Pakservice.com

 
       Home >> Urdu>> Story>> Others >> Meri Kahani Meri Zubani

Meri Kahani Meri Zubani

Meri Kahani Meri Zabani based on true story that is being reenactment and the person narrate his own true life experience which he came across. These story show us that what true world look like and how much a person can be inhuman in order to achieve his desire, greed and wealth. In this viewer also came across to watch that how far a person can go in order to take revenge or to fulfill the thirst. 

  Table of Content  
  .                                                                                                                      .
Urdu Stories Image


Urdu Stories  Image  


.                                                                                                                      .
Mulazma Say Malik Bani

Meray walid sahib aik ausat darja kay sarkari mulazim  thay aur ham kul chay behan bhai thay mein sab say bari thi. Buray bhalay din bhi sakoon say  guzar rahe thay ham rukhi sukhi kha kar khush thay ghar mein koee jhagra nahin tha ammi abbu piyar-o-mohabat say rehtay thay. Hamara khayal rakhtay thay bay shak moashi tor par khush hal na thay laikin do waqt ki roti meyassar thi. In dinon meri umar pandrah baras thi aur mein naween jamat ki taliba thi jab aik din yeh hadsa huwa aur ham sab ko salkhi halat kay sapurd karkay walid sahib  khaliqe haqiqi say ja milay. Woh office kay kam say kisi kam say ja rahe thay kay lamha hark o aik thanay kay qarib gari ko rokna para aur isi waqt bam dhamaka hogaya doosray kaee bai gunah logon kay sath woh bhi anan fanan luqmae ajal ban gaey.
Yeh hadsa jankah tha ham par qayamat toot pari ham to bas jitay ji margay.kiya bataoon kiya hal huwa qalam mein taqat nahin kay abbu ki judaee ka dukh bayan karsakoon piyaron ki daimi judaee bohot satati hai magar yahan to rozi roti ka bhi masla tha mehangaee kay is dor mein ghurbat ka bhiyanak roop daikhnay ko ab mila tha ait ki majburiyan moon kholay khari theen.

 Akhrajat kahan say pooray hotay walid sahib hamaray wahid kafeel thay waldah an parh theen.woh gharailu kam kaj kay alawah kuch na janti theen…ab sawal yeh tha kay ham zindagi kaisay barqarar rakhain  walid sahib na koee jama poonji bhi nahin chori thi sance aur jisam ka rishta barqarar rakhnay ko raqam chahiye thi. Aik roz hamari mulazma aaee jab abbu zinda thay yeh aurat hamaray ghar mein jharu poncha karnay ati thi tab woh do so rupai mahana laiti thi walda nay kaha masi ab to mein bewah hogaee hoon kamanay wala bhi koee nahin raha ghar mein khanay ko nahin hai mein tum ko nahin rakh sakti kamanay wala fot hogaya mein to bachon kay talimi kharch bhi bardasht nahin karsakti kuja mulazima rakhoon  mein nay sab bachon ko school say utha lia hai.masi ko bohot afsos huwa boli hai hai sahib na martay to aap kay bachay taleem say mehroom nahotay shameela bibi ko to matric karado is ko school say na uthao matric karkay kisi school mein teacher hojai gee.

Aap ko sahara mil jaiga.masi ki bat sahih thi  walda woch mein pargaeen magar jahan roti ka niwala meyassar na ho aur saat afrad khane walay hon  wahan aik taliba ko matric karana bhi mushkil tha tab masi boli bibi kis soch mein ho….yehi soch rahi hoon na ….kay matric ka kharcha kaisay pura karogi. Yun karo kay us ko sarkari school mein dakhil karado aap kay ghar kay peechay hi to hai sal guzartay dair na lagay gee sham ko isay maray sath bhaij dia karna maan hairat say masi ka moon taknay lagi.

