Pakservice.com

 
       Home >> Urdu>> Story>> Kids Stories In Roman Urdu >> Kids Stories In Roman Urdu

Kids Stories In Roman Urdu

Kids are like a flowers. Child always look happy. Here we are establishing kids story and articles for sweet children in Roman Urdu and Hindi.



  Table of Content  
  .                                                                                                                      .
Kids Stories


Kids Stories  


.                                                                                                                      .
Kids Fun

Hijrat Karnay Walay Parinday
Acha mahoul behtar zindagi aur khurak ki talash mein insane hi nahin janwar aur charind, parind bhi aik jagha say doosri jagha hijrat karnay par majboor hotay hain sard aur barfani ilaqon say parinday hazaron meal door safar karte garam mosam walay ilaqon mein aa bastay hain magar jun hi in kay apnay ilaqay ka mosam motadil hota ha yah phir apnay ilaqay ki taraf  parwaz kar jatay hain aur hairan kun bat yeh hai kay safar kay doran inhain simt ka tayun karnay kay liye kisi aalay kisi paimanay ki zaroorat nahin hoti jabkah insanon ko samandar ho ya asman ki khuli fiza simt kay tayun kay liye alat ka sahara laina parta hai.

 Titli jaisee nazuk aur kamzore parinday ki baz iqsam har sal taweel tareen safar karti hain maslan shumali America ki titliyan hijrat karkay maksico aur California say shumali Canada tak pohonch jati hain magar door daraz ka safar tanha nahin karteen balkay hazaron ka jatha bana kar urti hain. Jun hi khizan ka mosam ata hai yah titliyan aik dafa phir junoob ki taraf safar shurooh kar daiti hain sardee kay mosam mein titliyon ka yah jhanda darakhton par basera karta hai.isi terha aik aur mashoor arctictern nami parida door daraz shumali ilaqob aur dariaon mein anday daita hai aur us kay bad barah so kilo meter kay taweel safar par nikal jata hai yah safar is ko junubi samandar ki taraf lay kar jata hai jahan yah mosam baha tak rehta hai is kay bad shumali ilaqon ki taraf wapas ajata hai.samandari janwaron mein chotay chotay kaikray jo jazair gharbulhind mein rehtay hain mosame garma mein yah pani kay upper reh kar apni khurak hasil kartay hain laikin jaisay jaisay sardee ka mosam qareeb aanay lagta hai woh aik doosray kay sath milkar bareek lakeer ki soorat mein gehray samandar mein utar jatay hain. Isi terha sainkron parinday aur janwar mosam aur ghizaee zaroorat kay paishe nazar apni raihaish badaltay rehtay hain.

Kids Jokes
Ek khatoun nay hatay khatay bhekari say kha. “Agar tum ghar ka kaam kaj karo to mai tumhay khana khela sakti hun.”
Bhekari nay kuch socha phir bola. “Theek hai lekin phelay menu dekhaiye” 

                                                 *………….*…………..*

Ustad nay ek bachay ko saza detay huay kha. “Pachas bar uthak bethak karo aur kaho mai ullo hun.”
Shagaird nay jawab diya. “Mein pachas bar kia so bar uthak bethak kar lung a lekin mein aap ko ullo kese khe sakta hun?”

                                                 *………….*…………..*

Ek baray doctor say mulaqad ka waqt laynay kay liye mahino intezar karna parhta tha. Ek din ye doctor sahib bagair itela diye ek mareez kay ghar punch gaye. Mareeez bohut khush ho kar khenay laga. “aap nay bari enayat ki tashreef laye lekin aap nay galba aglay mahinay ka waqt diya tha?”
Mareez ki baat sun kar doctor muskuraya  aur bola. “ darasal hua ya keh tumharay parhsu may mujhay ek mareez ko dekhnay ana parh, jab mai eahan puncha to wo mar chukka tha, mai nay socha jab yahan ahi gaya hun to ek teer say do shikaar karta chalun.”

                                                *………….*…………….*

Do bewakuf kahein ja rahay thay. Rastay may inhay ek jaga do bomb nazar aya.
Phela bola. “ Chalo ye bomb police ko day atay hain.”
Dusra bola. “ Agar rastay may ek bomb phat gaya to…….?”
Phelay nay jawab diya. “ Koi baat nahi, police say khe dengay keh ek hi milla tha.”
            
