Question: Islam kay mani kiya hain?
Answer: Islam kay kani hain itat karna farman bardari karna aur musalman kay mani hain muteih farman bardar yani musalman woh hai jo allah aur us kay rasool mohd mutstafa ka farman bardar aur iat guzar ho aur agar koee shakhs allah aur us kay rasool mohd mutafa kay ahkam ki khilaf wazi karta hai to isay khud soch laina chahiye kay woh kis had tak musalman hai
Question: Allah tala nay qurane hakeem mein musalmanon ki kiya hukam diya ha?
Answer: Allah tala nay qurane hakeem ki surah baqrah mein hukam diya hai kay “woh islam mein mukamal tor par dakhil hojain “yani in ka hark am islami talimat kay mutabiq hona chahiye in ka nizame talim in ka iqtesadi aur moashi nizam aur in ka siyasi aur hakumati nizam in ka tehzib o saqafat ka nizam in ka adab aur shair o shairi ka zakhira gharz har cheez say yeh maloom hona chahiye kay is ka taluq musalmanon say hai in ka bachpan in ki jawani in ka burhapa in ki mulazimat aur karobar in ka khana pina in ka rehan sehan in ka sona jagna ,in ki shadi biyah gharz in ka hark am allah aur allah kay rasool mohd musafa kay ahkam kay mutabiq hona chahiye tab woh a pnay aap ko musalman kehla saktay hain. Islam khanon mein taqseem nahin hai kay Masjid kay ander tak islam ho aur Masjid say bahar nikal kar aik musalman apni marzi say jo chahay karay bulkay aik musalman par lazim hai kay woh apna hark am allah aur us kay rasool mohd Mustafa kay ahkam ki roshni mein karay isay kisi bhi mamlay mein apni marzi chalany ki ijazat nahin hai.
Reciting Of Quran
Question: Quran-e-majeed parhtay huway sanjae tilawat ajai aur is waqt sajda na kiya jai aur bad mein yeh sajda karliya jai to kiya yeh theek hai?
Answer: Sajdae tilawat ki ayat jab parhi jai us waqt bhi sajda kiya jasakta hai aur agar is waqt na kiya to bad mein bhi yeh sajda kiya jasakta hai laikin karna bahar hal zaroori hai.
Question: Kiya sajdae tilawt baghair wazu kiya jasakta hai?
Answer: Ji han sunnay walay shakhs par bhi sajda tilawat lazim hai
Question: Alhamdolillah quran sharif hifz kiya huwa hai namaz ki bhi paband hoon mahana khususi ayam mein ibadat na karnay kay sabab depression ka shikar hojatihoonindinon mein quran sharif parha jasakta hai? tasbeeh lay kar kalma sharif ya darudo sharif parha ja sakta hai?
Answer: Aurtain apnay makhsoos ayam mein quran sharif to nahin parh sakteen albatta tasbeeh par karma sharif parh sakti hain aur darud sharif bhi parh sakti hain.
Incident
Question: kehtay hain kay aik sahabi nay yahudi kay thapar mardiya to us nay hazoor mohammad Mustafa say shikayat ki kiya is terha ka koee waqia ahadise Mubarak mein aya hai?
Answer: Hazrat Abu Saeed Khadri Razi Allah Unho bayan kartay hain kay janabe rasool mohammad Mustafa tashrif farma thay kay aik yahudi aap mohammad Mustafa ki khidmat aqdas mein hazir huwa aur shikayat ki kay aiy abu alqasim mohammad Mustafa aap kay ashab mein say aik ansari nay meray mun par thapar mara hai aap mohammad Mustafa nay farmaya usay bulao jab woh ansari agaey aap Mohammad Mustafa nay is say poocha tum nay is kay mun par thapar kiyun mara hai? woh ansari kaynay lagay mein yahudiyon kay pas say guzar raha tha to is yahudi ko mein nay yeh kaytay suna is zat ki qasam jis nay moosa alaisalam ko tamam insanon par fazilat bakhshi mein nay kaha kiya Mohammad Mustafa par bhi? Aur mein nay ghussay say maghlun hokar is kay mun par thapar rasid kardiya is par janabe nabie karim Mohammad Mustafa nay irshad farmaya mujhay doosray nabiyon par fazilat mat do qayamat kay din sab behosh hongay sab say pehlay mein hosh mein aaoon ga to mein daikhoon ga kay Hazrat Moosa arsh ka paya thamay huway hongay mujhay nahin maloom kay woh mujh say pehlay hosh mein agaey ya siray say behosh hi nahin huway tor ki behoshi kay badlay mein is waqt behoshi say bachaliye gaey. Chand doosri ahadis bhi is silsilay mein ghoure talab hain
1. Kisi bhi banday key liye yeh munasib nahin hai kay woh kahay kay mein yani Hazoor-e-Akram mohammad Mustafa Yunus bin mati say behter hoon.
