Pakservice.com

 
       Home >> News>> Entertainment>> Showbiz >> Lollywood

Lollywood

Lollywood film industry is the Pakistani film Industry based in the Lahore. Lollywood making many films to safe film industry. Here we discuses the new or old films latest news in roman Urdu and Hindi.  

  Table of Content  
  .                                                                                                                      .
Lollywood News In Urdu


Lollywood News In Urdu  


.                                                                                                                      .
Lollywood

Pakistan do qaumi nazaria ki buniyad par qaim huwa tha laikin is ki dhajjiyan bakhairee jarahi hain. Indian filmain pehlay bhi lagti theen laikin who aik system tha aik film un ki ati thi aur aik film hamari wahan lagti thee film “kartar singh” ko jab ham nay wahan bhaija tha to hamari film kay wahab print jaladiye gaey thay isay wahan par nahin lagaya gaya ham kehtay hain kay Indian film pakistan mein kis qanoon kay tehat lag rahi hain.tofay kay tor par aik film aaee thi is kay bad import kay zamray mein in filmon ki numaish horahi hai. film “Love mein gum” ki prince cinema mein numaish ki gaee film ki cast mein Rema Khan, Moammar Rana aur film ka writer Parvez Kaleem logon ka josh o kharosh daikhnay key liye pohonchay thay is moqay par rema khan nay kaha kay eid par Pakistani filmon ki kamiyabi dar asal pakistan film industry ki kamiyabi hai.mujhe khushi hai kay pakistan filmon ko awam daikhnay kay liye aaey hain. Agar isi terha say ham apni filmon ki hosla afzaee kartay rahai to who din door nahin jab film industry ka bohran khatam hojaiga. Rema khan ka kehna tha kay teenon filmain meri apni filmain hain in ki kamiyabi meri aur Pakistani film industry ki kamiyabi hai tamam Pakistani filmein kamiyabi say hamkinar rahi hain.

Laikin is bat ka hatami faisla nahin hosaka kay konsi film number one ki dor mein shamil hai box office report to batati hai kay “Bhai log” nay eidulfitar kay dinon mein sab say ziyada business kiya hai is kay bad film “love mein gum” aur phir film “Jugni” rahi hai laikin daikhnay wali bat yeh hai kay rima khan ki film”love mein gum” mein direction par girift pehli film kay muqablay mein is martaba ziyadah dikhaee dee. Is film ko daikhnay key liye khowateen aur pooray khandan cinema aaey khowateen aur family kay lehaz say jo film number one rahi hai who “Love mein gum” hai. film “Shah Murad” panjabi film hai is ko daikhnay walon ki class bhi kuch aur thi. Is film mein parvez rana kay baiton haider ali nay sila hussain kay sath kiya khoob kam kiya  capital cinema mein Zaire numaish yeh film bhi kamiyab rahi hai metropole cinema mein subaee sensor board kay aik ohdaidar imran nay guftugu kartay huway bataya kay subaee film sensor board kay chairman kay ikhtiyarat mein kami kardi gaee hai. chairman film industry ki kisi shakhsiyat ko bananay ki bajai beaucrat hi ko banaya jaraha hai ohdedar nay bataya kay chairman kay pas ab bohot kam ikhtiyarat hongay aur naya aaeen tarteeb diya gaya hai in ka kehna tha kay bahar begum ko chairman film sensor board kay tor par bearucracy qabool karnay ko tayar nahin hai.

Bureaucracy bohot taqatwar hai chairman ka panel par roll bilkul khatam kardiya gaya hai. is moqay par syed noor nay kaha kay meri Hamza shahbaz sharif say mulaqat huee hai ham nay inhain chairman kay liye aik nam diya hai syed noor nay nam batanay say guraiz kiya hai syed noor nay kaha kay jab koee film ban hoti hai to is par mukamal tor par pabandi lagni chahiye. Is par imran nay kaha kay mein aap ki baat say 100 fisad ittefaq karta hoon.ab bilkul aisa hi hoga.isi liye chairman ka panel say roll nikal diya gaya hai.in ka kehna tha kay mein khud is haq mein hoon kay festival par koee Indian film nahin lagni chahiye. Festival par sirf pakisani filmain hi hon.un ka kehna tha kay isi silsilay mein sabiq secretary cultural Shahid rafi nay aik notification jari kiya tha jo qanoon ka hissa hai kay festival par Indian film ki numaish nahin hogi.

