Pakservice.com

 
       Home >> Pakistan>> Latest News>> Others >> Political News Pakistan

Political News Pakistan

Pakistan is the biggest country. There is progress in the political market. As the weather being cold, politics is becoming hot. The political initiatives are on the rise nowadays. There are many politics parties. Here we discuses current news about Political News Pakistan in Roman Urdu.

  Table of Content  
  .                                                                                                                      .
Pakistan Politics News In Urdu


Pakistan Politics News In Urdu  


.                                                                                                                      .
Gailani Ke khilaf Tehrik Adam Aitamad

* Islamabad OnLine: Pakistan Muslim League (Noon) ne mulk me mehengai, rozgari, serkari idaron me arbon rupe ki barhti huwi corruption and ala adliya ke faislon ko tasleem na karne per hukumat ke khilaf Parliament me adam aitemad ki tehrik lane ka faisla kar liya hai.

Jis ke liay Muslim Leage (Noon) ke sadder Parliament me mujood opposition ki jamato aur parlimet se bahir siyasi jamato aur hukomati ittehadi jamaton se bhi rabta karenge jab ke Muslim Leage (Noon) ke markazi Additional Secretary General Ahsan Iqbal ka kehna tha ke hukomat ki tabdili na guzeer ho chuki hai.

Hum mulk me azadana munsifana intekhabat chahate hai. Siyasi jamaton se rabton ka ikhtiyar Nawaz Leage ki Central Working Committee aur markazi parlimani party ke sadar Mian Nawaz Sharif ko de diya heaur unhon ne guzashta raat se hi in rabton ka aghaz kar diya hai. In khiyalat ka izhar unhon ne party ki markazi majlis amla aur parlimani party ke ijlas ke bad media se guftago karte huwe kiya. Unhon ne mazeed kaha ke hukomat ko Oxygen sirf is ke ithadiyon se mil rahi hai. Agar aaj itehadi chor jai tu hukomat aik din bhi nahi chal sakti hum aaini aur jamhori tareqe se tabdili chahate hai kisi bhi ghair aani iqdam ko kabool nahi karenge. Inhon ne mazeed kaha ke Muslim Leage Nawaz ke pass 92 irkan hai hum tanha kuch nahi karsakte agar humare istefon se hukomat jati tu hum yeah iqdam bohat pehle kar chuke hote. Parti kea ham mushawarati ijlas me mumkena tehrik adam aitemad, long march awami ahtejaji tehrik aur istehfon per mubni options per marha war hukumat amali ki manzoori bhi di gai aur sadar Pakistan Muslim Leage (Noon) ko ikhtiyar diya gaya ke wo degar jamaton se mushawarat ke bad is per amal daramad ke liay iqdamat uthai aur hukomat ki ittehadi jamaton se rabton me tezi lane ka faisla kiya gaya, tabdili ke liay aaini wa qanoni rasta ikhtiyar kiya jai ga. Muslim Leage (Noon) ne hukomat ko election per majboor karne aur wase tar opposition itteha ki tashkel ke liay hikmat amli banali. Teen marhalon me mukhtalif siyasi jamaton se rabte ka faisala kiya gaya.

Pehle marhale me opposition jamaton se aur doosre marhale me parliament ke andir hukomat ki ittehadi jamaton se rabta kiaye jai ge. Teesre marhale me Muslim Leage (Noon) parliament se bahir siyasi jamaton se rabte karengi. Zarai ke mutabik Muslim League (Noon) kisi bhi waqat election ke liay tayyar hai.

Voter lists ki fori tayari, Azadana election aur ghair janibdar nigaran setup ka qayam bhi hikmat amli ka hissa hai. Muslim Leage (Noon) ke sadar Mian Nawaz Sharif ka kehna hai ke jamhoriyat pinapta huwa dekhna chahate hai. Ghair aini iqdamat aur muhim joi ki koi gunjaish nahi. Mushawarati ijlas se khitab karte huwae Mian Nawaz Sharif ne kaha ke hum mulk me qanoon ke baladasti chahate hai.

