Pakservice.com

 
       Home >> News>> Entertainment>> Others >> Pakistan Drama Festival

Pakistan Drama Festival

The twenty-day drama festival started at Al-Hamara Art Council. Drama festival was gone wonderful. All drama actors performed very well in drama festival. The Al-Hamar Art Council chairman is Ata Ul Haq Qasim. The drama festival based the traditional values. Here we established Drama festival news in roman Urdu and Hindi.

  Table of Content  
  .                                                                                                                      .
Drama Festival News In Urdu

Drama Festival News In Urdu  

.                                                                                                                      .
Pakistan Drama Festival

Payal Choudhary nay kaha mein samajhti hoon kay commercial theatre mein drama bilkul nahin ho raha kaha jata hai kay khud hi bat say bat banao script bilkul nahin  albatt aalhamra mein drama script kay mutabiq hota hai hakumat achay iqdamat kar rahi hai fahashi bilkul khatam honi chahiye aur achay dramay honey hahiye kiyunkay log sirf raqs hi daikhnay nahin aaatay adakari bhi daikhnay aatay hain maray dance mein angle ka kharab hona aur movement ka sahih na hona fahashi kay zamray mein ata h ai payal choudhary nay kaha kay larkay zo mani fiqray kiyun boltay hain larkon par bhi pabandi lagni chahiye.

Kiyunkay larkiyan bhi ab kam nahin hain woh bhi zo mani batain karsakti hain laikin aisa nahin hona chahiye stage par saf kam hona chahiye public saf kam pasand karti hai ajoka ka drama dara ali nadir ki wish foundation ka drama shanakht aur sufi tabassum academy ka drama aj akhan waris shah noon shamil hain  aisa kiyun hota hai? mein sas bahu kay jhagray ko mozuh banaya gaya tha.

Razia Malik is dramay ki director theen jo t.v aur theatre ki senior adakarah hain Razia malik akhir mein apni team ka taruf karwati hain dramay kay fankaron mein Ajmal, Deewan, Ali Haider, Ismail Khan, Aslam Raz, Akram Malik, Binish, Sana Sahar, Sadaf Bhati aur Fazilat Shamil thay doosra drama shanakht tha jis mein shanakht say mehroom tabqay yani khowaja saraon kay masael ko mozeuh banaya gaya tha.

Agha Shahid is kay director thay is mein khowaja saraon kay masael ujagar kiye gaey. kay kis terha inhain in kay ghar walay gharon say nikaldaitay hain aur moashra bhi inhain qabool nahin karta aur dhutkar daita hai. dramy mein Khawaja saraon kay moon say musanif nay bohot jandar jumlay nikawai thay ab high court ki taraf say nadra ko khowaja saraon ki registration ka jo hukam diya gaya hai is par khowaja sara khushi say phulay nahn sama rahay kay ab inhain bhi moashray mein shanakht mil jaigee.

Isi dramay mein ail pagal sheikhs bhi dikhaya gaya tha jo har waqt hathon mein degriyan liye phirta hai aur her kisi say poochta hai kiya huwa akhir mein woh bhi bohot jazbati taqrer karta hai kay mein degriyan lay kar jis daftar mein bhi nokri hasil karnay gaya sab nay yehi poocha kay rumhatay pas rishwat dainay kay liye paisay ya bhari sifarish hai?  jo maray pas nahin thi aisay mein insane pagal nahin hoga ti kiya hoga.

Akhir mein Irfan Ahsan Pasha nay fankaron ka taruf karwaya jin mein Suraya Malik, Fakhar Kamal, Ali Rizwan Pasha, Faisal Rehman, Asif Hasan, Mohd Aurangzeb, Zubair Bhatta Daniya Mughal aur Irfan Ahsan Pasha shamil thay aj akhan Waris Shah Noon kay musanif sufi tabassum kay sahabzaday sufi nisar aur director agha shahid thay.

