|
Pakistan film industry ko bchanay kay liyeh ab amal kartay huwaye koshishian teeze kar digae hain. iss silsilay mein film industry kay karta dahrtaon nay mil kar Alhamra hall number teen mein taqat ka mozaherah kia aur ilaan kia kay woh Pakistani cinemas sey Indian filmon ki numaish ko mokammal tour par rokwain gain.
Iss silslay mein markazi rabtah committee Pakistan film industry kay bainerz talay ek saiminar ka ehtamam kia gia, jis mein faislah kia gaya kay Indian filmon ki release kay khilaf charah joi ki jay gi aur Pakistani filmon kay liyeh malkan sey bhi kaha jaiga kay woh Pakistani filmon ko cinema mein fouqiat dain.
Alhamrah hall ki chat talay ikjahti ka muzahrah karnay walon mein film industry kay mukhtalif shobon sey taluq rakhnay waly hunar mandon, technicians, directors, actors, producers, distributors aur kamrah mainon nay bahrpoor shirkat ki. Shohail Butt, Abdulhameed Butt, Gull Afridi, safdar malik, Aslamdar, Nisho Begam, Sarwar Bhatti, Faisal Bukahri, Joni Malik, Baber Butt, Raseela, Sheikh Akram, Khuraam Bari, Mian Amjad Farzand, Nasir Adeeb, Iqbal Kashmiri, Bahar Begam, Haider Rana, Ali Jaan, Imran Husani, Zulfi, Golam Mohiuddin, Hafiz Mohiuddin, Naim Tahir, Chodhri Khadim Hussain, Hasan Aksari, Arshad Viraech , Mohammad Arshad, Pappu Samrat, Hanif Bhatti, Khawarkhan, Nadia Ali, Shokat Ali, Haji Shafiq, Mira,Masood Butt, Waris Baig, Mobashshir Luqman, Parvaiz Rana, Madal Ashi, Pappu Samra, Nasir Chinoti, Jani, Akif Malik, Irfan Khosat, Madiha Shah, Islam Butt, Sheen, Aisha Javaid, Suhail Tuni, Zafri Khan, aur Kramat Chaodhary kay ilawah deegar nay bahrpoor shirkat ki.
Seminar mein film industry kay safe aual kay tamam funkaron nay shirkat ki lakin agar un mein Shan, Nadeem, Mustafa Qurashi, Jawaid Shake, Altaf Husain, Sana, Saima, Jamshead Zafar, Qawi Kahan, bhi shamil hotay to waqi film industry ki taraf sey hukumat ko ek those aur waza paigam jata.
Bahar haal iss seminar mein film industry ki aham shakhsiat nay apni ekjahti ka muzaherah kia aur sab sey munfrid aur achoti bat yeh rahi kay taqreeb ka agaz National Anthem sey kia gaya, jis kay ehtram mein hall mein tamam log ahtraman khamosh aur baadab kharay ho gaye aur taranay kay akhtatam par hall mein Pakistan zindah bad kay naray lagaye gaye.
Taqreeb ko organize karnay mein film industry kay serkardah arkan mein Sangeeta, Ajaz, Kamran, Shaukat Zaman, Achchi Kan, Fiaz Khan, Zulfiqar Mana, Pervez Kaleem nay bahrpoor mehnat ki, Faisla yeh huwa kay tamam shorka kay samnay Pervez Kaleem kay tahreer kardah 3 safhat hiadiat kar Saeed noor parh kar sunain gain aur koi bhi taqreer nahin karayga aur iss qardad ko tamam log ki manzoori hasil hogi.
Saeed Noor nay talawat kalam pak kay bad Pervez Kalim ki likhi iss taqrer ko manoen parhnay ki bajai apnay andaz mein parah aur hazreen ko iss ka lablabab bataia .Saaed Noor ki iss joshili taqreer nay hall mein moujood logon mein walwala paida kardia. Saeeed Noor ka kehna tha kay jo log kehtay hain kay film industry motahid aur akhatti nahi ho sakti, un ko mein aj yeh batana chatahun kay aj hum sab yehan motahid ho kar ahtajaj kay liyeh aye hain aur iss kagaz par lihkay hoiay ek ek lafz ko yahan par moujood tamam logon ki bhar pur hamiat hasil hai.