Hairan mat ho bibi halat sada aik say nahin rehtay halat ka muqabela karna parta hai jahan mein kam karti hoon woh bohot achay log hain un ko aik lurki chahiye jo sham ko thora sa kam karday.sham ki chai banaday aur chai kay bartan dhoday. Bas ghanta bhar un kay haan rehna paraiga woh kehtay thay lurki thori parhee likhi ho agar mehman ajain to chai ki tray saliqay say in kay samnay lakar rakhay…bibi…woh achi tankhowah dain gay tumhari bachi ka matric ka kharcha nikal aaey ga  yeh metric kar paigee to tum ko umar bhar duain daigee pehlay to maan razi na huee  laikin phir masi kay dalail nay un ko qail karliya aur phir unhon nay badile nakhowasta sirf meray behtar  mustaqbil ki khatir yeh bat man li  school say do bajai ghar ati khana khati thora sa aram karti phir masi mujhe lainay ajati woh mujhe un kothi mein lay jati jahan khud sara din kam kiya karti thi wahan mein thora sa us ka hath batati is terha jo mahana tankhowah milti is say meri fees aur kitabon ka kharcha nikal ata.

Waqt tezi  say guzar gaya aur mein nay matric pas kar liya ab mein khush thi kay result aatay hi mujhe mulazmat mil jaigee aur mein yeh kothi ka kam choar dun gi masi wala kam to majboorat duniya walon say chup kar karti thee pas paros mein yehi keh rakha tha sab say chupaya huwa tha. Matric ka result agaya mein achay number lay kar pas hogaee ab marhala tha mulazmat talash karnay ka kaee schoolon mein gaee laikin mulazmat na mili pata chala kay dar haqiqat matric pas ki to koee "value" hi nahin hai yahan to mamooli mulazmat kay liye M.A. pas log minnatain kartay hirtay hain school aur chaprasi tak M.A. pas thay.

Dil bujh gaya…jis umeed par kothi mein mulazma huee thi woh puri na huee tab masi nay kaha beti mein kam chor rahi hoon mujhe ghar kay pas aik kothi mein kam mil gaya hai yeh kothi tumharay ghar say qarib haia agar tum meri jagha kam sanbhal lo to char hazar tunkhowah milaigee tum college na ja sakeen…tumharay behan bhai zaroor school ja sakain gay aur kuch roti pani ka bhi yahan say asra hojai gay eh bohot achay log hain.waqee bohot achay log thay malika bohot piyar aur shafqat say paish ati thi socha jab pehli bar koee kam halka samajh kar samjhotay kay tehat karlo to phir jhijhak khatam hojati hai ab jab  pardah utar hi gaya hai to ait ka dozakh bharnay ki khatir isi kam ko jari rakho mera nahin to maray behan bhaiyon hi ka mustaqbil ban jaiga…yeh soch kar matric pas larki nay jharu ponchay,dusting,bartan aur kapray dhonay ki mulazmat qabool karli pait bara papi hai ammi bimar rehnay lagi theen. Mein nay charon behan bhaiyon ko  school dakhil karadiya jabkay akhri choti behan kamzore sit hi school nahin ja sakti thi woh ghar mein ammi kay pas rehti. Nasibon ki bat hai oonchai awarish rakhnay wali kothiki masi ka roop dhar liya magar meri uthti jawani thi rukhi sukhi mein bhi roz bar oz roop nikharta jar aha tha  logon ki bad nazrain peecha karnay lageen. Jab ghar say nikalti bari si chadar mein khud ko chupa laiti laikin husn ki chandni phail rahi thi roop ki kirnain chadar say bhi phuti parti theen.

 


.                                                                                                                      .
Khoya Huwa Khazana

Ham nay kabhi socha bhi na tha yun juda hojaingay kay phir kabhi mil na sakain gay mil bhi gaey to aik doosray ko pukar na pain gay  dil kay hathon majboor hokar pukar bhliya to jawab na dain gay ajnabi ban kar qareeb say guzar jaingay. Inssat jo sochta hai nahin hota aur jo nahin sochta woh hojata hai. Hamaray sath bhi kuch aisa hi huwa laikin johuwa hamari nadani say huwa bohot bura huwa jis ka pachtawa kabhi na jaiga aur woh pachtawa ham donon ko aaj tak hai umar bhar rahaiga jab tak jiyangay. Mein aur raheel aik sah university mein parth tay thay hamara shoba bhi aik hi tha donon imraniyat mein M.A kar rahe thaypractile aur "field work" milta to bhi ham ko aik doosrai ki moawinat karni parti, yun meri raheel kay sath aik khas qisam ki zahni ham ahangi hogaee jo bad mein chal kar shadi kay muqaddas bandhan mein dhali.M.A. ka result agaya to shadi ki sujhi halankay pehlay mein khayal karti thi ka "sociology"  mein masters karnay kay bad mein mehakma samaji behbood mein nokri kar lun gi mohashray ko sudharnay  aur moashray kin a insafiyon ka shikar logon ki madad o khidmat karun gi samajhti thi kay insaniyat ka bol baba karnay ko yehi watira behtar rahai ga jis say ruhani tamaniyat aur dili sakoon hasil hoga.