                                               *………….*…………..*

Maalik (nokar say) “tum kiun ro rahay ho, billi to meri mari hai?”
Nokar. “janab! Mai ub dhud pinay ka illzam kis par lagaun ga?”
                                            
                                               *…………*…………..*

Ek dost dusray say. “Agar duniya may pani khatam ho jay to………..?”
Dusra dost. “Dhood to khalis millay ga.”

                                               *………….*…………*

 


.                                                                                                                      .
Kids Stories In Urdu

Mehnat Ka Sila
Zahid naween jamat ka talibe ilm thaw oh hamaisha apni class mein chothi ya panchween position hasil karta tha tamam achi khubiyan is mein mojud honay kay bawajud  is ki aik bohot bari kamzori us ka chota qad tha  isi wajah say tamam larkay usay "chotay" keh kar bulatay jab woh isay "chotay yar bat sun" keh kar pukartay to us waqt woh ajeeb si nidamat kay ahsas mein dubta chala jata laikin woh kuch naras honey kay bajai khush akhlaqi say paish ata  us kay din mein azm tha kay woh bara hokar kuch ban kar dikhair ga  naween kay board kay imtehanat sar par agaey thay. Zahid bari mehnat say imtehan ki tayari kar raha tha aaj English ka pehla paper tha zahid apnay paper kay baray mein mutmaeen tha kiyunkay us nay paper bohot acha kiya tha aur aik sawal bhi nahin chora tha.

Agla imtehan riyazi ka tha. Us kay liye bhi zahid nay behtarin tayari kit hi. Akhir kar aik aik karkay saray  paper hogaey char mahinon kay bad naween ka result ana tha in char mahinon mein us nay dasween class ka course ki kitabain kharid leen aur academi join karli academy mein woh dasween ki kitabain parhta aur jo cheez samajh mein na ati woh ustad sahib say pooch laita  naween kay result say pehlay pehlay woh dasween class ki adhi tayari kar chukka tha. Jab result out huwa us kay nuwway fisad number thay dasween ka naya session shurooh ho chukka tha. Ab phir say us nay school jana shurooh kardiya tha. School mein phir say wohee mahol hogaya. Is kay chotay qad ki wajah say sab hi larkay us ka mazaq uraya kartay thay. Laikin is nay kisi bat ki parwah na ki aur musalsal apni parhaee par tawajoh rakhi. Matric kay imtehan shurooh huway to is bar bhi woh tamam paper bohot achay karkay aya. Yehi wajah thi kay jab result aya to us mein bhi woh numayan kamiyabi hasil kar chukka tha akhbarat mein us ka nam doosri position hasil karnewalon mein tha. Unsay bar bar akhbar daikha aur jab yah yaqeen hogaya ka woh number isi ka hai to uski khushi ki inteha na rahee is kay school kay larkay bhi is ko mubarak bad daitay is kay ghar agai thay. Unhon nay isay kandhon par utha kar naray lagana shurooh kardiye kay zahid apna yar hai saron ka baira paar hai.

Zahid kay abbu shor sun kar bahar aaey aur jab inhain maloom huwa kay zahid ki pooray zilah mein doosri position aaee hai to unhon nay saray mohallay mein mithaee banti. Aglay din isay wazire azam ki taraf say tehreeri bulawa agaya. Doosri taraf school kay asateza nay bhi is kay liye taqareer ka ehtemam kiya tha. Jahan woh dhairon tahaif liye zahid kay muntazir thay. School mein is ka shandar istaqbal kiya gaya principal sahib nay aik pur asar taqreeb kay bad zahid ko stage par bulaya aur das hazar rupai ka cheque isay bator inam diya  us ka chehra khushi say tamtama raha tha. Aaj woh ahsase kamtari mein mubtala na tha. Kiyunkay kal tak jo larkay isay "o chotay yar bat sun" keh kar bulatay thay.woh aaj zahid say mafi mang kar us kay dairina dost ban chukay thay.

Honey Bee Prays
Shehad ki makhi nay phool phool ur kar kabhi yahan kabhi wahan ghoom kar sara din mehnat karkay shehad ka aik nanna sa qatrah jama kiya aur kaee din tak bhag dor karkay bilakhir shora sa shehad apnay chatta mein jama karnay mein kamiyab ho hi gaee woh rat din apnay chattay ki hifazat karti magar phir bhi insane ki nazron say woh apnay shahad ko na bachasaki aik shakhs ki nazar chattay par pargaee aur us nai ail lukri chattay par day mari jis say chatta nichay girgaya shahed ki makkhee hath malti rah gaee aur isay bohot rang huwa woh bohot din tak sochti rahee kay insat kay is zulm kay khilaf kis terha mahaz qaim karay.