Saeed noor ka kehna tha kay chand mafad paraston nay indian films Pakistan mein laker Pakistan ki film industry ko tabah kia hai. hum aisay logon ko film industry mein bay naqab karain gai. Jo kay film industry ki tabahi aur uskay band honay ki batain kartay hain. Woh aj dekh lain kay Pakistan film industry zindah hai aur har shobay ka shakhs industry ko taraqqi danay kay hawalay sey bay panah jazbah rakhta hai. Hamari films ab bhi dekhi jarahi hain, jabkay Indian filmain mangwanay walay yeh jan lain ka iss waqt Indian film “badi gard” mulk kay beshter cinemas say uter chuki hai jabkay “jugni” aur bhai log” filmain aj bhi awam dekh rahai hain humara ek hi faislah hai kay hum Indian films numaish Pakistan mein jald az jald band karkay dam lain gain.
Saeeed Noor nay kaha kay film kay numaish kunindgan nay yeh tahiaker rakha hai kay woh Pakistani film ko apnay cinemas sey hata kar Indian Films ko numaish ka moqa daingain. Jabkay qanooni tor par Indian film Pakistan ahi nahi sakti.
Saaeed Noor nay phir kaha hai kay aj mein Indian films mangwanay walay 3 mafad peraston kay naam lay kar yeh kahna chata hoon kay woh apna mafad parasti ka ravaiia tarak kerdain. Saeed noor nay in 3 namon ka zikar kartay huwaye kaha hai kay yeh log hamaray pas darkhast lay ker ayae thay keh humain cinema bachanay kay liyeh Indian films ki numaish ki ajazat day dain magar ab oont khemay kay ander hai aur hum bahar ho gaya hain.
Saeed Noor nay kaha hai kay humain Indian films ka khouf nahin. Ham aj bhi film bana rahai hain, hum nafad paraston ko batana chatay kay woh garddari nahi karain, Apnay culture ko bachanay kay liyeh Indian filmon ki numaish roknay mein hamarah sath dain .
Saeed Noor ki taqreer ko roknay hazreen nay saraha, jis kay bad Pervez Kaleem nay Pakistani film aur adakarah atiqah odoh ko stage par khetab ki dawat di.
Atiqa odoh nay apnay khatab mein kaha kay Indian films hamaray liyeh koi issues nahin hai lakin yeh kis qanoon kay tehat Pakistan mai aa rahi hain. iis kay liyeh koi laehay amal tai hona chaia.
Atiqa odoh nay iss moqa par kaha kay aj logon nay mujhay dawat di hai aur mein yeh kahna chati hoon ka yap iss silsilay mein ek ret petishion , mein khud chief justice Pakistan kay pas jaker ap ki yeh ret petition jama karadoongi. unhon nay kaha kay hukumat nay kisi bhi tarah sey Pakistan film industry ko kabhi bhi support nahin kia.
Wazir tejarat Makhdum Amin Fahim Indian gaye aur wapis aye, un sey puchna chaia kay woh Indian sey film kay hawalay sey barabri ki sitah par bat kaon nahi kartay. Agar un ki films yahan arahi hain to humari films ki bharat mein numaish kkun nahi ki jati. iss silsilay mein koi policy to samnay aye. India ki films char saal pehlay iss mulk mein aye thin aur iss kay waqt kaha gaya tha ka iss sey Pakistan mein revenue aya gaur iss sey Cinema ghar kahray hongay lakin yahan to Pakistan ki film ko hi nazeer andaz kardia gaya hai. Atiqa odoh nay kaha kay pechlay char sal sey akali hi lar rahi thi lakin mujhay aj khushi hai kay aj maray sath sab log hain, mein akali nahi hamaray technician bhukahy mar gaye, kisi nay un ko nahi pucha aur na hi kisi ko unka khail aya. Indian film ki yahan par iss liyeh numaish hoti hai kay un ki zaban humain ati hai aur humari film bhi usi zaban mein hoti French zaban mein nahi agar un ki film yahan lag sakti hai to humari kyun nahi lag sakti. humara dramah Indian mein nahi lagaya jata aur mein nay suna hai shayad yeh baat galt hokay cable opertors ko kaha jata hai. Agar Pakistani dramah dekhaia gaya to apka cable band kar dia jaiga.