Yeh talibe ilmi kay zamanay ka khowab tha jab raheel unsiyat ka rishta istawar huwa to ji chaha kay ghar basana chahiye . walda bhi yehi tazkirah aksar chair baithti theen. Kay lakh parh lain larkiyon ko ghar basana hota hai.  Acha hai waqt par apnay ghar ki hojai…baqi kam shadi kay bad hotay rahain gay. Jahan chah wahan rah kisi nay sach kaha hai walda meray liye achay rishtay kay intezar mein theen aur taheel ko mujhe apnanay ki chah thi so woh apni walda ko lay kar agaya yun hamara sanjok huwa aur do mah kay bad mein us ki dulhan ban kar in kay ghar agaee. In dunon kud ko duniya ki khush naseeb larki samajhti thi. Jaisay saray kehan ki khushiyan jholi mein agaee hon qadam zamin par nahin tehartay thay. Raheel nay mujhe woh mohabbat dee kay zindagi par bhar poor aitemad agaya lagta yehi thaw oh meray liye aur mein us ki khatir bani hun hamara aik doosray par yaqeen mutazalzal aur piyar chatan ki terha atal tha sara zamani mujh ko raheel kay bay mein bad guman karta laikin mein kisi ki bat ka yaqeen nahin karsati thi.phir woh hogya jis ka tasawur bhi  na kiya ja sakta tha.aik roz kisi kam say in kay office kay qareeb say guzar rahi thi soha kuch raqam raheel say lailoon gharailu zaroorat ki chand ashia kharidni theen dobarah ghar say nikalna dushwar hoga  yeh soch kar mein in kay offie chali gaee jo aik buland o bala plaza ki chothi manzil p art ha junhi lift khulee mein abhi bahar qadam rakhnay na paee thi kay aik jora jaldi say lift kay andar agaya mard nay larki ki kamar kay gird bazoo hamail kiya huwa tha.donon aik doosray ki qurbat kay madhur ahsas say sarshar thay.

Unhon nay mujhe aur mein nay chonk kar in ko daikha apni aankhon par yaqeen na arha tha kay raheel kay sath aik khoobsurat no khaiz larki thi aur mujh ko samnay daikh kar aisay hogaya jaisay is nay koee bheyanak cheez daikh lee ho. Yeh kon hai? Mein nay khashmageen nigahon say ghoor kar sawal kiya  yeh ….yeh meri secretary hai…aaeena…laikin tum yahan is waqt…tum meray office kiya karnay aaee ho?  Tumhari jasusi karnay…mein nay tank aakar jawab diya ab charah kiya thaw oh rangay hathon pakra gaya tha us nay aaeenay say kaha tum jao…aur mujhe bazoo say pakar kar khaichta huwa apnay office kay kamray mein lay aya intada ki …daikho meri bat suno tehamul say aur yahan par shor mat machana aur na unchi awaz mein bat karna mera office hai aur meri izzat ka sawal hai.theek hai mein nay dard kay ghoont ko bamushkil halaq say nigaltay huway kaha tum nay kiyun is ko rakha hai aur ab kamar mein hath dal kar kahan lay jarahay thay.mujhe daftari amoor mein moawinat ki khatir is ki zaroorat thi aura b mein is ko ghumanay laija raha tha.acha…kisi larki ko ghumana bhi tumharay daftari amoor mein shamil hai mein chillaee…foran nikalo isay chillao mat…mein iski abhi chuti kar dun ga laikin ab tum ghar chalo yahan wavela karnay ki zaroorat nahin hai.