Laikin numaish ho rahi hai shabistan cinema kay malik safdar khan nay bataya kay eid par jis terha say Pakistani filmon ko response mila hai who qabile rashk hai un ka kehna tha kay bharti film Pakistani film ko mutasir karnay mein nakam rahi hai. safdar khan nay kaha kay “shah murad” aur “Society girl”  ko eid kay bad lagaya jata to behtar hota kiyunkay yeh muqablay ki faza ki filmain nahin theen.in filmon ko eid par laga kar zaya kiya gaya. Isi terha rima khan ki film “Love mein gum” achi film hai aur logon nay is ko daikha bhi hai laikin yeh film bhi eid ki film nahin thee is ki wajah yeh hai kay “Love mein gum” mukamal tor  par family aur love story film hai safdar khan ki bat bilkul sahih hai kiyunkay 4 pakistani filmon ko eid par lagaya jana  darsasal bohot bara aur jurratmandana faisla tha  in filmon kay producers nay awam kay liye achi filmein paish karkay sabit kardiya hai kay who kisi bhi bharti ya ghair mulki film say darnay walay bilkul nahin hain. Aur Pakistani awam nay bhi media in pakisan filmon ko daikh kar film industry kay logon ka hosla barhaya hai umeed ki jasakti hai kay in filmon ki kamiyabi ko daikhtay huway aaeenda aisee meyari aur behtar filmain pardae screen par nazar aaein gee.

Film “Jugni” ka music M.A.Arshad nay diya hai m.arshad kay baray mein cinema mein mojud logon ka kehta tha kay siwai aik do ganon kay music k.m.arshad nay mukhtalif Indian filmon say music churaya hai ya who in say inspire hain.kay unhon nay film “o makara” aur ganay “beri jala diye” aur “sholay” ka back ground music day diya hai.filmi naqadeen ka kehna hai kay m.arshad bohot achay music director hain aur un ki taraf say is terha karna bara ajeeb sa laga hai syed noor bara nam hai in ko bhi chahiye tha kay who m.arshad kay music ko ghour say suntay jab aap Indian film ki mulk mein mukhalifat kartay hain to phir apni film ko mukamal tor par “Made in pakistan” kiyun nahin banatayisi terha Indian ki mukhalifat kartay thaktay nahin aur film ki processing ka sara kam India say karaya gaya  kiya yeh khula tazad nahin.

 


.                                                                                                                      .
Lollywood News

Eid ul fitar par 4 pakistani filmain release ki gaeen yeh filmain doobti huee industry ko sahara dainay mein kafi had tak kamiyat rahi hain Syed Noor, Rema Khan,Faisal Bukhari, aur Parvez Rana nay filmain banakar industry ko oxygen mohiya ki hai.

Yeh kehna sahih nahin hoga kay kon si film kamiyab rahi kon si nakam laikin yeh sach hai kay charon filmain Pakistani hain aur in main muqablay kid or bhi nazar ati hai syed noor,faisal bukhari aur parvez rana kay muqablay mein rema khan nowarid director hain rema khan ki film love mein gum bator director in ki doosri film hai  is sasy pehlay in ki film koee tujh sa kahan thi jis nay kamiyabi kay record qaim kiye thay rema khan ki film ki bat baad mein kartay hain is say pehlay film “Bhai Log”  nay kamiyabi kay record qaim kiye hain.”bhai log” dar asal aaj kay halat kay mutabiq banaee jane wali film hai shooting Karachi aur Lahore kay mukhtalif maqamat par director aur camera man faisal bukhari nay khoob ki hai.film mein nadeem ,javed sheikh aur moammar rana ki adakari nay jahan film beenon ko bohot mehfooz kiya hai waheen saima,meera,noor aur sila hussain ki adakari bhi kisi say kam nahin hai