Atiqa odoh nay kaha kay mein yahan siasat par baat karnay bilkul nahi aye aur na karu gi lekin mein yeh chahti Pakistan film industry pehlay puhlay. Unhon nay kaha kay hukumat film industry kay mamlay hamay tax mein choot dey unhon nay kaha kay tax kay paisey sey hi baray baray awanon kay kam chal rahay hain.
Unhon nay kaha hai kay hukumat ko chahaye kay Indian films kay hawalay sey wazah policy biyan karay unhon nay kaha ka iss waqt hukumat ko culyure policy bananay ki sakht zarurat hai. Hum Hindu Culture ka muqablah karna jantay hain aur iss silsilay moessar policy bananay ki ashad zarurat hai.
Seminar kay khatmay par hedaiat karah Sangeeta ka kehna tha keh hukumat ko ab ashen lena hoga agar humet nay humaray mutabat tasleem nah kiya to phir hum sarkon par niklay gay, bhook hertal karaingay aur parliament ki taraf march bhi karain gay.
Adakar Moamer Rana nay kaha hum Indian filmon sey darnay walay bilkul nahi. Eid par humari filmon nay Indian film kay moqablay mein zaberdast bussiness kia hai aur humaray log films banana chahtay hain lekin un ko hukumat ki taraf sey sahultain moiasser nahi hain.
Hukumat ko chahiay kay woh Pakistan film industry ko khatam honay sey bajaia apna kirdar ada karey. Moammer Rana nay kaha hum ek zindah qaom hain 65aur 75ki jangain hamain nahi bhulnai chaian .
Taqreeb kay agaz sey sey qabal senior producer Aslam Dar aur Khurram Bari nay ek dusray ko galay lagaia. Sangeeta nay Nisho Begam kay anay par unsey hath milaia sei tarah, Khurram Bari aur Gul Akbar Afridi bhi ghup chup mein masroof rahay.
Hall mein moujood har sakhsh iss seminar mein shirkat ker kay bahut josh okharosh mein nazar aia. Atiqa odoh jab hall mein aien to un kay sath TV kay maroof adakar naeem tahir aur hafiz mohiuddin bhi akahttay aiea adakarah mira golam mohiddin kay sath apnay nai anay wali daramah serial Aqra kay baray mein guftagu kerti rahin, iss kay elawah mira sangeeta aur mobasshir liqman kay sath bhi guftagu rahin madiha sah nay Atoqa odoh ko galay lagaia . iss seminar ko dekhnay aur wahan par logon ki guftagu sunnay kay bad yahi kaha jasakta hai kay film industry kay yeh kerta dahrta ab ek plaite farm jpjewr akhattay huia hain aura b apnay haq kay liyeh kuch bhi ker guzernay ko tiaiar hain lakin shochnay wali bat yeh haikay hukumat Pakistan kay kan par abhi tek joon tek nahi rengi.
Filmi panditon ka kehna hai kay agar hukumat nay Pakistan film industry ko sahara nah dia hota to pehr hosakta hai ek mertabah pehr film industry kay ek plate farm par akahtay honay walay yah lig mazi ki tarah honay wali “jal aeji tashon”ki shakal ikhtaiar ker saktay hain keonkay iss logon ka yeh bhi kahna hai kay unhon nay iss film industry ko apnay qeemti mahosal diay hain aur woh kabhi bhi , kisi bhi hal mein apnay ap ko aur Pakistan film industry ko khatam nahin honay daingain aur en shazishon ka dat ker moqablah karai gainjin kay ajent Pakistan mein maujood hain.
Reema khan taqreeb mein takheer sey tashref lain “akhbar jahan" sey guftagu kertay huiay adakarareema khan nay Pakistan mein Indian filmon ki numaish par pabandi kay mutalbay ki mukhalfat ker di hai aur kaha hai kay agar Indian filmon ko apakistan mainbain ker dia jata hia to iss kay bad hum Pakistani sanimaon mein ketni filmain dey sektay hain,jis sey sanimaon ka pate bhar sakay ga. Ham yeh keon bhool jatay hain kay Indian filmon ki wajah sey hi nai senima banay hain. Han mein iss haq mein bilkul nahi hoon kay Pakistani senimaon mein sirf Indian filmon ki numaesh ho aur Pakistani filmon kay sath sauteli man ka saluk kia jaiay.
|