Jaisay woh mujhe bazoo say khainch kar daftar laya tha isi terha wapas nichay lay aya taxi wala ko keraya diya aur apnay sath mujhko gari mein bitha liya meri halat us waqt ajab thi yaqeen tuta tham mein patha ki hojati to acha tha. Jab ham ghar pohonchay photo photo kar ronay lagi.bari mushkail say rastay bhar zabt kiye rahi ghar atay hi zabt ka bandhan tut gaya aur mein photo pari jaisay anhoni hogaee ho. Aap nahin jantay yaqeen ki shikast kis qadar aziyat daiti hai.woh shakhsh jis ko mein apna samajhti thi sarihan mujhe dhoka day raha tha kiyun shareek kiya tum nay apni zindagi mein  khushiyon mein ? deewana war mein ro rahe thi.woh mulazmat talash karti meray daftar aaee thi.mujhe achi lagi aur mein nay mulazim rakh liya phir tum us ki taraf jhuknay lagay us kay sath ghoomnay phirnay lagay hai na yehi bat? Han…raheel nay apnay jurm ka iqrar karliya tab mein nay bhar poor ahtejaj kiya waqti tor par meray shohar nay man liya kay woh aaeena ko kal jatay hi daftar say rukhsat kardaiga  magar aisa nahin kiya mujhe pata chal gaya kay woh mulazmat say nahin nikali gaee hai.barabar arahi hai. Tabhi mein nay talaq ka mutaliba kardiya.raheel kay kan par jun tak na rangee us kay mamulat mein farq na aya mujhe talaq de ear na aaeena say nata tora tabhi apni ahanat ka karb mujh say bardasht na huwa aur aik roz mein nay ghar chor diya.jatay huway apnay sath sirf  thora sa zaroori saman liya jo aik chotay say bag mein sama gaya zevrat bhi na samaitay sirf wohi halka phulka zevar sath tha jo us waqt pehnay huee thee.

Raheel nay mumy kay ghar phone kiya yah kiya himaqat hai tum nay ghar kiyun chora hai meri ijazat kay baghair mujhe ab tumhari ijazat ki zaroorat nahin ha kiyunkay tum nay bhi to meri ijazat kay baghair aik larki ko apni zindagi mein samait liya hai. Larki ki bat khatam karo us nay tehakmana andaz mein kaha  "aur wapas ajao" mein ab wapas nahin aaoon gi kiyunkay woh ghar sirf tumhara hai yeh ghar tumhara hai aur mein bhi tumhara hoon aur tum ko kiya chahiye?  Mujhe talaq chahiye aur talaq laina is liye zaroori hogaya hai takay tu gunah mein naparo doosri shadi karsako.shadi ko sirf dosal huway thay aur is tanazeh ki wajah say mein do baras aur mamm kay pas akaili rahi magar raheel nay mujhe talaq na dee. Woh aksar mujhe phone karta wapas ajao, agar wapas ajao to to wadah karta hunk kay mein aaeena ko chor dun ga…laikin meri yehi rat thi tum pehlay aaeena kjo chor do us kay bad mein ghar anay ka sochun gi. Isi takrar mein arsa guzarnay laga roz roz ki jharap say ham donon nay mehsoos kiya kay ab ham ko alaihdah hona paraiga. Taleem yafta thi  apnay haquq say waqif thi raheel ko meri baton nay bawar karadiya ka mein ab adalat ka darwazah khatkhataney wali hun aur woh kutehray mein ail ba wafa shohar sabit hojaiga.

