mulaqat ki tamanna ho to woh shakhs in panch namazon ki hifazat karay kay jis jagha par azad hoti ho to azan ki awaz sun kar namaz bajamat mein shirkat karnay kay wastay hazir ho kiyunkay khudawande quddus nay apnay nabi karim mohd Mustafa kay wastay hidayat kay rastay bata diye in hi raston mein say aik rasta namaz bhi hai aur mera khayal hai kay tum logon mein say koee aik qisam ka admin a hoga kay jis ki aik Masjid us kay makan mein na ho kay jis jagha woh shakhs namaz ada karta hai pas agar tum log apnay apnay makanat mein namaz ada karogay aur Masjid ko nazar andaz kardogay to tum log apnay paghamber mohd Mustafa kay tariqay ko chor dogay aur jis waqt tum nay apnay paighamber mohd Mustafa kay tariqay ko chordiya to rum log gumrahi mein mubtala hojaogay aur jo bandah musalman achi terha wazu karay phir woh namaz kay wastay (makan say) rawana ho ti allah tala is kayliye aik naik amal likh daiga ya us shakhs ka aik darja buland farma day gay a us shakhs ka aik gunah maf farma dayga aur tum log daikhtay ho kay jis waqt ham namaz ada karnay kay liye chaltay hain aur ham log chotay chotay qadam rakhtay hain (takay ziyadah nakiyan milain) aur tum log daikhtay ho kay jamat mein wohi shakhs sharik nahin hota j okay alalailan munafqat rakhta ho aur mein nay (nabi karim mohd Mustafa kay dor mein daikha) kay aik aadmi ko do shakhs sambhal kar latay yahan tak kay woh shakhs saf kay ander khara kardiya jata (yeni sakht bimari ki halat mein bhi Masjid mein akar namaz ada kartay thay)
Parosiyon Ko Takleef Dainay Say Ajar Zaya Ho Jata HaiHazrat abu harirah razi allah tala anho say riwayat hai kay rasool allah mohd Mustafa say arz kiya gaya kay falan aurat rat ko qayam (ibadat) karti hai din ko rozah rakhti hai khairat karti hai,sadqa karti hai laikin apni zaban say parosiyon ko aziyat pohonchati hai rasool allah mohd Mustafa nay farmaya is mein koee bhalaee nahin woh ahle dozakh mein say hai arz kiya gaya kay falan aurat farz namaz parhti hai aur paneer kay chand tukray sadqa kardaiti hai albatta kisi ko aziyat nahin pohonchati jis par rasool allah mohd Mustafa nay farmaya woh ahle jannat mein say hai.
Ghusal Say Faraghat Kay Bad Wazu Karna Zaroori NahinHazrat Aisha Siddiqa Razi Allah Tala Unha say riwayat hai kay rasool Allah Mohammad Mustafa ghusal say faraghat hasil karnay kay bad wazu nahin farmaya kartay thay (yani ghusal farmanay kay bad namaz ada farmaliya kartay thay)
Ghusal Say Qabal Wazu KarnaHazrat Aisha Siddiqa Razi Allah Tala Unha say riwayat hai kay Rasool Allah Mohammad Mustafa jis waqt ghusale janabat farmatay to pehlay donon hathon ko dhotay,phir wazu farmatay, jis tariqay say namaz kay wastay kiya jata phir aap mohd Mustafa pani mein ungliyon ko dal kar apnay balon ki jaron mein khalal farmatay phir sar par teen chillu pani daltay phair tamam jisame Mubarak par pani bahatay.