Baikaran samandar kay sinay par bikhray jaziray hamaisha say fitri tor par sayahon kay liye kashish ka bais rahe hain shor o ghugha say bharpoor khushki kay baray tukron mainland kay baraks apnay daman mein sakoon aur tamaniyat kay khazanay samaytay jaziron par madare fitrat ki asal haqiqatain ashkar hoti hain taham bohot say logon ko yeh maloom nahin kay kis jaziray par jakar yadgare lamhat guzaray jain is hawalay say international tourism group har sal aik sarway ka ineqad karta hai jis mein sair o sayahat kay hawalay say duniya kay behtareen jaziron ki fahrist muratab ki jati hai is sal kay sarway mein duniya kay jin jaziron ko top ten based ilands mein jagha mili hai ahiye daikhtay hain kay who kon say jaziray hain aur un mein aisa kiya haijo inhain doosray jaziron say mumtaz karta hai.
Indonesia
Behre hind hararat again paniyon mein lipta jazirah bali yun to indoneshia kay sarhay 17 hazar jazair mein say aik hai taham apni benazeer khubsoorti aur jannat ka guman daiti hariyali ki wajah say yeh qudrati tor par apnay tamam parosi jaziron say mumtaz aur munfarid hai is turrah yak ay dahayon par mushtamil taraqiyati kamon nay bali kay husn mein mazeed char chand lagadiye hain yehi wajah hai kay sayahon kay jhund kay jhund khana badosh panchiyon ki terha duniya kay konay konay say bali ki taraf khinchay chalay atay hain 1998 say bali barre azam aishia mein number one iland kay darjay par qabiz hai yahan kay resorts aishia ki riwayati saqafat ka aaeena hain.
Sirf yehi nahin yahan aap ko maqami hunar mandi aur sadiyon qadeem tamirat kay shahkar bhi daikhnay ko milain gay night clubs,safari aur surfing samit aap ki dilchaspi ki konsi aisi cheez hai jo bali mein nahin milti yahan who sab kuch hai jo bator sayah aap kay zehan mein hosakta hai bali mein indoneshia kay riwayati khanay kha kar to aap ko maza ajaiga. Naiz yahan aap mashriqubaeed ki riwayati dawaon say bhi istefadah karsaktay hain.
Big Island Hawaii | America
American riyasat hawaee ka jazirah big iland jaisa kay nam say zahir horaha hai aik bohot bara jazirah hai behrulkahil kay paniyon mein lawa,rakh aur pathar ugaltay atish fishanon ka hamil big iland kisi chotay say mulk ki terha hai darulhakumat hono lulu ki jaded shehri zindagi kay baraks yahan riwayati dehi tarze hayat poori terha sargarak dikhaee daita hai is jaziray ka apna cow boy culture hai kasht karon kay bazaar hain istawaee barani janglat hain aur sab say barh kar siya,sabz aur safaid rait ay dhakay khusoorat sahil hain yeh big iland ka maqami dehi rang hi haijo sayahon ko yahan khainch lata hai..
Italy
Tarikhi pas manzar kay hamil is atalwi jaziray kay asman par sara sal suraj chamakta hai yehi wajah hai ka amooman suraj kay deedar aur is ki hiddat kay lutf say mehroom rehnay walay thanday europy mulkon kay bashindon ki yahan amad ka silsilah barah mahinay jari rehta hai haseen qudrati manazir aur zindagi ki ramam ronawain apnay daman mein samatay sisli duniya kay masroof tareen sayahti maqamat mein say aik hai isi jaziray par Europe ka sab say ooncha atish fishan pahar atna waqay hai jis ki bulandi 3220 meter hai.
Yahan aap ko muslim tehzib kay nishan bhi numayan tor par dikhaee dain gay sisli zamana qadeem say hi mukhtalif saltanaton kay darmiyan kashmakash ka markaz raha hai kaee sadiyon tak ye saltanat rome ka hissa raha 552 mein isay bazintiniyon nay fatah karliya phir 827 mein isay arab musalmanon nay fatah karliya musalman yahan 902 tak hukmarani kartay rahay in kay dhaee so sala iqtedar ka khatma salaibi Norman aqwam kay hathon huwa arabi mein sisli ko saqlia kay nam say pukara jata hai Allama Iqbal nay bange dara mein saqlia kay unwan say aik nazam bhi likhi hai.
