Pakservice.com

 
       Home >> News>> Karachi>> Crime >> Karachi Crime News

Karachi Crime News

Karachi Crime News
Any work done against the law, illegal work done by benefit, injures to the public or put to the death. Here we keep the reports to inform in Roman Urdu. Such as serial killers, terrorist, spies and classic crime stories in Karachi.

  Table of Content  
  .                                                                                                                      .
Karachi Crime News In Urdu


Karachi Crime News In Urdu  


.                                                                                                                      .
11 Saala Beti Ka Qatil

11-saala beti kay qatil kay muqadmay ka faisla suna dia gaya, jo 6 baras se court mein chal raha tha, qatil mein mulus mulzim ko saazaye mout aur ziadati kay ilzam mein 32 baras qaid ki saaza sunai gae hai. 11 saala beti kay baap nay court sey rotay huwaye kaha keh issay adalaat nay insaaf farham kiya, woh phelay tuo maayus hochuka tha. Mulzim Johar Gogar Ali ko jarum sabit honay par qatiol mein saazaye mout aur ziadati mein 25 baras aur shuda chupanay kay jarum mein 7 baras qaid ki saaza sunahi, mulzum ko 50 hazar rupay batoor harjana warsa ko aada karnay aur 50 hazar rupay jarmanay ki bhi saaza sunhai gae. Court kay mutabiq 28 December 2005 ko mulzim Landhi kay ilaqay sey apnay dost Muhammad Umar ki beti 11 sala ko aghwa karkay apnay ghar lay gaya tha aur issay ziadati kay baad qatil kardia tha. baad az ha mulzim nay laash kay tukaray karkay plastic kay teen thilioon mein bandh kar almari mein chupa diye thay, muhlay kay do chasham deed gawa nay mulzim ko taxi mein jatay huwaye dekhatha, aur Muhammad ki begum nay Police ko bataya tha keh mulzim iss kay shur ki Motor Cycle magnay aya tha. tahum iss nay beti sey mana karaya tha keh isskay walid ghar par nahi hai aur na hi ghar mein motor cycle hai. woh mana karnay gae, lekhin wapis nahi ai. Police nay mulzim ko garaftaar kiya aur uskay ghar ki taalashi li aur alamari se laash kay tukaray baraamad kiye. jaisay in kay walidain nay shanaakt kiya tha, mulzim kay aatraaf juram aur medical report nay muqtola sey ziadati ki tusdeeq kit hi. Mulzim kay khilaf Landhi thana mein muqdma darj tha.

 


.                                                                                                                      .
Murder In Karachi

*Motor Cycle Chennay Wala Groh


Pakistan Ranger's aur police nay mukhtaliq ilaqon mein kar rawaee karte huwe motor cycle liftor gang ka sarghana aur manshiat faroshi ki mulzima samit 43 afraad ko giraftaar karliya. Jin kay qabzai say aslaha, manshiat aur loota huwa maal baramad karliya. Tafseelaat ke mutabiq Rangers aur Police na mushtarka kar rawaee karte huwe mukhtalif ilaqon say street criminals aur deegar jaraim mein mulawis 33 afraad ko giraftaar kiya jin say mukhtalif iqsaam la 14 hathiar baramad kiye gaey.

Aziz bhatti police nay khufia ittela par wafaqi urdu university ka qareeb karrawaee karkay banussubaee motor cycle liftor gang ka sarghana Mumtaz ali sheikh aur master mind Wahid bakhsh chandio urf jani ko giraftaar karkay 2 pistal 2 magazineaur 7 kartoos baramad karliye.mulziman kay 2 saathi farar hogaey. Doosri karrawaee mein issa nagri mein chapa marker badnaam zamana manshiat farosh khatoon mulka munshiat musamat shammo zoja nadeem aur sathi mulzim Asghar ko giraftaar karkay aik kilo gram charas baramad karlee. Mulzima 18 din qabl jail say reha hokar aee thee. Dareen asna south range kay 4 thanon ki police nay mukhtalif muqamat say 6 mulziman ko giraftaar karkay aslaha cheena o loota huwa maal aur manshiat baramad karlee. Olice kay mutabiq mulziman mein Feroz ali, Mohammad junaid Rauf abbas, Faizanaur babar khan shamil hain.