Is kay pas koee aisa hathiar na tha jis say woh insane ki dast andazi ka muqabila karsakti  akhir that har kaar us nay allah tala say fariyad  ki kay mein ail aik phool say ras churati hun din bhar mein kahim jakar aik qatrah bunta hai jab bohot say qatray ikhatay ho jatay hain to zalim insan mairay ghar par daka dalta hai aur sala shahad laikir chala jata hai mein ilteja karti hoon kay mujhe koee khufia hathiar diya jai jis say mein apni hifazat khud karsakoon tab bargah e ilahi say mukkhee ko apni hifazat kay liye zahreela dankto day diya gaya magar sath hi yah hidayat bhi kardi gaeeka bila wajah dank na maray worna is ko khud hi nuqsan pohonchay ga yani insan ko kanay say insane ki mot to waqeh nahin hogi magar shaihad ki makkhee zaroor marjai gee.yehi wajah hai kay shaihad ki mukkhee hattulamkan insane par apna dang nahin chalati aur jab dank marti hai to us kay bad khud bhi zameen par gir parti hai aur chand lamhon bad raing raing kar mar jatihai.

Birthday Gift
Naima ghar kay qareeb park mein khail rahi thi ka us nay park mein mali  baba ko poday lagatay daikha woh khail chor kar in kay pas aaee aur kehnay lagi"baba aap yah poday kiyun laga rahai hain" "beta poda laga raha hoon kal ko yeh bara hokar darakht ban jaiga to is ki ghani chaon mein ham aram karain gay kiyunkay darakht hamari zindagi kay liye be had zaroori hain"mali baba nay isay samjhaya.naima ki samajh mein un ki batain na aaeen woh ghar aaee aur mali baba ki baton par ghour karney lagee.is ki ammi nay isay soch mein gum daikha to poocha "kiya bat hai is terha baithi kiya soch rahi ho?" naema nay jawab diya "aaj park mein mali baba ko poda lagatay daikha pochnay par bolay darakht zindagi kay liye zaroorihain. Magar meri samajh mein un ki bat nahin aaee darakhton ka bhala hamari zindagi say kiya taluq?"acha to yeh bat hai"us ki ammi muskutaeen. "ji ammi…aap batain kiya yeh bat darust hai jo mali baba nay kahi hai." Mein tum ko samjhati hun jab ham sance saitay hain to oxygen jazb kartay hain oxygen tamam jandaron kay liye bohot zaroori hai yeh darakht mahol ko saf rakhtay hain darakht hamain na sirf saya faraham kartay hain bulkay parinday in par apna ghonsla bhi banatay hain.darakht

lagana sadqae jaria bhi hai aur hamaray nabi ki sunnat bhi" is ki ammi nay kaha ammi ki batain naema kay samajh mein agaeen. Kuch dinon bad is ki bari behan ki salgirah thi aur woh inhain aik behtareen tofa daina chahti thee bohot soch samajh kar us nay tohfay ka faisla kiya aur phir tofay ki tayari mein masroof hogaee. Doosray din say naema shool say aanay kay bad kafi dair tak ghar kay pichlay hissay mein waqt guzarnay lagi woh wahan kisi ko na aanay daiti jab is ki ammi aur behan poochteen to woh jawab daiti "kuch din bad bataoon gi" akhir salgirah ka din aagaya sab nay uski behan ko achay achay tofay diye ab naema ka number tha ka woh apni behan ko tofay mein kiya daiti hai  woh sab ko laykar ghar kay pichlay hissay ki taraf gaee mein nay aik taraf ishara kiya aur kaha "yeh hai meri taraf say aap ki salgirah ka tofa" is ki behan samit sab ki nazrain is taraf uth gaeen wahan chand rang barange poday haseen manzar paish kar rahe thay is ki behan aur ghar kay sab hi logon nay is kay tofay ki bohot tareef ki.

Behan nay isay piyar kartay huway kaha ka naema tumhara tofa sab say qeemati aur sab tofon say acha hai mujhe p asand aya hai mein bhi iski hifazat karoon gi"ab naema ki ammi aur behan samajh gaeen theen kay naima school say aanay kay bad apna waqt kahan sarf karti thee doosri taraf naema khush thi kay is ki mehnat raigan nahin gaee aur is ka tofa is ki behan ko asand aya.