Nawaz Sharif ne kaha ke noon league aain, qanoon, adaliya aur jamhoriyat ka aehtram aur baladasti chahati hai. Nawaz Sharif ka kehna tha ke NRO per adliya ke faislaon ka ahteram na karne wali hukomat ke rehne ka koi jawaz nahi hai.

 


.                                                                                                                      .
Mansoor Ajaz News

Mansoor Aijaz
Jamiat Ulema-e-Islam kay sarbarah Moulana Fazal ur rehman nay kaha hai kay Mansoor Aijaz kay Pakistan aanay ya na aanay say koee farq nahin parta is liye isay itna barha charha kar paish nahin karna chahiye kay jaisay kisi bohot bari shaikhsiyat ki aamad horahe ho  woh aik aisay mamlay kay hawalay say baat karnay kay liye araha hain jis kay baray mein yeh tak pata nahin kay memon likha kis nay? Woh peer ko media say baat cheet kar rahe thay.

Molana Fazal ur rehman nay kaha kay aik mah say yeh issue Zaire bahas hai agar Mansoor Aijaz itnay mukhlis hain kay woh aik mamla saaf karna chahtay hain to woh aam logon ki tarha aaein apna bayan record karain aur wapas chalay jain unhon nay kaha kay election ham siyasatdanon nay larna hai judge sahiban nay nahin is liye intekhabi fehriston say hamara mutmaeen hona zaroori hai aur hamara moaqif yeh hai kay intekhabi fehriston ki tayari waqt kay mutabiq honi chahiye agar juldee ki gaee to un mein ghalatiyan bhi hongee aur voton kay indaraj mein bhi kaee log reh jain gay.

Molana Fazal ur Rehman nay kaha kay mein nay kabhi yeh nahin kaha kay election juld honay chahiyain taham qabal az waqt intekhabat ki baat zaroor ki hai kiyunkay yeh waqt ki awaz hai aur awam yehee chahtay hain.

Mansoor Aijaz Ka Nam ECL Mein Dalnay Ki Darkhowast Mustarad


Memo mamley ki tehqeeqat karnewali parliament ki qaumi salamati committee nay Punjab assembly mein opposition leader Raja Riyaz Ahmed ki Mansoor Aijaz ka nam ECL mein dalnay ki darkhowast mustarad kardee aur Mansoor Aijaz ki security kay hawalay say attoney general ko kal 26 january ko talab karliya security par briefing kay bad Mansoor Aijaz kay hawaley say aenda ka lahe amal mutarab kiya jaiga. Kiyunkay media ittelat kay mutabiq inhain security khadshat hain   parliament house mein salamati committee ka ijlas chairman sentor Mian Raza Rabbani ki Zaire sadarat munaqid huwa ijlas kay bad Raza Rabbani Nay media kobataya kay DG ISI aur Hussain Haqqani kay bayanat committee ko mosul hogaey hain  jabkay attoney general nay phone par yaqeen dilaya hai kay black berri company say khat o khitabat ka recordmuqarrarah waqt mein jama karadain gay  Raza Rabbani nay bataya Mansoor Aijaz ki taraf say committee kay sath rabta nahin kiya gaya.

Attorney general kal Mansoor Aijaz ki security say mutaliq soorate hal say agah karain gi is kay bad halat o waqiyat ka jaiza lay kar faisla kiya jaiga. Un ka kehna tha committee parliamani joditional foram kay tor par kam kar rahi hai aur woh Mansoor Aijaz ko bulanay ki majaz hai. Zarai kay mutabiq DG ISI aur Hussain Haqqani nay committee mein jama karai gaey bayan mein supreme court aur memo commission mein diye gaey moaqif ko dohraya hai.

