Pakservice.com

 
       Home >> News>> Punjab>> Cities >> Lahore News Pakistan

Lahore News Pakistan

Lahore is the second biggest city in the Pakistan. The Province of Lahore is Punjab. There are many educational institutes in Lahore. Here we are write Lahore News in Roman Urdu.

  Table of Content  
  .                                                                                                                      .
Lahore News Pakistan


Lahore News Pakistan  


.                                                                                                                      .
Lahore Pakistan

Kuch jagaon sey insaan kafi wakif hojata hai, us ko un jagaon sey lagao hojata hai, who jaga jahan insaan luft uthna chahata hai, jahan sey purnay yaad gar wakiyat chaltay array hai, Lahore bhi aik aisay mulk hai.

Lahore Pakistan ka dosra bara mulk hai aur sobay Punjab ka darul hakumaat hai. iss mein koe shak nahi keh Lahore Pakistan ka har lihaiz sey aik shandar aur saqawati darul hakumaat hai. duniya kay sabsey gunjan abaad shairoon mein sey aik hai. Lahore ko taleemi lihaiz sey bohat ahmiat asal hai. Lahora Punjab ki saqafati dil kay toor par kaha jata hai, kyun kay khana dari, mosiqi, film saazi, funkaroon wagiara kay sath wabastagi ki wajah sey mashoor hai. Punjab mein sabse ziadah taleemi adaray Lahore mein hain.

Lahore mein Government College hai, jis ki Allama Iqbal, jo keh Pakistan ki azadi kay bani, nay buniyad rakhi, Punjab University sabsey bara markaz hai aur University LUMS (Lahore University of Management Science) saabse mashoor university hai. Zila mein paki sarkoon kay network hai, M2 Motroway link kay zariye Pakistan aur dosray baray shehroon kay darul hukamat kay sath musilk hai. Lahore kay kuch purnay naam yeh hai :
 
  Laha-noor
  Loh-pur
  Mahmood-pur
  Samandpal Nagiri
  Lohar-pur

Lahore Railway Station, mulk mein sab sey purana station hai jo kahin saaloon sey khidmat furam kar raha hai.

 


.                                                                                                                      .
Medicine Reaction : Four People Died

Lahore Dawa Kay Reaction Say Mazid 4 Mareez Dam Tor Gaey.
Lahore mein dil kay marizon ko hakumat ki janib say muft faraham ki gaee naqis adwiyat kay reaction say mazid 4 afrad jan ki bazi har gaey.Mohd iftikhar nay PIC  Zulfiqar nay meyo hospital Israr nay service hospital mein dam tora jabkay chothay mariz ka nam Tufail bataya jata hai dawa kay reaction say marnewalon ki musadiqa tadad ab 32 hogaee hai jabkay 200 say zayad mariz tashweesh nak halat mein Zaire ilaj hain.
Marizon kay liye koee ilaj dariyaft nahin kiya jasaka maherin kay mutabiq samajh nahin araha aisay marizon ki jan bachanay kay liye kiya kiya jai? Idhar mehakma baldiyat nay Punjab bhar mein towns aur tehsilon ki intezamia ki janib say marizon ko di janeway adwiyat wapus lanay ka kam shurooh kardiya PIC nay help line qaim kardi hai takay muft adwiyat lainey walay mariz rehnumaee hasil karsakain  jabkay adwiyat kay sample Singapore, france aur brisals ki laboratriyon mein tehqiqat kay liye bhijwadiye gaey hain. Alawa azin hakumat ki tehqiqati committee nay bhi kam shurooh kardiya hai.

Niji T.V.kay mutabiq Faisalabad institute of cardiology mein bhi reaction kay 9 case samnay aaey hain hospital nay 5 adwiyat par fori pabandi lagadi hai in mein cardio veston, mega di reliance, megafank aur mega sar shamil hain halak shudgan kay lawaheqeen nay hakum kay khilas ehtajaji muzahira kiya bataya gaya hai ka PIC 40 hazar say zayad marizon nay adwiyat li theen APP kay mutabiq adwiyat kay reaction say marnay walon ki tadad 33 BBC kay mutabiq 54 NNI kay mutabiq 73 INP kay mutabiq 74 sana news kay mutbiq 80 jabkay t.v.chennals kay mutabiq 82 hogaee hai numainday kay mutabiq civil judge joditional magistrate Irfan basra nay jail aur zayad almeyad adwiyat case mein giraftar tin harmaceutical companiyon kay malekan  pharmavize, Alfalah harma aur mega pharma kay Wasim, Dr. Tahir Azam aur Nadir Khan ko teen roz kay jismani remand par FIA kay hawalay kartay huway 27 january ko dobarah adalat mein paish karnay ka hukam diya hai darin asna hakumat balochistan nay amraze dil ki 7 dawaon kay istemal par pabandi lagadi hai.