Mein nay khulah ka case dir kiya to muqadmay kay doran judge sahib nay bohot koshish ki ka ham donon mein sulah hojai maar inki koshish raigan gaee bilakhir sawal kiya kay kiya aap doosri shadi karna chahti hain."ji nahin…"  mein nay mukamal aetemad say jawab diya inhon nay wohee sawal raheel say kiya to us nay talkhi say meri taraf daikh kar jawab diya "ji han….agar yeh talaq lain gee tab to mein doosri shadi karunga" aap log sochnay kay liye kuch aur waqt lay lain judge sahib nay kaha tha tab mein goya huee pehlay hi aziyat ki suli par lataktay do baras ho chukay hain judge sahib ab mazeed is kaifiyat mein din guzarna meray liye suanroh hoga barahay meharbani is case ka faisla juld kardain. Bilakhir mujhe talaq hogaee is amar say mein khush nahin thi magar apni zat ki nafi bhi to badasht nahin hoti thi halankay ham donon chahtay thay ka ham mein judaee na ho aur sath rahain kash kay aisay halat runuma na hotay to talaq kar nakhushgawar saneha zahoor pazeer na hota. Talaq kay bad kafi arsay tak disturb rahee kisi karm mein dil na lagta tha  ammi aur kuch achi doston nay dil joee ki samjhaya to khud ko sumbhal liya aur aik company  mein mulazmat mil gaee.mulazmat kay bad dil behal gaya kam mein khud ko masroof karliya jehan mein mulazmat karrahe thi un ka kafi bara business tha jis mein deegar masnuat kay alawah garment aur handcrafts ki ashia ki tayari bhi shamil thi. Business kay silsilay mein juld hi ham deegar mulkon mein janay lagay chunkay takhliqi shobay mein thi  laihaza mera nam bairune mulk kay doron mein shamil kar liya gaya. Inhi dinon malaisia ka dora nikal aya meray sath kamray mein company ki managing director thehri huee theen.

 Ham log apna stall laganay ja ahe thay.junhi hotel kay kamray say nikli samnay walay kamray ka darwazah kisi shakhs nay khola  aur woh mujhe daikh kar thithak gaya ghour say daikha to mein bhi thithak gaee. Woh raheel tha us nay mujhe daikh liya tha apni taraf daikhtay pakar mera chehra ghairat say julnay laga apnay apnay kamron kay darwazon par thithkay huway ham aik doosray ko daikhnay mein meho thay phir anan fanan ham donon nay apnay mutaheer jazbat p ar qabu palia talaq kay bad paanch baras tak aik doosray ko nahin daikha tha aaj ittefaq say amna samna aik ajnabi mulk kay hotel mein hogaya tha yun mehsoos ho raha tha jaisay woh koee ajnabi na ho laikin is say baghair kisi wajah kay bat karna bhi mayoob tha socha karti thi agar raheel kahin nazar aagaya to nigahain phair lun gi katrakar nikal jaoon gi laikin aaj achanak usay daikh kar is say mil baithnay aur batain karnay ki khowahish dil mein anraeeyan lainay lagin. Kitni ajeeb bat thi jo shakhsh do baras tak mera jivan sathi raha tha ab is say bat karni mushkil thi.kuch dair sochnay kay bad woh zeenay ki taraf chal diya aur mein samnay wali railing kay pas khari  hogaee woh nak sak say durust umdah libas mein tha hasbe adat nifasat aur saliqay say tayar hokar jaisay kisi meeting mein janewala tha aura b is ka dil yaqeenan meri janib khinch gaya tha kiyunkay is kay qadam manon bhari lag rahe thay jaisay uthai n auth rahe hon mein ani jagha jami khari rahee yeh soch kar kay agar chal p ari to ham lift kay pas ikhattay hojain gay. Aur yah lift ka hi saneha tha jis nay ham ko juda kardia tha aur chahti thi ka is waqt tak yahan khari rahoon jab tak kay woh nazron say ojhal na hojai.
 Khuda nay eh kaisa din dikhaya tha kay ham donon dayare ghair kay aik hi hotel mein tehray huway thay.  Bilkul aamnay samnay walay kamron mein  agar ittefaq say aik sath kamray say bahar na aatay to kiya khabar kay ham ko phir akhri din tak khabar na hoti kay ham yahan aik sath hain garchay door hain magar dil ab bhi aik doosray kay liye dharak rahe thay. Aaj daftar ka kam chand ghantay ka thais kay bad hamara Malaysia kay us shehar mein sair ka programme tha dil par ajeeb si adasi chaee huee thi aur mein khoee khoee sit hi yaqinan woh bhi aisee hi kaifiyat say do char hoga woh bhi udas aur khoya khoya sa dayare ghair kay in ajnabi maqamat mein phir raha hoga daikhoon….laikin woh hotel mein kahan hoga is waqt? Maray sath company kay jo log sath aaey thay in mein chand colleague to hotel kay doosray hissay mein tehray huway thay.aur ham khawateen kay sath theen. Sab ka irada thora sa ghoomnay phir nay ka huwa mujhe  in ka sath to daina chahiye than a chahtey huway bhi mein in ka hamrah bazaar chali gaee laikin dil kahin aur tha jahan jahan gaee raheel ka tasawur hamrah tha wapsi par rat ath baj gaey jab mein aur jahan ara hotel kay kamray tak aaey to bay ikhtiar nigahain samnay walay room ki taraf uth gaeen darwazah band tha. Yeh yaqeen karnay kay liye raheel room mein hai ya nahin mein nay mulazim say pooch liya kiya samnay wala kamrah  khali hogaya hai. Ji nahin….us nay jawab diya wahan Islamabad say aaey huway aik business man qayam pazir hain. Kiya un ka nam raheel hai? Ji han woh kab tak tehrai gay?  Parson tak….expo mein numaish lagi hai in logon ka bhi stall hai bohot achi numaish hai kaee mulkon say logon nay yahan akar stalls lagaey hain. Acha…tum ko yeh sab maloomat hain ji han…yeh maloomat hamari duty ka hissa hain ab waqt katnay laga talaq kay bad kuch arsay sakoon say guzra aur mujhe is ki yad nahin aaee laikin yeh meri ghalat fahmi thi phir us ki yad nay tang karna shurooh kardia us ka sath guzaray huway din yad aatay to aur takleef dah ahsas chor jatay.kisi say bicharnay ka dukh kitna takleef dah hota hai yeh mujhay bad mein ahsas huwa dil hi bujh gaya mein nay kabhi doosri shadi ka khayal tak nahin kiya bas apnay kam mein masroof hogaee kari arsay kay bad isay daikha ti is achanal deedar say jaltay dil par phuwar si pargaee woh taqreeban rat das bajay lota mujhe is ki awaz sunaee dee woh kisi shakhs say batain kar raha tha apnay bistar kay qareeb wali khirki ka pardah uthadiya aur dil dharaknay laga  thiri dair bad woh meray kamray kay qarib say guzra  is ki chal ka ahang waisa hi tha sar mo farq na tha is kay qadmon ki har chap par mera dil dharak raha tha  yeh chap is kay kamray tak jati sunee dee  har ahat ko dil kay kanon say sun rahi thi aik lamhay kay tawaquf say room ka darwazah band honeki awaz aaee.

