Shaarakt daari ya sharing aik mushrati mumool hai. Aur hum apni bohat si cheezoon mein dosroon ko shareek kartay ya hissa daar banatay hain. Iss sey samajhi zindagae bhetar hoti hai. Lekhin sehat kay hawalay sey kuch cheezain aisi hain, jin mein agar aap dosroon ko shaareek karain gay ya aap khud dosroon kay istemaal mein anay wali cheezain istemaal karain gay tuo yeh naqsaan da hoga. Zahil mein aisi chand cheezoon kay baray mein bataya jara hai.
Shopping Trolley
Zara tasawar karain keh aap nay shopping trolley mein jahan sabziyan rakhi hain. Kuch dair phelay iss jaga aik chota bacha bheta tha, jis ka potrara alloda hochuka tha, tuo yeh janay kay baad aap ka raday amal kiya hoga?
Aur yeh bhi tuo hoskta hai keh shopping kay liyeh ai hui khatoon trolley par iss jaga apnay munay ko bhethnay kay liyeh keh gae hun jahan thori dair phelay kichi chicken ya mutton kay ghair mehfooz packet dharay hun. America groceries store mein rakhi trolleys kay mohiynay mein dekha ja chukka hai keh yeh germs ki aam jaga hoti hain. 80 fesad trolleys mein germs mohjood thay. Jo insaani faslay mein hotay hain.
Trolleys par aisay germs aur virus bhi dekhaye gaye jo nazla, zakhum aur dust ka sabaab bantay hain. In sey bachnay kay liyeh bheter hoga keh shopping trolley istemaal sey phelay iss ka handle aur bachay ki seat ko Disinfectant Wipe sey saaf kar lain aur shopping sey phelay aur baad mein apnay hathon ko bhi germs kush mahlol sey saaf karian.
ATM And Touch Screen
Aap ko bank sey money nikalni ho ya kitchen ki cheezain kareednay kisi store mein jayianya kahin aur raqam ki adaigae karna chahain, ATM ki sulaat har jaga mohjood hai. Lekin khabar dar rahain keh ATM ki touch screen aur keypads germs sey iynay aalod hotay hain keh aap in ka tasawar bhi nahi karsakaty. MRSA germs ki bhi bhatab dekhai gae hai. MRSA germs who germs hai jin par aam anti biotic medicine asar nahi kartain. Bhetar hoga keh in ko istemaal sey phelay germs kush pochay sey saaf karlia jaye aur baad mein apnay hath saafai bhi ki jaye.
Tooth Brush
Fraz kijiye aap apnay kisi dost kay ghar raat guzar rahay hain aur whan apna tooth brush lay jana bhool gaye hain. Bath room mein aap kay dost ka tooth brush mohjood hai aur aap ka ji chahata hai keh waqti toor par iss ko istemaal karliya jaye lekhin aap ka yeh aamal bohat khatar naak hosakta hai. Yaad rahay keh jab aap brush kartay hain tuo iss kay rayshay masoorhoon sey ragar kahatay hain aur iss baat ka imkaan hota hai keh khoon mein pulnay walay muhlk germs aur viruses’ maslan Hepatitis C and B aur Aids ka mukhsoos virus HIV bhi tooth brush kay rastay aik sey dosray mein muntikil hojaye. Tooth brush ki sharing sey saasn ki bemariyan aur nazla zukham bhi dosroon ko lag sakta hai.
Comb and Hair Brush
Dosroon ka comb ya hair brush istemaal karna bhi khatray sey khali nahi hai. Yaad rkhain keh germs aapki khaahal kay har hissay par hotay hain. Khwa woh sar ki khaahal kuin na ho. Jab hum baaloon mein comb ya brush kartay hain tuo is kay sath germs bhi chupik jatay hain aur yeh bhi aap ko maloom hona chahaye keh brush ya comb kay dandaanay khahal se ragar khahatay hain. Agar aap dosroon kay zair istemaal surat mein germs aap tak muntiqil hosaktay hain. Research mein comb aur hairbrush par bhi MRSA aur deegar germs dekhayain gaye. Hair dresser salon mein jo comb aur brush istemaal hotay hain. In kay baray mein yeh yaqeenhasil karna zarori hi keh innay rozana Disinfect kia jata hai. Takay germs ki muntqli ka imkaan kam sey kam ho.