Raza Rabbani nay kaha committee ko Mansoor Aijaz ka zabani ya tehreeri bayan mosul nahin huwa agar woh na aaey aur apna bayan jama na karaya to is kay bad committee mumkina iqadmat par ghour karay gee unhon nay kaha kay Sadar Asif Ali Zardari nay memo  ya Hussain Haqqani kay mutaliq mujh say koee baat nahin ki monitoring desk kay mutabiq committee nay Raja Riyaz Ahmed ki janib say Mansoor Aijaz ka nam ECL mein dalnay ki darkhowast mustarad kardee committee kay rukn Babar Awan nay Raja Riyaz kay khat par ghour karnay ki sifarish kit hi tahat committee kay arkan nay kaha kay committee kay waqar ko dao par nahin lagaen gay.

 


.                                                                                                                      .
Muttahida Qaumi Movement

MQM Says
*Muttahida Qaumi Movement nay mulk mein moujuda soorate haal kay peshay nazar 20 january ko sukkur kay jinnah municipal stadium mein honewala "khushhaal sindh, mazboot Pakistan" julsai aam multawi kardiya hai. Is baat ka faisla MQM ki rabeta committee kay mushtarka ijlaas mein kiya gaya. Ijlaas mein kaha gaya k sukkur ka julsai aam ki aaeenda tareekh ka ailaan baad mein kardiya jaiga.

Manzoor Wasan Says
Karachi Wazeer dhakla Sindh Mazoor Wasaan nay kaha hai keh Pervez Musharraf ko Karachi Airport par uthratay hii garagtaar kar kay innay in ki pasanda Landhi Jail bhej dia jaye jahan tamaam intezaamaat mukamal karliyeh gaye hai. Pervez Musharraf kay warrant garaftaari October 2011 mein jari huwaye aur mukhma dhakla Sindh kay pass inn ki garftaari kay warrant pouch chukay hain. Yeh baat unonay apni rahishga par munhqda aik press conference kay duran kahi. Unonay kaha keh 30 May 2011 ko ATC court esy bhi Pervaz Musharraf kay warrant garaftaari jari hochukay hain aur Dera Bugti thanay mein Pervez Musharraf kay khilaf muqadma bhi darj hai. Manzoor Wasan nay kaha keh 27 sey 30 January ka intezaar kijiye.

Pervez Musharraf ko jail mein saholiyaat faraham karnay kay hawalay sey kiye gaye sawalaat ka jawab detay huwayee wazeer dhakla nay kaha kej jail mein Pervez Musharraf ko AIP class dyna Adaalat ka kaam hai. Police ka kaam garftaar karna hai aur hum garftaar kar kay jail bhej dy gay. Mujay khushi hai keh pheli martaba kisi saabiq General ko garftaar kiya jaye ga. Wazeer dhakla Sindh nay aik Sawal kay jawab mein kaha keh Benazir qatil Case mein jo bhi molziman hain, innay garftaar kia jaye ga aur Qanoon kay mutabiq karwai ki jaye jaye gae aur batoor wazir yeh faisla hai keh Pervaz Musharraf ko jail bhejain gay.

October 2011 mein jari garaftaari kar warrant mukhma Sindh ko mil chukay hain. Press Conference

Karachi Wazeer dhakla Sindh Mazoor Wasaan nay kaha hai keh Pervez Musharraf ko Karachi Airport par uthratay hii garagtaar kar kay innay in ki pasanda Landhi Jail bhej dia jaye jahan tamaam intezaamaat mukamal karliyeh gaye hai. Pervez Musharraf kay warrant garaftaari October 2011 mein jari huwaye aur mukhma dhakla Sindh kay pass inn ki garftaari kay warrant pouch chukay hain. Yeh baat unonay apni rahishga par munhqda aik press conference kay duran kahi. Unonay kaha keh 30 May 2011 ko ATC court esy bhi Pervaz Musharraf kay warrant garaftaari jari hochukay hain aur Dera Bugti thanay mein Pervez Musharraf kay khilaf muqadma bhi darj hai.