Yeh shurooh sardiyon kay din thay rat kafi thandi thi mein bistar mein kabal othai laiti thi raat bhar sochti rahee kay mein nay zid karkay kitni bari ghalati ki woh bulata raha ghar lot aao mein inkar karti rahi  yahan tak kay talaq ka mor aagaya agar mein us qadar hat dharmi ka muzahira na karti  to shayad ham aik hotay…yeh judaee ka zerila mor kabhi na ata woh subha hi apnay darwazay kay pas aram kursi dal kar akhbar parhnay baith gaya is andaz mein kay agar mein kisi bhi waqat kamray say bahar nikloon to woh mujhe nazar ajai jaisay woh soch raha ho kay agar mein us kay pas say guzri to woh mujhe awaz day kar bula layga yeh meloom karnay kay liye kay mein ab kaisee zindagi guzar rahi hoon. Isi soch aur kashmakash mein meri jagtay huway aankhon ankhon mein rat kat gaee thi. Mein apnay kamray mein ab mazeed na rehe parahi thi. Samnay railing thi aur idhar nailgon samandar tha  hawa khori kay bahanay kamray say nikal kar railing kay pas ja khari huee us nay meri taraf daikha aur mein moon phair kar samandar ki taraf daikhney lagi us nay safaid libas pehna huwa thaw oh safaid libas hi pasand karta tha is kay bal kanpatiyon say safaid horahe thay woh ab bhi burdbar aur khubsoorat lag raha tha kabhi kabhi woh gehray rang pehan laita to isay yah rang bhi khoob jachtay thay. Tab mein kaha karti thi tu nili ya brown shirt pehna karo dhariyon wali yeh tum ko khubsoorat lagti hai woh hans p arta tha  tab to zamanay ki lurkiyan mujh par mar mitain gee agar koee in mein say mujhe pasand agaee tab tum kiya karogi. Aaj yeh batain yad arahi theen meri ankhain nam theen yaqinan is ki ankhon mein bhi nami hogi shabnam kay qatron jitni nahin bulkay samandar jitni…kam az kam mujh ko to apni aankhon mein samandar hi umadta dikhaee dai raha tha halankay samnay samandar sakit aur soya huwa tha. Isay khoob maloom tha kay mein thoray say faslay par is kay peechai khari hoon woh phir bhi jam kar baitha tha aur nazrain akhbar par gar rakhi theen.ziyadah dair meray liye wahan rukna meray liye aik imtehan hogaya. To mein palat kar tezi say apnay kamray mein chali aaee meri coleage jahan ara bath room mein theen aur shawar kay abshari taranum kay sath un ki gungunahat sunaee dai rahee thi. Mein khirki say ab bhi isay daikh rahi thi is nay akhbar the kiya aur kursi say uth khara huwa us kay hath ki teesri ungli mein rang chamaknay lagi to goya us nay doosri shadi karli..yaqinan yeh "ring" shadi ki hi hosakti hai achanat dil kuch tut sa gaya kash meri nazrain us ki ungli par na jateen. Kash is ki anguthi ke chamak ko na daikh pati…mein to bas yun hi sari rat bechain rahi thi us ki doosri shadi kay khayal say mujhe takleef si honay lagi kiyunkay khud ko abhi tak raheel  say lataluq nahin kar pa rahi thi aur yehi cheez mujhe  takleef day rahi thi. Is roz ham ko apnay sabay huway stall p ar jana tha aur ham numaish daikhnay chalay gai hamara stall gate say qarib hi tha mein doosray stall daikhnay zara aagay chali gaee to wahan mujhe woh shakhs nazar agaya jo rat ko raheel say batain kar raha tha. Mein jan boojh kar us kay pas gaee aur bila takaluf pooch liya aap kay dost raheel is waqt kahan hongay?

