Pakservice.com

 
       Home >> News>> Entertainment>> Showbiz >> Saba Hameed

Saba Hameed

Saba Hameed is the Pakistani Famous T.V drama actress. She was born in Lahore. Saba had done her graduation by Lahore College for women. Saba Hameed is the popular and talented artist in drama industry. She plays many roles as well as comedy role and talk show. Saba Hameed daughter Misha Shafeeq is a Pakistani singer. Here we established Saba Hameed Interview for our viewers in Roman Urdu and Hindi for entertaimnet

  Table of Content  
  .                                                                                                                      .
Saba Interview In Urdu

Saba Interview In Urdu  

.                                                                                                                      .
Saba Hameed Interview

Sawal: Kis baat oar gussa ata hai? Aur qabu kaisay pati hai?
Saba Hameed: Logun ki bewakoofi par gussa ata hai. Duniya mein bewakoofoon ki tehdad bohat zaidah hain. Phelay gussay ka barmila izhar kardaiti thi. Aik bar meray walid nay kaha “Jahiloon sey bahis nahi karnai chahaye.” Iss kay baad meinay gussay ka izhar karna chor dia. Ab gussa aye to khamosh hojati hun aur sard mehri zahir karti hun.

Sawal: Zindagae mein entertainment ki kiyni haimiat hai?
Saba Hameed: Zindagae mein kisi bhi cheez ki jitni haimait hai, iss sey bhi zaidah entertainment ki zarorat hai. Zain ki aasudgae kay liyeh entertainment aik aam kardar ada karsakti hai.

Sawal: Humaray mulk ko funon latifa ko hamiat kiun nahi di jati?
Saba Hameed: Funon latifa kay baray mein hamraye haan nazriaayat ko mix kardia hai. Funon latifa sey insaan ka rishta saadiyoon purana hai. Aap hazaaron saal purani tehzeeboon ko dekh lain, iss dur mein bhi insaan Ghaa’roon kay andar bhi painting kartay hai. Humaray haan 80 ki daahahi meinn logun ko bataya gaya kay funon latifa humaray muzaab  sey mail nahi khahatay. Lekhin haqeeqat iss kay bar aqas nazar ati hai. Humaray 18 corer awam mein sey aksariat apnay farigh okaat mein T.V aur radio sey dil bhelati hai. Dosri aam baat yeh hai keh itna munfi propaganda honay kay bawajood humaray golokar, arts, aur funon latifa sey mutaliq afraad duniya bhar apna alag muqaam rakhaty hain. Jitna kisi cheez ko daba diya jata hai.  Itna hi iss ka raday amal bhi hota hai.

Sawal: Aap ko apna quomi tarana yaad hai?
Saba Hameed: School aur college kay zamanay mein tuo pura yaad tha. Aur parti bhi rehti thi. Lekhin in dinu practice nahi hai, iss liyeh hosakta hai keh aik adah misrah yaad na ho.

Sawal: Zindagae mein sab sey achi cheez kiya hai.
Saba Hameed: Allah Tala nay zindagae ki sab sey achi cheez “Rishtay” banaye hai. Maa baap, bhan bahi, olaad, nawasa nawasiya…. Yeh sab zindagae kay khubsurat rishtay hain.

Sawal: Shoorat nay apki nafsiyaat par kiya asraat martab kiye?
Saba Hameed: Bulkul waisay hi hun. Jaisi phelay thi. Log jab pechaan kar aik dam baat katay hain aur khushi ka izhar kartay hain to isaas hota hai keh unonay mujhe aik adakara ki haisiaayat sey peechana hai.

Sawal: Humaray haan khwateen ki sulhaitoon ko tasleem kiun nahi kiya jata?
Saba Hameed: waqt lagay ga, lekhin logu ko khwateen ki sulhaitoon ko tasleem karna parady ga.

Sawal: Apki pasanda dish konsi hai?
Saba Hameed: Daal chawal bohat pasand hai. Phelay nahari bhi bohat achi lagti thi.

Sawal: Konsi dish aap khud banalaiti hain?
Saba Hameed: Tamam desi kahanay khud banati hun.

