Pakservice.com

 
       Home >> News>> Article>> Horoscopes >> Virgo Horoscope

Virgo

Virgo is the sign of astrological in Zodiac. It is sixth in position of Zodiac. The Sun move through this area of the Zodiac 23 August to 22 September of every year. Here we describe the characteristics and signs of Virgo in roman Urdu and Hindi.  

  Table of Content  
  .                                                                                                                      .
Vigo Horoscope In Urdu


Vigo Horoscope In Urdu  


.                                                                                                                      .
Virgo Women And Love

Barje Virgo say taluq rakhnay wali women apnay tor tariqon, adapt-o-atwar aur rakh rakhao mein itni mohtat hoti hain kay in par ilzam tarahi mumkin nahin  woh jo kam karti hain woh bilamoom darust hi hotay hain yak am az kam zahiri tor par durust maloom hotay hain woh chunkay khubiyon ka namuna hoti hain aur hark am par hawi nazar ati hain is liye doosron kay liye in par aiteraz karna ya un say ikhtelaf karna ya un ki mukhalifat karna asan kam nahin.

Virgo women koee kam shurooh karnay say pehlay is ka mansooba bana laiti hain aur jab woh mansooba bana laiti hain to aam tor par her cheez ki qadr o qimat kay mutaliq sahih andaza qaim karti hai mohabbat kay mamlay mein bhi woh apnay haqiqi jazbat ko qabu mein rakhti hai bulkay woh un ko niyayat hoshiari say chupa laiti  hai woh akhri waqt tak khud ko aik pak saf aur bai aib aurat ki haisiyat say paish karti hai is terha is ki mukhalifat ya is par aiterazat kay imkanat qatan khatam ho jatay hain bulkay is ka rafiqe zindagi khud ko mujrim samajhnay lagta hai  aur is guman mein mubtala hojata hai keh woh aik khud gharz shohar hai laikin in tamam baton kay bawajud sumbla aurat sahih menon mein ruman pasand tabiyat rakhti hai  kiyun kay is ki fitrat mein doosron ki khidmat ka jazba mojud hota hai is liye woh azdawaji zindagi mein bhi apnay us usool  par qaim rehti hai aur poori koshish karti hai kay is kay shohar ko is ki poori mohabbat milay agar is ka jawab mein woh bhi sachi aur walehana mohabbat talab karay to yeh us ka haq hai bad qismati yeh hai kay sumbla khatoon diniwi kamon aur apnay faraiz ki adaigi mein itni munhamik  aur masroof  rehti hain kay woh apnay kay woh apnay rafiqe hayat ko itna waqt nahin daiteen jitna woh dai sakti hai ya jitna daina chahiye is ko khud aram karnay ki mohlat bohot kam milti haiis ki wajah say is ki zindagi mohabbat kay dreams daikhnay mein guzar jati hai aur is ko apni mohabbat ka amali izhar karnay ka kam moqa milta hai.

Virgo women ki mohabbat hasil karna asan nahin woh is kay izhar mein bukhal say kam laiti hai laikin jab woh mohabbat karti hai to dil khol kar kartihai is mein hasad ka madah bhi hota hai aur agar kabhi is kay izhar ka moqa mil jai to woh asman sar par utha laiti hai aur aisee hakatain kar sakti hai jo is kay kirdar say mutabiqat nahin rakhteen burje sumbla say taluq rakhnay wali aurat apnay kidar kay lehaz say mohtat bareek been aur saliqa sheyar hoti hain.laikin mohabbat kay mamlay mein kabhi kabhi beqabu bhi ho sakti hai aisay koqay par woh is shair par amal karti hai.