Manzoor Wasan nay kaha keh 27 sey 30 January ka intezaar kijiye. Pervez Musharraf ko jail mein saholiyaat faraham karnay kay hawalay sey kiye gaye sawalaat ka jawab detay huwayee wazeer dhakla nay kaha kej jail mein Pervez Musharraf ko AIP class dyna Adaalat ka kaam hai. Police ka kaam garftaar karna hai aur hum garftaar kar kay jail bhej dy gay. Mujay khushi hai keh pheli martaba kisi saabiq General ko garftaar kiya jaye ga. Wazeer dhakla Sindh nay aik Sawal kay jawab mein kaha keh Benazir qatil Case mein jo bhi molziman hain, innay garftaar kia jaye ga aur Qanoon kay mutabiq karwai ki jaye jaye gae aur batoor wazir yeh faisla hai keh Pervaz Musharraf ko jail bhejain gay.
(J-N 10-01-2012, Tuesday)

 


.                                                                                                                      .
On October

October mein siyasi sargarmiyan arooj par raheen aur akhir mein Lahore mein aik bara siyasi sangal muslim league N aur tehrike insaf kay darmiyan huwa jo imran khan nay achay farq kay sath jit liya is kay gehray asarat siyasat par bhi sabat huway hain is ko mulki siyasat mein aik aham naya mor bhi qarar diya jaraha hai is kay bad muslim league N nay apni siyasi taqat ka muzahira karnay kay liye siyasi mohim ka doosra marhala shurooh kardiya hai peoples parti ki qaydat nay panjab mein jawabi jalson kay aneqad ka programme banaya tha laikin is ko rok diya hai is siyasi pas manzar mein ghair jamhuri quwaton ki taraf say siyasi aur jamhuri nizam ko darham barham karnay mein khadshat mehsoos kiye jarahai hain jis ka tazkirah wazire azam nay pehli martaba sakht alfaz mein kiya kamulk mein kisi ghair aaeni iqdam ko hargiz bardasht nahin kia jaiga.

Unhon nay sadar kay khilaf mohim kay hawalay say oppotion ko challage diya  kay agar kisi ko sadar pasand nahin to woh aaeen kay mutabiq moakhzay ka shoq pura karlay ya meray khilaf adam aitemad ki tehrik lay aaey bazahir wazire azam ka isharah muslim league n kay jarehana aur march say pehlay hakumat kay khatmay kay hawala say tha isi bat ko pakistan muslim league n kay sadar nawazsharif nay apni party kay raiwind mein honewalay mushawarti ijlas kay bad aik bayan kay zariye aik aur rang mein paish kiya kay agar mulk mein marshal law laganay ki koshish ki gaee to atharah karor awam is ka rasta rokain gay  aur koee cha lab Pakistani awam ki manzil khoti nahin kar sakti aur na koe corrupt  aur bad unwan mafia ko phir say pakistan par musalat honay ka moqa daiga.

Khufia khail khailnay walon koshikast daina hamari qomi zimmedari hai mazi mein inhi khail tamashon ki waha say mulk do tukray hogaya sabiq wazire azam ka ishara bazahir tehrika insaf ki uthan ki taraf hai jis kay baray mein choudhary nisar nay dawa bhi kiya hai ka imran khan ka jalsa agenciyon ki wajah say kamiyab huwa hai Punjab mein Muslim League N ki jarehana siyasat jari hai is kay natijay mein siyasat mein aik nae saf badi ki ibteda huee hai tehrike insaf itni aham ban gae hai kay is ko siyasat mein nazar andaz nahin kiya ja sakta mulk bhar say aham shakhsiyat is mein shamil honey kay liye koshan hain pehlay inka rujhan muslim league n ki taraf tha lakin ab in ki pehli tarjeh imran khan ban gaey hain muslim league N to guzishta sarahy tin sal say panjab mein hakumat aur siyasat kar rahi hai

Laikin ab is ka hadaf mulki satah par hasoole iqtedar ban gaya hai is ki khowahish aur koshish yeh bhi hai kay peoples party ki hakumat ko jala z jal hatadiya jai jis kay liye go zardari go  ka nara Punjab kay wazire ala nay khud lagwaya  mojuda assembliyon say senate kay intekhabat rukwana bhi in ki siyasat ka aik aham agenda ban gaya hai  taka senate mein peoples party aksariyat hasil na karsakay jis kay liye woh kisi had tak janay kay liye tayar hain.