Punjab Institute Of Cardiology
ki dawaon kay reaction kay baes mazeed 2  mareez jan bahaq hogaey. Halakaton ki kul tadad 25 hogaee Peeran ahmed aur Mohd hussain nay mayo hospital mein dam tora, doosri janib enquiry committee kay sarbarah Dr. Javed akram nay press conference mein kaha kay Punjab institute of cardiology say 13 december ko jin mareezon ko muft dawain dee gaeen un sab mein reaction kay khadshaat pai ja rahe hain aur in mareezon ki tadad taqreeban 24 hazar hai yeh shubhaat bhi barh gaey hain kay jo cheezain dawaon mein shamil hain in mein markaree aur sisa bhi shamil ho sakta hai aur yah takhreeb kari ya kisi insani ghalati ka nateejah bhi hosakta hai taham dawain naqis nahin in kee amaizish mein aisee ashia kay shamil honay kay khadsha hai jo dawa saz factriyon mein nahin paee jateen,bairoonay mulk say dawaon kay mutaliq tehqiqati report aanay kay baad hi hatmi baat kahi ja sakay gee.

Unhon nay bataya kay 150 mareez aspatalon mein Zaire ilaaj hain jin mein 50 ki haalat tashweeshnak bataee jati hai bazaar mein farokht honewali dawain durust hain in kay istemal mein koee haraj nahin . awam ki agahi kay liye tol free help line 0800-99000 ka ijra kardiya gaya hai.

Niji T.V. kay mutabiq Dr. Javed akram ka kehna hai keh adwia kay aik batch mein masla samnay aya hai 25 hazar mareez yai dawa lay chukay hain jin mein say 30 fisad nay wapus kardee hain halakatain barhnay ka khadsha hai idhar wazire aala nay waqeh ki tehqeeqat kay liye wazire aala moaena commission kay chairman Najam saeed ki sarbarahi mein9 rukni committee qaim kardee. Tarjumaan hakumate Punjab nay kaha hai key wazire aala zati taur par tehqeeqat ki monitoring karain gay, committee waqai kee tehqeeqat mukamal karkay do roz mein report paish karay ga.

Lahore College Musical Show

Lahore - Al-Hamara Culture Complex mein niji college kay musical show kay akhtaam par bomb ki afwah par bhagdar mach janay kay nitijay mein 3 talibaat jaa'n baq, kafi zakhmi aur 5 be-hosh hogae. Aani shaideen kay mutabiq niji college kay musical show mein aafraad shaeek thay, aakhtaam par logun ko chotay darwazay sey nikala jaraha tha. Keh itnay mein bomb ki afwah phel gae, aur security guard nay sharka par laati charge shuru kardi, jis kay baad log aik dosray ko ronadtay huwaye bhar nikalnay lagay jis kay nistijay mein teen talibaat halak hoage.jab keh ilaaqay mein trafiic jam hogaya tha.
Altaf hussain nay afsos naak waqiha mein jaa'n baq-o-zakhmi honay wali talibaat kay sogoor lowaqeen sey dili taziait ka izhar kartay huwa kaha keh dukh ki iss gari mein mujh samiat MQM kay tamaam karkanan aap kay ghum mein barabar kay

Brigadier Haroon Defence Housing Authority Lahore Kay Administrator Muqarrar
Defence housing authority Lahore kay administrator brigadier Aslam Rana ko tabdeel karkay G.H.Q. say Brigadier haroon ko naya administrator laga diya gaya hai. Jabkay doosri janib DHA kay intehaee pur kashish project defence raya golf and country club kay Zaire ahtemam phase 6 kay char marla commercial plots ki allotment bhi baz naguzeer wajuhat kay baes mansookh kardi gaee hai. Zimmay dar zarai nay bataya brigadier mohd saslam rana ki tabdeeli mamooli karrawaee hai. Unki muddat mulazmat mukamal honay ka waqt qareeb hai. Policy kay mutabiq retirement say qabl wapus fauji marahil say guzarna hota hai takeh woh tay shuda farmulay kay mutabiq marat hasilkar sakain, brigadier haroon 10 fabruary say zimmedariyan sanbhalain gay.

 


References

  
 

Related Articles:

Khanpur News In Urdu    Blast In Lahore Medicine Factory | Lahore Medicine Factory       
Last Update: 21-Apr-12 08:13

pakseoguide.com |  noorclinic.com |  magurdu.com |  world313.com |  pakrishta.com  | 
© Copyright 2003-2018  www.pakservice.com , All Rights Reserved    Last updated: 9th Oct 2011