Lahore kay filmi garh mcleod road par kaee baras kay bad in filmon ki wajah say cinemaon par rash honey ki wajah say traffic mohatal hokar rehe gaee shabistan cinema kay manager abdul hameed butt ka kehna hai kay mcleod road par kaee barson kay bad traffic ka band hona yeh sabit karta hai kay achi aur meyari film ho to log isay daikhnay kay liye aatay hain.shabistan cinema mein kaee barson kay bad kisi tehwar par is terha say house full hona kisi mojzay say kam nahin hai in ka kehna tha kay film ki kamiyabi is liye mumkin hosaki hai kay is mein moasharti aur mulki halat ko madde nazar rakh kar filmaya gaya hai.

Filmi pandaton ka kehna hai kay is sal tehwar par Indian film “body guard” ki numaish kay bawajud Pakistani filmon par koee asar nahin para bulkay film “bhai log”aur “jugni” kay rat 12 bajay kay shows ko khususi tor par chalaya gaya aur aisa cinema ki tareekh mein bohot barson kay bad huwajo awam ki in filmon mein dilchaspi ki wajah say himumkin hosaka hai. Indian film “Body Guard” nay poori duniya mein kamiyabi kay jhanday garh diye hain isi terha pakistan mein bhi “Body Guard” nay acha business kiya  is film ki numaish say Pakistani filmon par koee khas asar daikhnay mein nahin aya awam nay pakistan filmon ko is bar cinema mein ja kar daikha hai jis say cinemaon ki ronaqain bahal huee hain.

Adakarah Saima metropol cinema mein apni film “Jugni” ko daikhnay kay liye syed noor kay sath jab cinema pohoncheen to cinema mein mojud log in ki aik jhalak daikhnay key liye betab nazar aaey. Khas kar khawateen Saima say milnay kay liye cinema manager kay kamray mein ati raheen. Jahan par Saima nay khawateen say eid mili aur in ko “jugni” ki kamiyabi par mubarakbad dee.Saima nay is moqay par “Akhbare Jahan” say guftugu kartay huway kaha kay who bohot kam kisi bhi film kay premier ya kisi bhi aisay moqay par jati hain laikin aaj shah ji (Syed Noor) in ko lay kar aaey hain. Yahan akar in ko awam ki taraf say jo piyar aur mohabbat mili isay kabhi who bhula nahin sakteen.syed noor nay is moqay par kaha kay film “jugni” aur “Bhai Log” mein Saima hi Saima hain Saima nay kaha kay yeh achi bat hai kay log cinemaon mein Pakistani filmon ko daikhnay kay liye arahe hain. Aik faza ban rahi hain.is say pakistan film industry ko faida hoga eid kay teenon din hidayatkar syed noor metropole cinema mein dairay jamai huway thay.adakar arif lohar nay bhi cinema jakar apni film “Jugni” daikhi aur parastaron say dad wasool ki .


Film “Bhai Log” kay hero moamar rana apni family kay sath shabistan cinema mein film daikhnay walon mein shamil thay.moammar rana nay is film kay bad metropole cinema main akar awam ka josh o kharosh apni aankhon say daikha is koqai par cinema main mojud logon nay in kay sath tasweerain khichwaeen syed noor nay mohammar rana ki super hit adakari par in ko apni agli comedy action film “Danay pe dana” key liye cast karnay ka ailan kiya.syed noor ney kaha (momi) mohammar rana ko unhon nay is film kay liye “Jugni” ki shooting kay doran hi final karliya tha laikin who munasib waqt ka intezar kar rahe thay.unhon nay kaha kay yeh eid momi kay liye khushiyon kamiyabiyan aur kamraniyan laikar aaee hai. jo film industry jo film industry kay liye bhi hain.syed noor nay kaha in ki pehli choice momi hi tha is sawal par kay aap nay shan ko kiyun is film kay liye nahin liya to un ka jawab tha kay shank ay sath un ka tajarba bohot acha raha hai laikin is film ki kahani kay aitbar say momi shan say behtar choice hai

