|
Pakistan ki film industry guzishta kaee saal say shadeed bohran say guzar rahe hai in chand salon mein kisi nay bhi is bohrani kaifiyat par koee tawajoh nahin dee chand sanjeedah afraad nay barha koshish ki kay kisi tarha film industry wapis apnay track par ajai lekhin yeh koshishain kamiyab na ho sakeen.
Film industry kay is bohran say sab say ziyada mutasir cinema malekan huwe kiyun kay cinema industry bhi tabahi kay dahanay par pohonch chuki thee.cinema tezi say farokht hokar shopping centres mein tabdeel horahe thay cinema malekan nay hakumat par dabao dal kar Pakistan mein Indian films ki numaish ki ijazat hasil karlee aur apnay cinemaon ko khatam honay say bachanay key liye koshishon ka aghaz kardiya. Cinema malekan ka yah harba kamiyab hogaya Pakistan mein Indian films ki numaish say kisi had tak cinema ka business behtar hogaya aur logon nay cinema ka rukh karna shurooh kardiya.
Lekhin pakisan film industry ko phir bhi is ka koee faida nahin huwa, kisi bhi Pakistan film nay khatir khowah kamiyabi hasil nahin ki lekhin is kay bawajoud chand logon nay pakisani film industry ko zinda rakhnay key liye koshishain jari rakheen chand filmon nay Pakistani cinema par acha business kiya jis kay bad yeh umeed ho chali kay film industry ko fal karnay ki zaroorat hai aur yah na mumkin nahin hai.
Guzishta saal Pakistan film industry mein umeed ki kiran nazar aaee jab reema ki film "loh mein gum" faisal bukhari ki "bhai log" shoaib mansoor ki film "bol" na Pakistani film beenon ko cinema par aanay par majboor kardiya, yeh aik khush aaeend baat zaroor rahi jiskay bad mutadid producer aur hidayat karon nay Pakistan mein films ki mansooba bandi ki aur saal 2012 ko aik baar phir Pakistan ki film industry kay liye behtari kaa saal qarar diya jaraha hai, is sal aik darjan say zayed pakistani films cinemaon ki zeenat bannay gee jis ki tayariyan zor o shor say jari hain.
Guzishta dinon Karachi mein munaqid honewali aik taqreeb mein maroof film taqseem kar nadeem mandviwala nay bohot achi baat kahi Unhon nay kaha Pakistan mein jab tak achay aur meyari cinema nahin banain gay film beenon ko achi tafreeh kay zarai mayasar nahin aain gay aur is baat ka sabot yeh hai kay jab say Pakistan mein jaaded cinema ghar tamer huwey hain cinema industry tezi say taraqi kay manazil tai kar rahi hai un ka kehna tha kay hum soch bhi nahin saktay thay kisi film ka business Pakistan mein crore mein bhi hosakta hai yeh soorate hal is liye be had housla afza hai kay ab Pakistani cinema aik bari market bantay jarahe hain.
Log cinema mein akar film daikhna chahte hain lekhin in ko woh mahol farahat karna hamari zimedari hai ab inhain woh mahol mayassar araha hai aur log apni family kay hamrah cinemaon ka rukh kar rahe hain.in ki is baat say yah tasur bhi milta hai Pakistani film beenon nay cinemaon ki kharab soorate hal ki wajah say cinemaon mein ana chor diya tha. Agar cinemaon mein acha mahol milay ga to log cinemaon mein akar film daikha chahain gay.
Bila shuba Pakistan bhar mein tezi say bannain walay cinema anewalay dinon mein Pakistan ki film industry kay liye behtareen koshish sabit hon gee aur film beenon ko achi tafreeh faraham karain gay lekhin zaroorat is baat ki hai kay is kay liye filmon kay meyar par bhi bhar poor tawajoh chahiye.
Pakistani filmon mein sarmaya kari karne walay bhi is baat ko mahsoos kar rahe hain kay is waqt Pakistani filmon kay liye mahol sazgar hai aur filmon mein sarmaya kari ki jai to iskay musbat nataij samnay aaingay.agar achi aur meyari filmain banain gee to Pakistani filmain zaroor kamiyab hongee.
Saal 2012 mein bannain wali filmon say film industry kay mustaqbil ki
aik naee tareekh raqam karnay ki mansooba bandi ki gaee, khushi ki baat
hai is koshish mein ab woh log shamil horahe hain jo tele vision kay
shobay mein apni kamiyabi ka loha manwa chukay hain jis kay bad is baat
ka imkan hai kay is sal Pakistan ki film industry dobarah apnay paon
par kharee hojai gee.
|