Woh apnay stall par hongay us nay kaha un ki product bohot maqbool hain kiya aap nay stall daikha hai?  Ji nahin mein nay barjasta kaha acha yeh batahiye  in ki sathi khatoon chali gaeen? Andheray main teer chalaya thaw oh hairat say bola kon si sathi khatoon? Un kay sath koee khatoon nahin hain un kay sath mein ayah un aur hamaray chand log aur bhi hain. Acha mein nay hairat say jawab diya to phir unhon nay doosri shadi nahin ki nahin abhi tak nahin kiyunkay un ko apni pehli biwee say bohot mohabbat hai isi kay faraq mein shadi nahin kioh mein nay aik lamba aur itmenan bhara salce liya to un ki ungli mein woh ring kaisa hai? Woh un ki pehli shadi ki nishani hai biwee ko talaq daidee magar "ring" abhi tak ungli say alag nahin ki hai yeh sab maloomat dainay kay bad jaisay is sheikhs ko hosh agaya ho woh bola aap …?

Aap kon hain aur yeh sawalat kiyun pooch rahi hain mujh say…mein nay aap ko nahin pehchana. Laikin mein nay pehchan liya hai aap khaliq sahib hain aur un kay puranay sathi hain aap ko un kay daftar mein kaee bar daikha tha laikin shukar hai kay aap nay mujhe nahin pehchana. Khuda hafiz keh kar mein teri say aagay barh gaee kiyunkay ansu ab meri aakhon kay kanaron say girnay lagay thay aur kanaray un ko thanmnay mein nakam ho rahe thay mera dil ro raha tha magar rooh pur sakoon hogaee thi jaisay is ko ks ka khoya huwa khazana mil gaya ho.

 


References

  
 

Related Articles:

Kids Stories In Roman Urdu    Story In Urdu       
Last Update: 08-Feb-12 06:17

pakseoguide.com |  noorclinic.com |  magurdu.com |  world313.com |  pakrishta.com  | 
© Copyright 2003-2018  www.pakservice.com , All Rights Reserved    Last updated: 9th Oct 2011