Shezadi Ka Khuwab
Kis mulq par ek neik, rehamdil badsha huqumat karta tha. Isski ek beti bhi thi Shezadi Faheen! Badsha neek seeraat tha magar iski beti is say bilkul maqtalef thi. iss ki tabiyat may behad chir char pana tha. jab wo subah saar kay liye nikalti to usay gar koi aisa admi milta jo usay acha na lagta to wo us ki bella waja pitai shuru kar deti.kabhi kisi dukandar ka saman bahar phekwa deti to kabhi kisi gareeb ka phelon ka thela ulta deti. Us ki in harkaton say badsha bohut pareshan tha magar us ki ek akloti beti thi is liya usay kuch na kheta tha allbata shezadi jis ka nuksan karti thi, badsha is ka azala kar deta tha magar batur shezadi, shezadi farheen ko ye harkatain zayab nahi deti thein.

Ek raat shezadi apanay kamray may soi hui thi keh achanak kalay kaparun may mublus admi andar dakhel hua, is nay muh par nakab charha rakha tha.

Wo shezadi ke kareeb aya us nay khanjar nikala aur shezadi ki garden may gaar diya. Shezadi ki ek cheek bulad hui aur wo bistar par uth kar beth gae . wo khuwab dekh rahi thi. Shezadi gair yekeeni kea mal may apni garden ko chuti kabhi khuf zada nazrun say kamray ke charo taraf dekhti. Shezadi ki ek khas kaniz jo keh shezadi ke kamray may soti thi, wo bhi jag gae. Us nay jo us bakhata ho kar shezadi say pocha. "shezadi hazur! Kiya hua?" to shezadi nay usay sara khuwab bayan kar diya.

Dusre din jab shezadi fareen khanay ki meez par punchi to wahan usay badsha ka khas wazir aur shahi najomi naraz aye.shezadi ke anay ke bad khana shuru kiya gaya. Sab nay khamushi say nashta kiya aur nashtay say farek ho kar badsha,shahi najomi say bolay. "Hum nay kal raat ek khuwab dekha jis may hum nay dekha keh shezadi apnay kamray may soi hui hain keh achanak ek kalay kaparun mai mublis shaks kamray may dakhil hota aur khanjar ki madad say shezadi ko maar dalta hai humay is ki tabir batai jay" badsha ka khuwab sun kar shezadi cheek kar kheti hai keh ubba hazur! Yehi khuwab kal raat hum bhi dekha tha.

Shahi najumi shezadi ki baaat sun kar pareshan hua aur badsha say mukhatib ho kar bola. Hazyr!yehi khuwab agar aap may say kisi ek nay dekha hota to khe deta keh is ki koi tabir nahi hai magar ub aap dono naydekha hai to is ki tabir ye hai keh shezadi ki mout ub bilkul kareeb hai, wese to har insan ki mout kareeb hai magar shezadi haruz ub ek ya do din ki mehman hain.

Shezadi nay jesay hi tabir suni, wo dharay mar mar k apnay baap badsha say lipat k ronay lagi aur khenay lagi keh ubba hazur! Humay kisi tarhan bachalain, hum  marna nahi chatay hain.badsha nay usay hosla diya keh beti! Tasali rakho ALLAH khair karay ga.magar shezadi tasiliyon say kahan khamosh rahnay wali thi.shezadi pura din roti rahi, us nay bakaidgi say namaz shuru kar di,har ghuna say tuba kar li. Jis jis ko taklif di thi, sab say muafi mangi aur Zikar-E-Illahi may mashgul hhhhhogae aur mout kay intezar may khof zada rahnay lagi.dodin is hi tarhan guzar gaye. Isay kisi ka khayal nahi tha keh kun kis haal may hai halakay us ka khana bhi kafi had tak choot chukka tha.shezadi ko har taraf puray mehil may mout ke saye madlatay nazar atay teesray din shezadi jesay hi zuhor ki namaz say faraq hui, uski khas kaniz kamray may dakhil hui aur shezadi say boli. "shezadi hazur! Aapko badsha hazur nay yaad farmaya hai."shezadi bojhalay kadmun kay sath kaniz kay humra badsha kay kamray tak aai. Is nay jab badsha ki taraf dekha to usay badsha ka chera sukha hua nazar aya jesay badsha kaai saalun say kisi umar may naydhal hun.shezadi ko samnay dekh kar badsha ki ankho may chamak peda hui.us nay shezadi say pucha. "kesi ho beti…..?" magar shezadi khayalun may ghum thi is liye koi jawab na de pai magar ub wo kuch mutawaja ho chuki thi teb khas  wazeer shezadi say mukhatib hua aur kaha.