Acha hai dil kay sath rahe pasbane aqaal
Laikin kabhi kabhi isay tanha bhi chor day

 


.                                                                                                                      .
Characteristics of Virgo Persons

Virgo say taluq rakhnay walay afrad mein doosron kay naqs nikalnay ki jo khowahish paee jati hai woh in kay liyye baz aoqat nafay say ziyada nuqsan dah ho sakti hai yeh ail aisi sifat hai jis ki wajah say koee shakhsh khud ko maqbool aur har dilaziz nahin bana sakta laikin agar aap barj virgo say taluq hai to aap aisee shakhsiyat kay bawajud logon ka ahteram hasil kar saktay hain is liye kay aap ki tanqeed kisi bad niyati ka natija nahin hoti aap kisi ko tanqeed kay zaria nuqsan nahin pohonchana chahtay log jantay hain kay aap ki yeh bay bakana tanqeed deyanat dari par mabni hai laikin aap yeh bat zahen nashin karlain kay aksar aap ki tanqeed zari shak ikhtiyar kar laiti hai jis ki wajah say yeh haqiqat kay aap ki tanqeed bilkul shih hai be mani ho kar rehe jati hai.

Hota yeh hai kay aap ka wijdan doosron ki kamzoriyon ko daikh laita hai aur aap apni ray mein mukhlis honay ki wajah say apni ray ko chupatay nahin hain aap ka maqsad is admi ki madad karna hota hai laikin aap ki yeh bebaki doosray ko thais pohoncha sakti hai  hosakta hai kay woh shakhs jis par aap nay tanqeed ki hai itna bura manay ka galam galoch aur bad tameezi par utar aaey laikin chunkay aap ki tanqeed ka andaz jarehana nahin hota aur na hi aap ki niyat buri hoti hai is liye aap is qisam kay na shaista tajarbay say amuman mehfooz rehtay hain.

Virgo afrad agarchay doosron par tanqeed kenay mein paish paish rehtay hain laikin woh khud apnay upper kisi qisam ka aitaraz pasand nahin kartay agar koee shakhs aap say yeh keh day kay aap bila wajah mamooli mamooli baton par bigar jatay hain aur bat ka batangar bana daitay hain aur yeh kay aap moqah be moqah apni hama dani ka ihar kartay rehtay hain aur aap ko tanqeed karnay ki kuch adapt si par gaee hai to aap is ki bat tasleem nahin karain gay bulkay foran apni moaqaf kay haq mein dalilain daini shurooh kardain gay aur is shakhs ki sakhti say tardeed karain gay laikin haqiat yeh hai kay aap apni kamzoriyon ko achi terha jantay hain laikin aap yeh nahin chahtay kay koee doosra in ki nishandahi karay.

Yeh haq sab ko milta chahiye aap siraf apnay liye makhsus rakhna chahtay hain.bahar hal is kamzori kay bawajud yeh kehna ziyadti hogi kay barj virgo say taluq rakhnay walay afrad bad dianat hotay hain aur in mein haq bat qabool karnay ki salahiyat nahin hoti bulkay haqiqat yeh hai kay yeh log khud ko behtar banany ki taraf har waqt tawajah daitay rehtay hain aur apni islah karna in ki khususiyat mein say aik hai laikin maloom aisa hota hai kay in ko apni jisam ki behtari ka ziyada khayal rehta hai aur kirdar ki khamiyon ki taraf ziyada tawajoh nahin kartay yehi wajah hai kay barj virgo say taluq rakhnay walay afrad ki aksariyat sehat hiszane sehat aur ghiza par ziyada tawajoh daiti hai woh khud ko saf suthra rakhna chahtay hain air jismani tor par aik mukamal insane banna chahtey hain yeh shoq in ko maraq aur khabt ki had tak hota hai doosray barjon kay muqablay mein yeh khususiyat barje virgo mein ziyada paee jati hai.