 

.                                                                                                                      .
Drama Festival

Al-Hamra Art Council nay 10 roza drama festival ka ineqad Al-Hamrah mein kiya. Jis mein awam ko islahi drama daikhnay ko milay. Iss moqay par shaiqeen nay Al-Hamra ki kawish ko saraha  aur kaha kay is terha kay dramay najanay kahan chalay gaey hain. Kiyun kay pehlay jo dramay hotay thay in ko log daikh kar in say kuch na kuch sabaq laitay thay.

Ab aisa bilkul nahin hai aaj kay in dramon ko daikh kar bohot acha laga moashray mein jis terha kay halat ho chukay hain in say har aadmi paraishan aur chir chira ho chukka hai aur families mein bigar paida hogaya is terha drama festival kay honay say tension aur bigar khatam hosakta hai

Al-Hamra Art Council kay chairman Ata-ul-Haq Qasmi nay guftugu kartay huway kaha kay drama festival ka ineqad kanay ka maqsad awam ko islahi dramy dikhana hai. Iss dramay ko daikhnay kay liye koee ticket nahin isi liyeh 10 roza festival mein 20 dramon ko paish kiya gaya  jo kabhi hotay thay laikin in dramon ki aaj kay waqt bhi zaroorat hai.

Hamari koshish hamaisha rahi hai kay Al-Hamra Art Council awam ko tafreeh mohaya karti rahe. Dream production ka darama aisa kiyon hota ha paish kiya gaya is kay baray mein adakarah Kunwal nay bataya kay "Al-Hamra Art Council ki shukar guzar hoon kay unhon nay mujhay moqa diya yeh woh jagha hai jahan say mein nay apnay career ka aghaz kiya  aaj wahan say hi mein nay apna drama nahin kiya mein samajhti hoon kay Al-Hamra Art Council nay islahi dramon ka silsila shurooh karkay aik acha kam kiya hai kiyunkay is waqt mulk ko islahi dramon ki zaroorat hai aur hamaray log jis terha kay mahol  aur depression mein mubtala ho chukay hain in key liye is terha kay dramay honay chahiyan takay woh in dramon ko daikh kar kuch seekh sakain is festival ki wajah say families bhi aaee hain jo kabhi drama daikhnay nahin ateen theen. Aur jo dramay say door hogaeen then saf suthra drama paish karnay ka maqsad yehi hai kayy woh families drama daikhnay aain jo doosray commercial theatre mein drama daikhnay nahin jasakteen kiyunkay wahan par baz mukalmay aisay hotay hain jo families kay sath nahin sunay ja saktay mein Al-Hamra Art Council kay chairman Ataul Haq Qasmi deputy director Zulfiqar Zulfi aur in ki team ko is festival kay kamiyab ineqad par mubarakbad paish karti hoon aur umeed rakhti hoon kay mustaqbil mein bhi yeh silsila yunhi jari rahaiga."

Ata ul Haq Qasmi nay kaha kay drama festival mein commercial theatre mein honewalay dramay nahin hain. Jis mein raqs waghaira dikhai jatay hain aur jo families kay sath baith kar daikhay nahin ja saktay.Hamaray festival ka maqsad families ko lana hai aur in mein shaoor paida karna hai.Iin ka kehna tha kay mein nay drama "Aisa kiyun hota hai" daikha hai mujhe shayad drama pasand na ata laikin jo mozuh is dramay ka tha woh har ghar ki kahani hai kay sasn bahu ka bahmi taluq kiya hota hai.

Wirtier nay bari khoobsoorti say is ko tanzia andaz mein paish kiya hai jo mujhay acha laga jis say log bore bhi nahin huway. Asal mein dramay ka maqsad bhi yehi hota hai kay aap jin ko drama dikha rahe hain woh isay daikh kar kuch sabaq hasil karain na kay boriyat ka shikar honain. Drama mein sasn ka kirdar karnay wali khatoon ki performance zabardast thi. Amoomi tor par ham kisi bore dramay ko islahi drama kehtay hain laikin is dramay mein entertainment mukamal tor par thi. Woh mazah ki soorat mein thi jis ko pasand kiya gaya.

Al-Hamra Art Council isi mah aik musical festival karwa raha hai jis mein mulk kay namwar glokar har qisam kay ganay ghazal waghairah paish kar sakain gay.

