|
T.V. kay maroof hidayatkar Ahsan Ali Zaidi nay kaha hai kay T.V. ki masroofiat mein junhi kami hogee to mein Pakistan film industry ko bohran say nikalnay kay liye aik mazahiya film banaon ga. Film ki kahani par kam shurooh kardiya hai jabkay cast aur locations film ki kahani mukamal honay kay baad final karunga. In khayalat ka izhar unhon nay "Express" ko interview daitay huway kiya. Unhon nay kaha kay film industry kay liye kam karna mera khowab hai, waisay bhi puri duniya mein aaj bhi film hi sab say maqbool aur behtareen media mani jati hai puri dunia mein intehaee qabil log film trade say wabasta hain aur aaey din ham bollywood ki hairat angez filmain daikhtay hain mein bhi film industry kay liye kuch karnay ka mansooba guzishta kaee barson say tayar kar raha tha jis kay bad mein nay hatami taur par aik mazahiya film kay script par kam shurooh kardiya hai mein nay film kay kuch seen tehreer karliye hain aur ani T.V. recordings mein say jab bhi farigh waqt milta hai to mein film ki kahani par kam shurooh kardeta hoon, mein samajhta hoon ka meri kawish say film industry kay bohran mein kami hogee jab kay cinema gharon ki ronaqain bahal hongee.
Shoaib Akhtar Was Love To Me And My Cousin (Meera) Adacara Mera nay kaha hai kay 2 saal qabal mera Shoaib Akhtar say muwasqa chalta raha hai.Lakin Shoaib Akhtar nay issay Shoaib Akhtar nay kabhi sangidgi say nahi lia khukay issnay meri cousin aur mujhay aak hi din purpose kia.
Shoaib Akhtar nay P.T.V. staff kay samnay mujhay thukar maar di. Iss kay bawajood mein nay iss baat ko media kay samnay nahi laye. Darhaqiqat issnay meri zindagi ka aak saal zaya kia aur bahot nukshan puhchaya.
Aak muqami English New paper ko Interview datay hoye unhoon nay kaha kay uryaan Tasaveer (photo) utarwana maqbuliat hasil karnay ka ashaan gur hai. Lakin mujhay big boss mein Shoaib Akhtar kay saath Shareeq honay kay lia 5 karoor ki peshkash ki gaye jo mein nay thukradi. Meera nay apni shadi kay baray mein bataya kay mera honay wala mangeter Naveed Shazad aak Air line company mein caption hai.
Meera nay apni Einglish bolnay kay baray mein nukhta chenay ka jawab detay howay kaha kay maray pass itna wakth nahi kay mein apni English teekh karti pheroon.
Meera nay bataya kay koi bhi Adakara 10 second mein suhrat hasil kersakti hai. Maray Jisim ki uthan Veena Malik aur kumaar tarani say hai. Mein Vidya Balan, Madhuri Dixit, Rakha, Shamim Ara ki terha Adakara kay toor per yaad rakha jana chati hoon.
|