Yeh isi khabti pan ka natijah hai ka in kay ghar terha terha ki zood asar adwiyat say bhara rehta hai yeh log ilaj kay muqablay mein ehtiyati tadabeer ko ziyada ahmiyat daitay hain missal kay tor par woh muqawie sehat dawain ziyada istemal karain gay terha terha kay murabbay khain gay  aur hayateen istemal karain gay  moon ko saf rakhnay kay liye tooth paste istemal karain gay aur khushbu dar dawaon say ghararay karain gay is say in ka maqsad yeh hoga kay mukhtalif bemariyon say bhi mehfooz rahain gay aur moon say badbu bhi na aaey is mamlay mein barje virgo say taluq rakhnay walon ka maraq is had tak pohoncha hota hai kay woh din bhar mein das das bis bis martaba hath dhoain gay. Agar kahin kisi nay in say hath milalliya to ghazab ho jai ga woh pehli fursat mein wash basin ka rukh karain gay. Aur apna hath dhoain gay.

Virgo log apnay kapron ki is kasrat say dhulaee kartay hain kay woh waqt say pehlay phat jatay hain agar koee sheikhs din mein do do teen teen martaba ghusal karay to aap samajh jain keh is ka taluq barje virgo say hoga . barje virgo say taluq rakhnay walay log yeh pasand nahin kartay kay koee in kay jisam ko hath lagai ya koee ajnabi shakhs in kay liye khana tayar karay woh majmah aur bheer say bhi bachna chahte hain is liye nahin kay woh majma aur bheer ko pasand nahin kartay ya inhain majmay ko daikh kar wahshat hoti hai is ki wajah sirf yeh hoti hai kay kahin insanon kay qurb ki wajah say doosron kay jaraseem in kay jisam mein sarayat na karjain barje virgo kay log chhoot chat ko bari ahmiyat daitay hain

 


.                                                                                                                      .
Dreams Of Virgo Persons

Virgo afrad kay andar chand khamiyan bhi hoti hain maslan yeh kay in kay andar jurrat ki kami hoti hai aur woh nakami ya doosron kay aitrazat kay dar say bohot say kam nahin karpatay jis kam ko woh achi terha say samajh na lain is mein hath dalnay say inhain khofr ata hai  woh is bat ko puri tafseel say jan laina chahtay hain kay woh kahan kharay hain in ko kahan jana hai kis terha jana hai inhain rah mein kiya kiya mushkilat paish asakti hain bazahir yeh batain achi hain laikin amali lehaz say bohot mushkil hain  bohot si batain aisi hoti hain jin kay baray mein pehlay say kuch kehna mushkil bulkay na mumkin hota hai maslan aap pehlay say yeh nahin bata saktay kay aap kay aik khas amal ka doosray logon par kiya asar paray ga aur aap paish anewalay imkanat ka jo naqsha apnay tasawur mein bana rahe hain woh bilkul waisa hi hoga jaisa aap key tasawur mein hai barje virgo say taluq rakhnewalon ko anjani duniya ka yeh khof paraishan rakhta hai is khof ko sirf isi terha door kiya ja sakta hai kay khatrah mol liya jai. Is khatray ka muqabila karnay ki barje virgo mein poori salahiya hoti hai.

 woh ghair jazbati hotay hain aur dil ki bajai dimagh say kam laitay hain in ko samajh laina chahiye kay woh gar kisi koshish mein nakam bhi hogaey aur logon nay in ki nakami par ankusht numaee bhi ki  to bhi aik din un ki is pehli koshish ko log faramosh kar dain gay is liye in ko bad dil aur shikasta nahin hona chahiye inhain himmat say kam laina chahiye aur aik bar phir koshish karni chahiye takay gohare maqsood hasil ho sakay.

Agar aap barje virgo say taluq rakhnay walay afrad ki is qisam say taluq rakhtay hain jo hosla buland rakhtay hain aur khoob say khoob tar ki talash mein rehtay hain aur apni salahiyaton ko behtar say behtar tariqay par istemal bhi karna chahtay hain laikin is tamam khubiyon kay bawajud kam himmat hain buzdil hain aur gohare maqsood hasil karnay kay liye pehal karnay say jhijhaktay hain ya khof zadah rehtay hain to phir aap kay dreams aap ki mayusi ki akasi karain gay .