 

.                                                                                                                      .
Saba Hameed Talk

Saba Hameed aik Pakistani TV actress hain. Yahan hum in ka interview aur un ki zindagae kay hawalay sey kuch sawalat mila khata kara rahay hai.  

Sawal: Apnay taleemi aur khandani pus manzarkay baray mein bataye?
Saba Hameed: Lahore College for women sey graduation ki. iss kay baad university mein dhakila liya lekhin masrofiat ki wajah sey unversity choni pardi. hum char bhanain aur aik bhai hai. meri bhan Huma nay bhi showbiz mein bara arsa kiya hai. lekhin shurat zaidaha samiti thi. sabse sey choti nhan lala rukh nay bhi showbiz mein kaam kia. teesri bhan Bushra Amir National College of Arts ki pardi hui hai. yeh teeno aaj kal house wife ki hasiyat sey zindagi guzar rahi hain. bhai Umair iss waqt America ki aik computer form mein kaam karta hai aur apnay biwi bachon kay sath wahai muqeem hai.

Sawal: Apkay walid hamid akhter namoor adeeb hain, unonay jail bhi kaati aur saad kitabian tehreer ki, in ki shasiyat kay baray mein bataye?
Saba Hameed: Walid sahab nay 1951 mein 27 saal ki umer mein jail kati. Baad mein in ki yaadoon par kitab “Kaal Kotri” likhi. In ki dosri kitaboon mein la-maka’n,aashiyaanyin kia kia,hawalay waqi aurr bhi shamil hai. Aik waqt who bhi aya jab unonay nay gar ka kharcha chalanay kay liyeh jail kay waqyat newspaper mein likhnay ka agaz kia. In ka kehna tha keh muqbool itni pardi jaye gae. Yeh baatein who inkisari mein nahi kehtay thay, balkay mujah achi trah yaad haikeh who waqi hairan hotay thay. Unonay nay do kitaoon “ aga Khan aur Barg-e-aabadeeda” kay tarajum bhi kiye thay.

Sawal: Aap showbiz mein kaise ai?
Saba Hameed: 1980 mein shazada Khaleel nay Lahore center kay dramay “Band Darwaza” mein mujay caste karkay mutarif karwaya.

Sawal: Ab tak kitnay dramas mein kam kar chuki hain?
Saba Hameed: Bay shumar dramoon mein kaamkarchuki hun, mujay tu ab in ki tahdad yaad bhi nahi.

Sawal: Apnay kon sey dramay zaidah pasand hain?
Saba Hameed: Apnay drmoon mein Nisheeb, Mama seemi, Sanata, koka jhili aur mjay comedy role karkay maza ata hai. Geo channel par Dolly ki aye gae barat aur Azar ki barat serial lay baa dab hum aik naii barat ki tayaari kar rahay hain.

Sawal: Suna hai keh iss saal aapko zadarti award baraye husan kar kardgae mil raha hai?
Saba Hameed: Hukumat nay mujhay zadarti award baraye husun kardagae dainay ka ilaan kardia hai. 23 march 2012 ko yeh award diya jaye ga.

Sawal: Aap kay walid aur walida donu kis naam sey pukartay hai?
Saba Hameed: Ji han, bachpan mein walid aur walida donu hi mujhay “guday” kay nick name sey bulatay thay.

Sawal: Aap ka star kon sa hai?
Saba Hameed: Meri 21 june ki paidaish hai. Mutrama benaizair Bhutto aurr meri saalgra aik hi roz hoti hai aur humari paidaish mein bhi srif aik saal ka farigh hai. Mera star Cancer hai. Mein bohat hisaas hun, aur jald ru jati hun. Jo kaam karti hun, issay Perfection ki had tak ja kar karti hun.

Swal: Aap ki beti bhi singing mein apna naam bana rahi hai?
Saba Hameed: Meri beti Misha Shafiq nay NCA se graduation ki hai. Iss ka jagni wala gana bohat hath hua hai. Meray batay faras shafeeq nay Saepers sey graduation kiya hai. Who adakarikay showbay mein masters deger lainay ka irada rakhta hai. Donu bachay meri jaan hain aura b nani ban kar bohat khush hun.

