Pakservice.com

 
       Home >> Pakistan>> Latest News>> MQM >> MQM News

MQM News

Muttahida Qaumi Movement is well known as MQM. It is the political part of Pakistan. Alataf Hussain is the leader of this MQM, which was been founded in 1978, APMSO "All Pakistan Muhajir Student Organization", which is finally gave rank to the MQM in 1984. Here we write all messages or views of MQM.

  Table of Content  
  .                                                                                                                      .
MQM in Urdu


MQM In Urdu  


.                                                                                                                      .
MQM Views For Teachers

Muttahida Qaumi Movement ki rabta committee kay rukn Shahid latif nay kaha hai kay qaid tehreek Altaf Hussain ka nazaria haq parasti mulk kay chappe chappe mein phair chukka hai tulba aur talebat jaded aloom par tawajoh dain. Altaf hussain nay hamaisha asateza o waldain bazurgon aur khawateen kay ahtaram ka dars diya in khayalat ka izhar unhon nay APMSO ki tanzeeme nou kay silsilay mein muneqida general workers ijlaas say khitaab kay douran kiya.

MQM rehnuma Aamir khan nay kaha hai ka Quaid-e-tehreek Altaf Hussain nay hamaisha Pakistan kay awam ki falah aur unkay haqooq ki baat ki hai. Bad azaan rabta committee kay rukn Dr. Saghir Ahmed nay APMSO ki nou muntakhib makazi committee kay namon ka ailaan kiya nou muntakhib committee mein Chairman Abdul Wahab,vice chair person Isra tufail,vice chairman Raheel Ahmed,secretary general Tauseef Aijaz,secretary nashr o ishaat Shabbir Ali Babar, Finanace secretary Amar qaim khani, Joint secretary (girls) Ana Khan, Joint secretary Mohammad Adil Khan o deegar mimbaran shamil hain.

 


.                                                                                                                      .
MQM Jalsa Ba Ekhtiyar Aurat Mazboot Pakistan

19 February 2012, MQM kay leader Altaf Hussain nay khwateen kay liyeh Karachi Jinnah Bagh mein Jalsa munhtqta karawaya.

MQM kay zair ahtmaam  "Ba Iktiyaar Aurat….. Muzboot Pakistan" kay unwaan sey Mazar Quaid-e-Azam kay samnay honay walay tareeqi jalsa aam mein lakhoon kawateen shareek hain, azad zaraye aur tujzhya nagar jalsay ko duniya ki tareeq ka khwateen ka sab sey bara jalsa qaraar dy rahay hain.

Jalsa aam mein khwateen ki lakhoon ki tehdad mein sharkat kay bais tent kam pard gaya.

MQM kay iss Khwateen kay Jalsay nay tamaam record toor diye
.
Jalsay kay bais Karachi Sunday Markets mein sonata tha.

Jalsay ki security kay aalaa intizaamaat kiye gaye thay.

Bain-ul-quwmi media ki gair muhmoli dilchispi nazar ai.

KKF nay Tabi campus lagaye.

Shar kay muqtilif ilaaqoon mein methai taqseem ki gae.

MQM kay teht Khwateen kay jalsa aam kay moqay par Deputy Parliament Leader Haider Abbas Rizvi, Amir Khan aur Waseem Akhter jalsa gaah mein Khushqawar mood mein nazar ayain.

Altaf Hussain Nai Hamaisha Awam Ki Khidmat Ka Dars Diya
Labour division kay karkunaan haq parasti kay nazariay ko phailanay aur is ki hifazat kay liya khud ko nazariye ko phailanay aur us ki hifazat kay liye khud ko nazariyati taur par mustahkam banain. In khayalaat ka izhaat MPA Suhail yusuf nay MQM labour division unit baldia aala Hyderabad Zaire ahtemam general works ijlas say khitaab kartay huwey kiya. Ijlaas mein arakeen subaee assembly syed wasim hussain akram aadil labour division ka incharge javed khan o deegar nay shirkat ki. Unhon nay kaha kay qaid tehreek Altaf hussain nay hamaisha karkunan ko dars diya hai kay taqat ko khuda ka atia samjho taqat hasil kaykay khud ko khuda na samjho is liye hamain chahiye kay ham qaid ki dee huwee taleemat par amal karain aur apnay tahamul aur kirdar say yah sabit karain kay ham haqiqi manon mein awam ki khidmat kar rahe hain mohd javed khan nay kaha ka labour division kay aik aik karkun ko har mazdoor kay pas jakar qaid ka paighame haq parasti pohonchana chahiye takai koee bhi sarmaya dar mazdoor kay huqooq ghasab na karskay qaide tehreek mulk bhar kay mazdooron ko khushhal daikhna chahte hain aur unki zindagee mein khushhal sarmayadarana nizaam kay khatmay say hi mumkin ha ijlas say deegar nay bhi khitab kiya.