Kowaee Hawaee (America)
Yeh bhi ameriky riyasat hawaee ka jazirah hai kkauai hawaee kay deegar sayahati maqamat kay muqablay mein kahin ziyadah dramaee manazir say bharpoor hai is mashriqi siray par lahlahatay choray chaklay maidan aap ko apnay daman mein samonay kay liye betab hain to shumali siray par afsanwi khaleef henali mojud hai jahan aap ko hilali shakal ka waseh o urees sahil milay ga is jaziray ki ghani sarsabz wadiyon mein bay inteha khubsoorat pahariyan hain jin say jharnay beh rahay hain is nazaray ko daikh kar lagta hai kay jaisay kisi mahir musawir nay canvas par apnay brush say jannat ka tasawurati manzar takhleeq kiya hai kowaee land kay sahil bhi apni misal aap hain in sahilon ki resham jaisi garam rait Europe kay beshumar manchalon ko yahan anay par majboor kardaiti hai nai joron kay liye honeymoon mananay ki bhi yeh aik ideal jagha hai.
Mowaee Hawaee (America)
Yeh americy riyasat hawaee ka tisra jazirah hai jo duniya kay 10 behtarin jazair mein shamil hai big iland aur kowaee kay muqablay mein mowaee jaziray ko thori infaradiyat hasil hai agarchay yeh jazirah bhi apnay andar qudrat kay dilksh nazaron ko samoay huway hai taham is ki pasandidgi ki aik bari wajah yahan jama honeywa glamour hai yeh jazirah 1960 ki dahaee say sakoon kay matalashiyon ko lubhata raha hai.
yahan par masaj parlours say lay kar jaded o pur tayush dakhani hamam spa jaisi jismani o zehni rahat mohaya karnay wali zabardast sahuliyat mojud hain yeh americy dolat mandon aur holywood ki mashoor filmi shakhsiyat ka pasandida sayahti maqam hai sayahon kay liye is jaziray ka qudrati husn hi dilchaspi ka bais nahin bulkay bohot say log yahan har sal june mein munaqid honay walay filmi mailay ki wajah say bhi ana pasand kartay hain kiyunkay inhain yahan kay sahilon,hotlon,bazaron aur deegar maqamat par ghoomtay phirtay apnay pasandidah filmi sitaron say mulaqat karnay ya inhain qarib say daikhnay ka moqa bhi mil jata hai.
Santorin Unban
Yeh aik qadim tarin jazirah hai jo tarikh mein sab say bari atish fishani kay natijay mein wajud mein aya Greece kay markazi khitae zamin say 120 mile junub maghrib mein waqah santorini ko daikh kar aisa lagta hai. kay yeh is duniya ka hissa nahin hai yahan her cheez roshan tar hai chamakdar safaidi mein dhakay mustratil makanat ankhon ko khaira kartay chandi jaisay rait walay sahil aur pooray jaziray ko arghwani roshni mein dabota ghurobe aftab ka manzar …to yahan who sab kuch hai jo husne fitrat kay dildadah aur roman pasand sayahon ko apnay ilaqon mein nahin milta santorini kay shumali siron par sabzay say dhaki pahariyon ki chotiyon aur daman mein khubsoorat aur pur tayush hotels aur restaurants mojud hain jahan aap ka qayam o taam yadgar hoga.
Borakaisi Philippine
Sayahat kay shoqeen log hamaisha say hi naee say naee jaghakay matalashi rahe hain yehi wajah hai kay sab kohe samoee jaisay chotay jaziray bhi banulaqwami sayahat kay dharay mein shamil ho rahay hain philipine ka bepanah hasin o dilkash sahilon ka hamil honay kay bawajud borakaisi jazirah shayad ashia kay in akhri jaziron mein say aik hai jin kay baray mein sayahon ko ziyada maloomat nahin hain bhurbhuri aur naram rait kay sahilon walay is jaziray tak pohonchnay kay liye aap ko manila say aik ghantay ki uran bharna hogi jahaz aap ko caticlan shehar kay hawaee adday par utaray ga jahan say aap kashti par sirf 10 minute ka safar karkay borakaisi pohonch jaingayis say pehlay kay yahan logon ka jamme ghafeer jama ho aap ko foran bora kaisi pohonch jana chahiye kiyunkay aap say pehlay hi yahan khasi tadad mein log pohonch chukay hongay sayahon ko borakaisi kay fitri husn aur pur sakoon o shafaf sahilon kay sath sath yahan ki five star sahuliyat bhi libhati hain jin mein shakgila borakaisi resort bhi shamil hai 2011 mein isay pehli bar duniya kay 10 behtarin jazair ki fahrist mein shamil k iya gaya hai.