Pen | Writing Pen| Pencil
Akasar yeh surat haal aap ko bhi paish ati hogae keh daftar mein kaam kartay huwaye aap apnay kisi sathi kay pass gaye aur wahan aap ko kuch lekhnay ki zarorat paish ai. Agar aap apna pen apni maiz par chor aye hain tuo bala takluf iss iss dost sey iss ka pen talab karain gay aur woh apni cupboard khul kar ya pocket mein sey pen nikal kay aap kay hawalay karday ga. Lekhin zara therain! Maji istemaal walay pen germs sey bharay hotay hain kiun kay aksar logun ko pen muhn mein rakhnay ya honthon kay darmiyan ghummanay ki aadad hoti hai. Iss trah saasn ki bemariyan mein mubtla karnay walay virus aur muhn kay infection bhi aap tak muntkil hosaktay hain. Yeh dekha gaya hai keh teenage kay pen mein zada germs hotay hain. Bhetar tuo yeh hai keh huma waqt aap apna pen sath rakhain aur agar bahalat mujboori dosroon kay pen istemaal karna ho tuo phelay germs Wipe sey issay saaf karlain.
Mobile Phone
Agar aap kay cell phone ki battery khutum hochuki hai tuo apnay kisi dost kay mobile ko use karna aqaal mandi nahi hai iis liyeh kay cell phone bhi germs sey aaloda hain uar log shaz-o-nadar hi innay saaf kartay hain. Cell phone par MRSA, influenza kay virus aur deegar germs dekhay gaye hain aur research mein yeh bhi samnay achuka hai keh women kay mobiles gents sey zaidah ganday hotay hain. Iss ki sab sey bari wajah yeh samj ati hai keh in kay makeup kit mein bhi germs hotay hain. Uar yeh bhi haqeeqat hai keh women gets sey zaidah nazla zaukhm mein mubtla hoti hai. Shumarriyati hisaab sey women saalna teen bar nazla zukhma ka shaikar hosakti hai. Bulkay gents aik saal mein 1.5 martaba zaukham ka shikar hotay hai. Majboori mein kisi ka cell phone karna ho tu phelay iss saaf kar lay aur istemaal kay baad apnay hath achi trah dhooh lain.
Shaving Eraser
Shaving eraser kay baray mein taqreeban sabi jantay hain keh dosray kay eraser kabi nai istemaal karnay chahaye iss liyeh keh shaving kay duran kkraash aur chir lag jatay hai, khwaah woh aap ko nazar ayain na ayain. Iss trah kisi kay eraser hosaktay hain aur woh iss sey la ilm rahay sakta hai.
T.V Remote
Agar aap kisi hotel mein qayaam puszir hain ya kisi dost ya neighbor kay makan mein TV dekh rahay hain tu wahan mojood remote control ko istemaal sey phelay achi trah germs ko saaf karlain. Kuin keh shayad hi TV ko khabi saaf kiya jata ho. Jiss ki wajah sey buttons aur ass pass lakhon ki tahdad mein germs jama hotay hain. Gharon mein istemaal honay walay TV remote bhi ganday hotay hain. Lekhin hotel kay kamroon mein rakhay TV tuo bohat hi zaidah aalooda dekhay gaye kiun wahan log bath room istemaal karnay kay baad soap sey dhonay ki zahmat bhi nahi kartay. Hotels kay ilawa hospitals aur nursing homes kay TV remote bhi germs sey bharay hotay hain.