Yahan agar shan ka koee roll banta hai to daikh lain gay.abhi to bohot waqt para hai syed noor ki yeh bat sun kar in khabron ko taqwiyat mili hai kay syed noor nay shan ko apnay camp say nikal diya hai aur syed noor nay shan ko apnay kisi bhi project mein na lainay ka faisla karliya hai yah faisla syed noor nay film “Jugni” kay doran hi karliya tha zarai ka kehna hai kay shan nay film “Jugni” kay doran syed noor ko bohot tuff time diya tha aur syed noor nay usi waqt faisla karliya tha ka mustaqbil mein jo bhi faisla hoga merit par hi hoga.moammar rana nay kaha kay mujhey bohot khushi horahee hai kay is eid par mujhe kamiyabiyan mili hain.

Asal mein yeh meri kamiyabiyan nahin bulkay film industry ki kamiyabiyan hain aur meray directors,producers ka mujh be aitemad hai moammar rana nay syed noor ko tajveez dee kay who film ka nam “Dhoom machaday Dhoom” rakhain jis par syed noor nay waheen par media kay samnay voting karaee to in ki ray thi ka film ka nam “Dany pe dana” hi hona chahiye.final huwa kay film ka nam “Danay pe dana” hoga aik sahafi ney kaha kay “Dhoom machaday dhoom” nam rakhnay say yeh tasur jaiga kay yeh Indian film kay ganay say liya gaya nam hai jiski syed noor nay foran taeed ki moavizay dainay ki bat par syed noor ney kaha kay mein nay momi ko jo diya hai us nay yeh kabhi nahin kaha kay yeh kam hai jo diya un nay lay liya is ki niyat saf hai adakar achi khan nay film “Jugni” mein ishtehariyon ko panah dainay walay mulk ka kirdar ada kiya hai adakar achi khan nay kaha kay Indian film “Body guard” ka kirdar ada kiya hai hamari filmon ko koee farq nahin para. Moammar rana nay guftugu kartay huway kaha kay teen filmain “Love main gum” “Jugni” aur “Bhai log” par awam nay bohot acha response diya hai unhon nay kaha kay mein awam ka aik bar phir shukariya ada karta hoon jo meri filmon ko daikhnay kay liye gharon say niklay.

Shan ji ki bari mehabani hai kay unhon nay mujhey apni aeenda ki film mein cast karliya hai. syed noor nay kaha kay film “Danay pe dana” kisi ski chori huee film nahin hai meri pehli aur akhri choice momi hi tha aur hai.kiyunkay mein nay jab yah roll likha to momi say baqaida discuss kiya yah roll asal mein aik aisay khatarnak qisam kay shakhs ka hai jo apni biwi say darta hai. duniya is say darti hai laikin jab who ghar ata hai to bhigi billi ki terha hojata hai moammar rana nay is moqay par aik latifa sunaya kay “aik banda hakeem kay pas jakar kehta hai kay hakeem sahib mujhay ajeeb si bimari hogaee hai mujhay apni begum ki awaz nahin ati hakeem kehta hai tumhain bimari nahin tum par allah ka karam hogaya hai” is par syed noor ,qaiser sanaullah aur deegar log lot pot hogaey.syed noor nay kaha kay moammar rana nay kabhi bhi kisi ko replace nahin kiya aur na moammar rana nay kisi ko replace kiya hai.jab yeh aya to bilkul khud mukhtar tha is ki pehli film “Deewanay teray piyar kay” super hit huee is kay bad lamination manaya gaya.