Aisay dreams halite mehsoori kay dreams kehtalay hain yeh hassar aap ka apna banaya huwa hota hai aap khud ko apnay hi jal mein phans laitay hain.aap kay banaey huway is hassar aur aap ki tamer ki huee is deewar ka koee doosra tor nahin hosakta isay aap ko khud hi girana hoga mayusi aura dam ahsas say paida honewalay yeh dreams jin mein amal na mumkin nazar ata h ai ya aap khud ko is liye paraishan nazar atay hain kay aap woh cheez hasil nahin kar sakay. Jis ki talash thi aap kay tehtal shaoor mein janam laitay hain yeh batatay hain kay aap agarchay zindagi ko ziyada say ziyada mukamal banana chahtay hain laikin yeh kafi nahin is kay liye khowhish kay alawah aap ko apni tamam salahiyaton aur tawanaeeyon ko bhi baruway kar lana hoga.

Is liye aap ko apni hi zat par tawajoh markooz karna hogi. Is moqah par aap apni zindagi ka shurooh say is waqt tak ka jaiza lain aur yeh maloom karnay ki koshish karain kay agar aap kisi mowqay par apna maqsad hasil karnay mein nakam rahe hain to kiya is ki wajah yeh thi kay aap mein koee kami rahe gaee thi. Ya aap nay puri terha tayari nahin kit hi ya aap ko khud apni kamiyabi ka yaqeen nahin tha  aap apnay irdo gird bhi nazar dalain apnay paros mein daftar mein aur dost o ahbab mein in logon ko daikhain jo oonchay oonchay ohdon par faiz hain khoob kamarahe hain aur jin ko her terha ka aish o aram mayasar hai.laikin yeh tamam afrad buniyadi tor par ilm,maloomat aur salahiyaton mein aap say kam hain.

Aap daikhain gay kay agar chay in sab mein aap kay muqablay mein salahiyat kam hai laikin in mein aagay barhnay ka jazba hai aur himmat hai in logon ki zindagi mein aap kay liye aik paigham hai aap ghor karain gay to aap ko maloom hojaiga kay agar kisi moqay par aap ko taraqi nahin mili to is ki wajah yeh nahin thi kay aap mein salahiyat ki kami thi bulkay aap khud hi rastay say hat gaey.

Aur is ghalat fehmi mein mubtala hogaey thay kay aap is kam ki jo aap jo tafweez kiya jane wala tha salahiyat nahin rakhtay.is ki wajah yeh bhi hosakti haika aap mein jhijhak paee jati ho.aur is jhijhak ki wajah say aap aagay na barh sakay hon aur doosra aap par bazi lai gaya ho aap ki nakami ki aik wajah yeh bhi hosakti hai kay aap nay muqablay mein baithnay ki apnay ander himmat na paee ho mukhtasir yeh kay aap apni nakamiyon ka ghour say jaizah lain to in sab ki the mein aap ko apni hi koee khami nazar aaey gi. Laikin yeh khami aap ki adam salahiyat ki shakal mein nahin hogi bulkay aap ki himmat azm aur josh o kharosh mein kami ki shakal mein hogi jis ki wajah say aap mawaqeh say faida nahin utha sakay.aap kay dreams aap kay inhi makhsoos halat ki akasi kartay hain.

 


References

  
 

Related Articles:

Article | Story In Urdu    Article on Contact Lens In Roman Urdu    Shah Abdul Latif Bhittai In Roman Urdu And Hindi    Gas Shortage In Pakistan In Roman Urdu and Hindi    Health Tips In Urdu           
Last Update: 24-Apr-12 01:09

pakseoguide.com |  noorclinic.com |  magurdu.com |  world313.com |  pakrishta.com  | 
© Copyright 2003-2018  www.pakservice.com , All Rights Reserved    Last updated: 9th Oct 2011