Sawal: Khabi zaheen shaks ki rafaqat sey lutuf uthati hain ya pur muzah shaksiyat?
Saba Hameed: Agar koi zaheen shaksiyat pur mazah bhi ho to kia baat hai. Waisay mujhay zaheen aur pur mazah onu qism kay log achay lagtay hain.

Sawal: Woh konsi cheez hai jo duniya mein badaldainay ki khwish hain?
Saba Hameed: Duniya sey badabai, jang aur issla khutum kardaina chahati hun. Duniya har taraf aaman dekhna chahati hun.

Sawal: Aap, aap kiun hain? Dosron sey kia muqtilif hai aap mein?
Saba Hameed: Mein khabi khud komunfrid ya dosron sey hath kar bahi samjti balkay mein khud apnay aap par bhi tanqeed karti hun. Har shaks mein kuch khoobiyan bhi hoti hain aur kuch khaamiyan bhi. Apnay aap ko aikaaminsaan samjhti hun.

Sawal: Khabi kisi khwab nay haqeeqat ka roop dhara?
Saba Hameed: Jab apki zindagae ya aapkay pyaray ki zindage khatray mein ho to phir khuf paida hona haqeeqi amar hai. Walid sahib ki bemari kay duraan in ki zindagae kay baray mein kouf rehta tha, lekhin mout barhaq hai aur insaan ko khouf ka mujbooran samna karma parta hai, mein nay bhi kiya.

Sawal: Agar apko aik nisiyat karnay kokaha jaye to….?
Saba Hameed: Nisiyat karnay par yaqeen nahi karti. Naye log ko apnay tujurabay sey seekna chahaye. Wasiay har shaks ko zindagae mein muqtilif tujrubaat sey guzarna parta hai.

Sawal: Kis kaamko bohat dil chahta hai aur kis kaamkonahi?
Saba Hameed: Mujay drawing karma bohat acha lagta hai. Aur bartan dhoonay aur kapray istari karnay se hamaisha bachnay ki koishish karti hun.

Sawal: Humisha drust faisla karti hai ya faisla karnay kay baad issay drust karnay ki koishish karti hai?
Saba Hameed: Mein insaan hun, insaano sey ghaltitan bhi hoti hai. Koi bhi insaan yeh dawa nahi karsakta keh woh hamisha drust faisla karta hai.meinay bhi jo faislay kiye, in mein kuch drust thay kuch ghalt sabit huwaye. Ta’hum ghaltiyon sey seeknay kay yaqeen karti hun.

Sawal: Konsa sa shahks aisa hai, jis par aap shak karnay ka tsawar bhi nahi karsakti?
Saba Hameed: Meray walid aisay shaksiyaat thay jin par shak ka mein soch bhi nahi sakti.

Sawal: Mohabbat kia hai, khul kay izhar ka moqa milay, to kaisay karain gae?
Saba Hameed: Mohabbat kia hai, yeh kisi ko bhi maloom nahi. Mohabbat ki jitni bhi tareef bhayan ki gae hai. Woh kitabi aur afsaanwi hain. Zindagae mnein har insaan ka mohabbat kay baray mein tujraba muqtilif hota hai. Jis sey bhi mohabbat karti hun, iss ka izhar iss ki izat kar kay karti hun.

Sawal: Jab shidat sey ronay ko Ji chahaye, to kis kay sath ki khwaish hoti hai?
Saba Hameed: Aksar aisa hota hai keh tahna bhet kar roti hun aur dil halka karlaiti hun, kisi kay kandhay ki zarorat nahi hoti.

Sawal: Zindagae ka hasil kiya hai?
Saba Hameed: Zindagae mein mustqil itimainaan aur sukoon ko iss ka hasil samjhti hun. Aisa itimainaan jis mein zameer bhi mutmian ho.

 

References

  
 

Related Articles:

Pakistan And Pakistani Entertainment News In Urdu And Hindi    Faakhir Mehmood | Pakistani Singer     Pakistani Actress Veena Malik    Cricket News In Urdu    Shatrughan Sinha Latest Interview in Roman Urdu               
Last Update: 22-Apr-12 11:56

pakseoguide.com |  noorclinic.com |  magurdu.com |  world313.com |  pakrishta.com  | 
© Copyright 2003-2018  www.pakservice.com , All Rights Reserved    Last updated: 9th Oct 2011