Syed noor nay inkeshaf kiya kay jab bhi mein nay film banaee to momi kay baray mein mujhey kaha gaya kay is ko na lain mujhay lain media kay samnay inkeshaf kartay huway syed noor nay kaha kay bohot say logon ki taraf say mujh par yeh pressure ata raha kay moammar rana ko film say cut karain jin mein “churiyan” “Deewanay taray piyar kay” “Mehandi walay hath” filmain shamil hain.is moqay par momi nay kaha kay film “Mehandi walay hath” mein bari koshish huee thi kay mujhay na liya jai.syed noor nay kaha kay mein nay kisi pressure ko qabool nahin kiya. Abhi mein film “Danay pe dana” mein momi say jo kirdar karwa raha hoon who munfarid hai is sawal par kay yeh kahani kis ko samnay rakh kar likhi gaee hai kahin pe sachi kahani to nahin hai to syed noor nay hunstay huway kaha kay yeh meri apni kahani hosakti hai is par moammar rana bhi khil khila kar huns diye.

Moammar rana nay kaha kay Noor Sahib says aap nay yeh sawal kiya hai laikin sachi bat yeh haikay sab ka yehi hal hai. Syed noor nay kaha kay corrupt shohar hi sab say ziyada darpok hota hai mosiqar zulfiqar ali say dobarah sulah honay par syed noor nay bataya kay “Danay pe dana” ka music wohee kar rahai hain. Syed noor nay kaha moammar rana artist to pehlay hi tha comeback kargaya hai. Writer pervez kaleem nay kaha kay film “Bhai log” ki kamiyabi sirf hamaray unit ki kamiyabi nahin hai bulkay is ki kamiyabi poori pakistan film industry ki kamiyabi hai. Asal mein yeh film nazariyati film hai

Yeh baray budget ki film hai aur is say industry ki bahali huee hai. Unhon nay kaha kay sari zindagi qalam aur siyahi say likhta raha hoon yeh wahid film hai jis kay baray mein aap keh saktay hain kay mein nay apnay dil mein ungliyan dubo kar isay apnay khoon say likha hai. yeh jazbae hubulwatani par meri satween film hai  yeh mojza hai kay 100 karor rupay ki film “Body guard” ko char panch karor ki lagat say bunnay wali film nay bichaar diya hai. faisal bukhari nay bari janfishani say kam kiya filmsaz kamran nay hosla mandi ka sabot diya hai is moqay par aijaz kamran nay kaha kay is film ka ideal faisal bukhari ka tha jis ko parvez kaleem nay likha is film kay zaria ham nay qaum ko aik paigham diya ha kay apas mein siyasat danon nay jo giroh bandiyan ki huee hain is giroh bandi ko khatam karkay mulk ki salmiyat kay liye socha jai.

Director Faisal bukhari nay kaha kay “Bhai log” mera aik khowab tha jo aaj pura hogaya mulk kay halat daikhta tha to dil khoon kay aansu rota tha. Film mein takhair is liye huee kay Allah rala nay is waqt muarar kiya huwa tha duniya mein hamaray mulk kay khilaf jo batain horahe hain in baton ka is film mein jawab diya gaya hai. Jab tak aik bhi pakistan zinda hai pakistan salamat rahaiga. Parvez kaleem nay cinema malekan ko qusurwar qarar daitay huway kaha kay cinema malekan pakistan filmon ko cinema ka show nahin daitay agar cinema mil bhi jai to aik aik show diya jata hai.aiwane Iqbal mein wazire azam Yusuf raza Gilani say darkhowast kit hi kay hamaray tehwar par Indian film par aik ya do haftay kay liye pabandi aaed kardi jai ham Indian filmon kay mukhalif bilkul nahin hain laikin musalmanon kay tehwar par agar India ki film ki numaish nahin hogi to is say konsa cinema malekan ko nuqsan hojaiga.

 


References

  
 

Related Articles:

Pakistan And Pakistani Entertainment News In Urdu And Hindi    Faakhir Mehmood | Pakistani Singer     Pakistan Film Industry News    Pakistani Actress Veena Malik    Cricket News In Urdu               
Last Update: 21-Apr-12 09:38

pakseoguide.com |  noorclinic.com |  magurdu.com |  world313.com |  pakrishta.com  | 
© Copyright 2003-2018  www.pakservice.com , All Rights Reserved    Last updated: 9th Oct 2011