MQM Ka Beesween Termimi Bill
MQM nay qaudmi assembly mein naji karrawaee kay din aaeen mein beseween tamimi ka bill paish kardiya. Bill ka tehat aaeen ka articles 1, 51,106 aur 239 mein tarameem ki jain gee. Hakuman nay bil ki mukhalift nahin kee aur deputy speaker nay isay qaima committee ko ghour kay liya bhijwadiya haiis say qabl guzishta session mein hakuman nay MQM ki subon say mutaliq qarardad agenday mein shamil nahin ki theen.jispar MQM nay shaded ahtejaaj kiya tha.

Ab MQM ne khamoshee say private bill paish kardiya. Deputy speaker faisal karim kundi nay bill paish karnewalay har rukn say kaha keh woh bill kay numayaan nukaat say aiwan ko agah karain laikin is bill ka baray mein unhon nay danista khamoshee ikhtiar kiye rakhee takaeh koee hangama na ho. Beesween tarmim ka bill MQM ka mimbaran assembly, Wasim Akhtar,Sajid ahmed, Khowaja suhail mansoor aur syed asif hussain ki janib say paish kiya gaya. Parlemani secretary S.A.Qadri nay aitraz kiya keh woh moharrik hain laikin in ka naam shamil nahin kiya gaya jispar deputy speaker nay kaha kay choonkay woh parlemani secretary hain is wajah say shamil nahin kiya gaya. Bill paish kiya gaya to waziree mazhabi amoor Syed Khurahid Ahmed Shahnay mukhalfat nahin keeKhurshid Shahnay kaha bill majlisay qaima ko bhaij diya jai woh us par ghour karaigee.bill kay tehat aaeen kay atricle1,51,106 aur 239 mein tarameem ki jaingee. Bill  mein moaqqif ikhtiyar kiya gaya hai kay pakisan kee abadi 1951 mein teen karore 38 lakh thee jo 2011 mein barh kar 13 karor30 lakh hogaee laikin subon ki tadad mein izafa nahin kiya gaya. Bill kay tehat refrandom k zaria junubi panjab) aik ya aik say ziyada)subon ka tayun kiya jaigaa. Khaibar pakhtoon khowah mein suba hazara banayat jaigaa.

366 ARAB DOLLAR KA NUQSAAN
Aqwami muttehda nay kaha hai kay sonami zalzalon aur deegar qudrati aafat ka baes guzishta saal 366 arab dollar ka nuqsaan huwa. Jabkay qudrati tabah kariyon ka in 302 waqiyat mein 30 hazar afraad apni jan say hath dho baithay jabkay 206 million mutasir huwai.aqwame muttehda ki disaster rediction agency (UNISDR)  kay jaree kardah aadad o shumaar kay mutabiq 70 fisad nuqsanaat toofan aur sailab ka baes huwa. Jabkay sab say ziyada halakatain zalzalay ki wajah say hueen jin ki tadad 20 hazar 943 haijo kay ziyada tur japan mein hueen , report mein bataya gaya hai kay guzishta saal march mein japan mein anewale sonamy ka baes foko sheema new clear plant ki tabahi say sab say ziyada 210 arab dollar nuqsaan huwa jabkay Thailand mein sailab say nuqsaan ka takhmeena 40 arab dollar lagaya gaya hai.january 2011 mein barazeal mein tareekh kay bad tareen sailab nay 900 afraad ko nigal liya.

 


References

  
 

Related Articles:

Political News Pakistan    National Reconciliation Ordinance | NRO    Karachi Stock Exchange News | Stock Market    Hyedarabad|Hyderabad News    Supreme Court | Suprim Court of Pakistan   
Last Update: 02-Jun-12 07:17

pakseoguide.com |  noorclinic.com |  magurdu.com |  world313.com |  pakrishta.com  | 
© Copyright 2003-2018  www.pakservice.com , All Rights Reserved    Last updated: 9th Oct 2011