"Shezadi hazur! Aap nay jo khuwab dekha tha, hakiqad may wo khuwab badsha salamat nay nahi dekha tha magar jab aap nay khuwab dekha kar cheek mari tab badsha salamat durtay huay app kay kamray tak zarur aye thay, us waqt app apni kaniz ko khuwab suna rahe thein,badsha salamat say kuch nahi kha aur dabay paun wapis kamray may agaye magar soye nahi,mujhay aur shahi najumi ko usi waqt mehil may bolaya aur najumi say tabir dairiyafat kijis kay baray may shahi najumi nay jawab diya keh is ki koi khas tabir nahi hai, isay daraunay khuwab atay rehtay hain magar haan agar yehi khuwab ek raat do admi dekhtay hain to us waqt is ki tabir ye hoti hai,shezadi ki mout kareeb hai magar darnay wali koi baat nahi hai.

Shahi najumi ke jawab kay baad badsha salamat nay ek mansuba banaya. Badsha salamat aap ko rah-e-rasta par lana chatay thay.is liye hokum diya keh kal subah nashtay say farik ho kar ye khuwab sunauga aur yakeenan aap bhi badsha salamat ka khuwab sun kar batayegay keh yehi khuwab aap nay bhi dekha hai tab shahi najumi nay ye khena tha keh is ki tabir ye hai keh aap ki mout kareeb hai jisay sun kar app khof zada ho jaye aur har ghunha say tuba kae lain. Badsha salamat kay mansubay kay mutabik hi sab kuch hua aur aap rah-e-rasta par agae jis ki badsha salamat aur mehil samayt puray mulq ko khushi hai." 

Ye sun kar shezadi heran say uchal parhi. "badsha salamat ki jo halat aap dekh rahi hain, ye bhi aap hi ki waja say hai.jab say aap nay khana pina chor diya hai, tab say badsha salamat bhi umar say naydhal hain, aap ki pareshan halat dekh kar unho nay phelay hi din hukum jari kar diya tha keh aap ko hakikaq bata di jaye magar hum nay darkhast ki thi keh shezadi ki ye halat kuch din rehnat di jaye jis say shezadi ka mamul ban jaye. Humri darkhast ko badsha salamat nay dil par pathar rakh kar Kabul kiya tha.mai aap say apni taraf say kul-e-fal ka mazrat khu hun magar mai nay aur shahi najumi nay jo kuch bhi kiya,uska maksad sirf aur sirf aap ki bhalai aur badsha salamat kay hokum ki tamilthi, ho sakay to humay muaf kar dain.

Wazeer ki baat sun kar shezadi nay jab badsha ki taraf dekha to uski ankhu say ansu ruhay thay. Shezadi ko apni taraf mutawaja pa kar badsha salamat guya huay keh beti! Mai nay jo kuch bhi kiya, uska maksad sirf tumhay rah-e-rasta par lana tha, mai nay tumhay teen din bhuka rakha is kay liye mujhay muaf kar do, khua tum nay khud bhi khana pina chor diya tha magar waja to mai hi tha, meri waja say tum teen din pareshan rahein, ho sakay to mujhay muaf kar dena. Badsha ki baat sun kar shezadi nay badsha kay kadmu ko tham liya aur ro kar boli. Ubba hazur! Muafi to mujhay mangni chaiya kiun keh meri waja say aap ko taklif  bardash karni parhi, meri waja sau aap ko ye din dekhnay parhay, muafi aap ko nahi balkay mujhay mangni chaiye, ho sakay to mujhay muaf kar dain. Badsha nay usay muaf kar diya aur uasay galay say laga liya kha jata hai us kay bad shezadi nay aisi koi baat ya aisa koi kam nahi kiya jis ki waja say badsha ko ya mulq kay awam ko zara bara bar taklif ho

 


References

  
 

Related Articles:

Story In Urdu    Meri Kahani Meri Zubani   
Last Update: 21-Feb-12 10:37

pakseoguide.com |  noorclinic.com |  magurdu.com |  world313.com |  pakrishta.com  | 
© Copyright 2003-2018  www.pakservice.com , All Rights Reserved    Last updated: 9th Oct 2011