Glokarah Saira Naseem nay bhi drama festival ko daikha aur is ki kamiyabi par chairman Al-Hamra Art Council Ataul haq Qasmi deputy diretor Zulfiqar Zulfi  ko mubarakbad di aur kaha kay drama festival say logon ko achay dramay daikhnay ko milay hain. Isi terha fan-o-latifa kay doosray shobon kay hawalay say bhi Al-Hamra Art Council nay hamaisha achi cheezain paish ki hain. Aaj ka drama mein nay bhi daikha ha agar is terha kay dramay commercial theatre mein honay lag jain to moashray say bohot si buraeeyan khatam hosakti hain Saira Naseem nay kaha ka commercial theatre zindagi mein sirf aik bar daikhnay gaee thi. Darmiyan mein drama adhura chor kar wapas agaee thi. Laikin Al-Hamra Art Council festival ka drama meyari tha is moqay par Ataul Qasim nay Saira Nasim ko ghazal ki adaigi mein kuch alfaz kay baray mein un ki taseeh ki aur kaha kay aap ki falan ghazal mein nay suni thi aap nay woh lafz sahih andaz mein ada nahin kiya jis par Saira Nasim nay mana kay jahan mujh say woh lafz sahih ada nahin ho saka tha.

Saira Nasim nay bataya kay Madam Noor Jehan nay mujhay zindagi mein aik cheez samjhaee thi ka beta talafuz ko sahih rakhna baqi gana tum galaiti ho mein in ki bat  par aaj tak amal kar rahi hoon.

Saira Nasim nay kaha kay mein nay Ahmed Faraz Sahib kay samnay bhi gaya hai kabhi mujhay kisi nay nahin kaha laikin Ataul Haq Qasmi sahib nay jo mujhay bataya mein is ka khayal rakhoon gi. Aap nay jo ghazal suni thi woh Khan Sahib Mehdi Hasan kit hi jo mein nay pehli bar farmaish par gaee thi. Mujhay acha laga kay aap nay meri taseeh ki hai.

Ata Ul Haq Qasmi nay kaha kay Al-Hamra Art Council nay awam ki tafreeh kay liye bohot say programme banai hain aur kiye hain life tim achievement award ka ijra kiya gaya  adakari mein Qavi Khan ko yeh award diya gaya. Musawari mein bhi award diya gaya yeh silsila jari rahaiga. Saira Nasim nay kaha kay bara wohee hai jo shakhs apni ghalati tasleem karli.

Drama daikhnay walon mein adakarah Payal Choudhary bhi shamil theen in ka kehna tha ka Al-Hamra Art Council drama festival daikh kar bohot acha laga festival mein jo dramay huway hain. Woh ham bhi kar saktay hain ham say bi is terha kay dramay karwai jain. Ham bhi logon ko message day saktay hain ham bhi islahi dramay karnay ki salahiyat rakhtay hain Payal Choudhary nay kaha kay jab raqs par pabandi lagi thi to mein us waqt bhi drama kar rahi thi. yeh nahin hai kay mein sirf raqs hi karsakti hoon mein baqaida tor par adakari bhi karti hoon tamaseel mein suhail ahmed kay sath beshukar dramay kiye hain.

Al-Hamra Art Council mein kam kar rahi hoon. Payal choudhary nay kaha kay agar dobarah raqs par pabandi aaed hoti hai to mein bhuki nahin mar sakti kiyunkay mein apni adakari say apnay ghar ka chulah jala sakti hoon. T v drama bhi kar rahi hoon

 

References

  
 

Related Articles:

Pakistan And Pakistani Entertainment News In Urdu And Hindi    Faakhir Mehmood | Pakistani Singer     Pakistan Film Industry News    Pakistani Actress Veena Malik    Cricket News In Urdu                       
Last Update: 21-Apr-12 04:47

pakseoguide.com |  noorclinic.com |  magurdu.com |  world313.com |  pakrishta.com  | 
© Copyright 2003-2018  www.pakservice.com , All Rights Reserved    Last updated: 9th Oct 2011