*Chinese Doctor Kidnaped
Orangi Town say musallah mulziman chineese Dr. Mohd Yusuf ko aghwa karke farar hogaey bataya gaya hai k ali garh market kay qareeb chaar paaee wali gali mein qaim Chinese Delta Clinic mein 4 musallah mulzimaan dakhil huwe aur chineese doctor ko aghwa karke car mein bitha rahe the k mughwee ne shor machadia jis par log jama hogaey taham mulzim doctor ko apne hamrah le jane mein kamiyab hogaey ittala par police ne mulzimaan ka taqub kiya aur manghopir ke ilaqai mein ail pahari kay hissai ko ghaire mein lailia ta ham raat gaiytak police mughawi doctor ko baazyaab karane mein nakaam rahee police ka mutabiq mughwi kuch arsai qablislam qabool kia tha police ka kehna hai k aghwa lain dain ka tanaza maloom hota hai.mughawwi ko baazyaab karane ki koshishain jari hain.

* Shaher kay mukhtalif ilaqon say nojawan larki aur larkay samit 3 afraad ki lashain mili hain jab kay paposh nagar mein na maloom mulziman ki firing say police ka Zaire tarbiyat sipahi halaak hogaya.

Tafseelaat kay mutabiq site area mein site a thane ki hadud bawany chali say nojawan larki aur larkay ki lashain milin jinhain police nay fori civil hospital muntaqil kiya, S.P. site shahjahan nay express ko bataya kay bawany chali mein battery bananay wali maroof company ki factory kay qareeb say lashain mili hain maqtuleen ki lashon ko fori taur par shanakht nahin kia gaya hai larki ki umar taqreeban 25 baras aur larkay ki umar taqreeban 28 baras maloom hoti hai mulziman nay larki ko gala ghont kar halak kiya jabkay larkay ki garden par tez dhar aalay kay war kiye gae. Jabkay us kay jisam kay 4 tukrai kardiye gai unhon nay shuba zahir kiya  kay waqia pasand ki shadi ya purani dushmani ka shakhsana hai taaham police waqia ki tehqeeqaat kar rahe hai jabkay maqtooleen kay warsa ko bhi talash karnay ki koshish kee ja rahi hai police nay zaabtay k kar rawaee kay bad lashain eidhi sard khane main rakhwadi hain civil hospital kay M.L.O kay mutabiq lashain 24 ghantay purani hain alawaa azeen maripur mein miawali mohallah mawach goth say mughawi nojawan laash mili mulzimaan nay firing karke halaak kiya ittalah miltay hi laash ko eidhi ambulance kay zariea civil hospital muntaqil kiya gaya, mariur police kay mutabiq maqtool ki shanakht 16 sala shahzaib  wald abdul razzaq baloch kay naam se ki gaee maqtool Baghdadi kay ilaqay ali mohd mohallah dukaan no.41/40 ka raihaishee aur huftay ki shab se la pata tha jiski gumshudgi ki report maqtool kay walid nay Baghdadi thane mein karadee thee.

Police zarai ka kehna hai kay waqia lyari gang war kaa shakhsana hai aur maqtool ko mukhbaree kay shubay mein mara gaya dareen asna paposh mein namaloom mulzimaan ki firing say noujawan halak ho gaya jiski lash fori taur par khidmate khulq foundation ambulance ka zaria abbasi shaheed hospital pohonchaee gaee, paposh chowki kay incharge asim siddiqui nay express ko bataya kay bara maidan mein alamgir masjid kay samnay namaloom motor cycle sawar mulzimaan ki firing say 26 sala ghulam mohd wald ghulam ali halak hogaya, unhon nay bataya kay maqtool police kay Zaire tarbiyat sipahi tha aur motor cycle par jaa raha tha. Maqtool ko garden, seenay aur kundhay par 3 goliyaan mari gaeen jis say uski mout waqeh hogaee.

Asim siddiqui ka kehna hai ka maqtool shahrah e noor jahan kay ilaqay north nazimabad block o ka raihaishee tha jabkay us ka abaee taluq gilgit baltistaan say tha, police nay zabtay ki kar rawaee kay baad lash worsa kay hawalay kardee.

 


References

  
 

Related Articles:

University of Karachi News    Firing In Karachi | Karachi News    Shortage OF Electricity In Karachi    Karachi Market News In Urdu    Karachi Development Projects       
Last Update: 21-Apr-12 06:09

pakseoguide.com |  noorclinic.com |  magurdu.com |  world313.com |  pakrishta.com  | 
© Copyright 2003-2018  www.pakservice.com , All Rights Reserved    Last updated: 9th Oct 2011