Siyasi mubasarin kay mutabiq Shahbaz Sharif ka party kay aik baray ijtamah mein asif zardari ko ulta latkanay kay ailan ka matlab yeh bhi tha  kay muslim league n mulk ki taqarwar siyasi quwat hai aur woh wahid iqtedar ki haq dar hai.in kay is daway ko peoples party nay to challenge nahin kiya albatta imran khan nay challenge kardiya hai jis say muslim league n ki siyasi mushkilat mein izafa hogaya kiyunkay ab siyasi maidan mein isay do mahazon par bayat waqt larna paray ga yani peoples party aur tehrike insaf kay khilaf muslim league n kay nazdik  peoples party apni maqbuliyat to kho chuki hai laikin tehrike insaf ki barhti huee maqbuliyat aur awami pazirae is kay iqtedar kay liye zaroor khatrah ban gaee hai is bat ka andazah yun lagaya ja sakta hai kay Muslim League n na imran khan kay jalsay ki bemisal kamiyani kay baray mein kee studies karaee hain  in mein say aik ka mozuh yah bhi tha kay tehrike insaf kay jalsay say muslim league N ka vote bank kis had tak mutasir hwa hai sarway report mein kaha gaya hai kay imran khan kay jalsay kay natijaymein muslim league n ka vote bank kam nahin huwa  aur muslim league n kay sath taluqat rakhnay walay nojawan is ki policiyon ki ifadiyat ki buniyad par is say achay mustaqbil ki umid rakhtay hain laikin aik baray mukhalif siyasi jalsay nay parti qayadat ko aik bar phir apni karkardati ka tanqidi jaiza lainay par majboor kiya

N league kay mashawarati ijlas mein tamam Zilae sadoor ki karkardagi ko in kay ilaqaymein honewaly jalson mein awam ki hazri say munsalik kardiya gaya hai jis ka test case Faisalabad aur gujranwalla mein honey walay jalsay qarar paey hain aur jahan hazri kam hogi wahan zilaee sadar ko tabdeel kardiya jaiga isi buniyad par kaha gaya hai kay tehrike insaf kay Lahore kay jalsay ka jawab faisal abad kay jalsay say diya jaiga.

Jahan tak imran khan ka taluq hai is baray mein kaha to yeh gaya hai kay woh itna aham nahin  ka in ko party meeting mein Zaire behas laya jai laikin woh Zaire behas aey  aur yeh policy bani ka party ki taraf say sharif bradaran khud is kay baray mein mukamal khamosh rahain takay in ko ahmiyat hasil na ho aur in ki jagha doosray darjay ki qayadat is hawalay say rozana koee na koee bayan jari karay gi aur imran khan ko stablishment ka mohra qarar diya jaiga.

Chunanchay Lahore mein mashawrti ijlas kay bad nisar ali khan kay sath puri party nay aik sath press conference ki jis mein imran par kari tanqid ki gae nisar ali nay kaha ji s jalsay ka mulk mein charcha horaha hai is kay pichay stablishment kf hath tha beshak log apni marzi kay sath jalsay mein aaey laikin hamaray pas sabot hain kay funds agenciyon nay faraham kiye hain choudhary nisar kay biyan par tehrike insaf kay markazi secretary ittelat umar cheema ki taraf say sakht radde amal aya ha jismein unhon nay nawaz sharif kay sahabzaday  husain nawaz kay aik bayan ka hawala diya jis mein unhon nay kaha tha ka choudhary nisar agenciyon kay agent hainaur in kay bayan ki koee ahmiyat nahin.

 


References

  
 

Related Articles:

National Reconciliation Ordinance | NRO    MQM News    Karachi Stock Exchange News | Stock Market    Hyedarabad|Hyderabad News    Supreme Court | Suprim Court of Pakistan                       
Last Update: 14-Apr-12 01:50

pakseoguide.com |  noorclinic.com |  magurdu.com |  world313.com |  pakrishta.com  | 
© Copyright 2003-2018  www.pakservice.com , All Rights Reserved    Last updated: 9th Oct 2011