2. Tum nabiyon ko aik doosray par tarjeh na do
3. Tum Allah kay baz nabiyon ko doosray nabiyon say afzal na kaho
4. Tum mujhay Moosa par fazilat na do.
In Ahadise Mubarka ki roshni mein is terha kay ashar parhna “Saray nabi taray dar ka sawali” kisi terha bhi jaiz nahin is mamlay mein nabohot ziyadah ahtiyaz ki zaroorat hai.
Divorced
Question: Adalat kay zariye larki jo khulah hasil kiya ho kiya woh moasar hoga is khulah kay bad larki doosri shadi karsakti hai?
Answer: Adalat kay zariye larki jo khulah hasil karti hai is mein ail soorat to yeh hai kay adalat nay larkay ko talab kiya larka adalat mein hazir huwa aur us nay apna mamla adalat kay rubaru rakha aur doosri soorat yeh hai kay adalat nay larkay ko talab kiya aur larka adalat mein hazir hi nahin huwa pehli soorat mein zaroori hai kay larka Divorced day day tab woh adalati khulah moasar hoga aur agar woh talaq nahin daita to adalati khulah moasar nahin hoga aur doosri soorat mein jab larka adalat mein hazir hi nahin huwa aur adalat nay larki kay haq mein faisla kardiya to khulah mutasir hoga aur iddat guzarnay kay bad larki kisi bhi doosri jagha shadi karsakti hai larki khulah tab hi hasil karti hai jab isay shohar say shikayat ho aur woh isay achi terha na rakhta ho agar shohar achi terha rakhta ho to koee larki bhi bilawajah talaq ya khulah nahin laina chahti is liye shohar ko chahiye kay woh apni biwi kay sath achay tariqay say rahay aur is kay sath husne saluki say paish aaey aur piyar mohabbat say usay rakhay is kay sath sakht rawaya na rakhay warna yeh soch lay kay qayamat kay roz is ki bari pakar hogi.
MarriageQuestion: Aik musalman kisi eesaee larki ya kisi aisi larki say jo khuda par yaqeen na rakhti ho is kay mazhab aur culture kay mutabiq church mein jakar shadi karsakta hai?
Answer: Musalman mard ahle kitab yani eesaee ya yahudi larki say to islami tariqay say shadi karsakta hai laikin kisi aisi larki say shadi nahin karsakta jo khuda par yaqeen na rakhti ho church jakar is larki say un kay culture kay mutabiq shadi nahin ki jasakti
Question: Isterha ki shadi say hone wali aulad ki kiya haisiyat hogi?
Answer: Ahle kitab larki say shadi ki soorat mein woh aulad sahehul nasb hogi aur musalman hogi.
Question: Mukhtalif masalik kay afrad key mabain shadi hojati hai ya nahin?
Answer: Mukhtalif maslakon say taluq rakhnay walay afrad apas mein shadi biyah kar saktay hain.
Ramadan
Question: Koee shakhs ramzanul Mubarak mein namaz-eisha ba jamat ada nahin karsaka tarawih bajamat ada ki to woh shakhs namaz witar bajamat ada karsakta hay ya nahin ya woh jamat say alag namaz witar ada karay?
Answer: Mazkurah soorat mein namaz witar bajamat ada ki jasakti hai .
Question: Rozay ki halat mein wazuh kartay huway kulli kartay waqt pani ka qatrah halaq key ander chalajai to kiya rozah toot jaigah?
Answer: Ji han mazkurah soorat mein rozah toot jaiga.
Question: Wazuh kartay huway waham ho kay kahin pani halaf kay ander na chala jai to is kay liye kiya kiya jai?
Answer: Ghar gharah na kiya jai mamooli darjay ki kulli karli jai.